View Single Post
  #2  
Old Thursday, January 08, 2009
The Star's Avatar
The Star The Star is offline
Senior Member
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason:
 
Join Date: Oct 2007
Location: Sargodha
Posts: 420
Thanks: 380
Thanked 448 Times in 216 Posts
The Star has a spectacular aura aboutThe Star has a spectacular aura aboutThe Star has a spectacular aura about
Default

Woh Mujh Se Poochti Hai, Badalon Ko Kab Bulao Ge
Main Kehta Hoon, Tumhein Jab Dhoop Ka Mausam Sataye Ga
Woh Mujh Se Poochti Hai, Panchiyon Se Aashnayi Hai
Main Kehta Hoon Ke Ashkon Ke Qataron Se Bhi Waqif Hoon
Woh Mujh Se Poochti Hai, Shehar Ki Buniyaad Mein Kya Hai
Main Kehta Hoon, Kisi Jangal Ka Qatal Aam Hai Shayed
Woh Mujh Se Poochti Hai, Tum Samandar Mein Kabhi Utre
Main Bola, Ik Samandar Doosre Mein Kis Liye Utre
Woh Kehti Hai, Mujhe Mayoosiyan Rasta Nahi Deteen
Main Kehta Hoon NKe yeh Mayoosiyan Taqat Bhi Hoti Hain
Woh Kehti Hai, Bohat Tanha Hoon Main Is Puri Dooniyan Mein
Main Kehta Hoon Ke yeh Ehsaas To Ho Ga KHUDA Ko Bhi
Woh Kehti Hai Ke Mujh Per Shehar Ke Wehshi Lapakte Hain
Main Kehta Hoon Ke Tum Kardaar Ko Seena Sapar Ker Lo
Woh Kehti Hai, Hajoom Badrosh Se Khauf Aata Hai
Main Kehta Hoon, Mujhe Ujri Hui Galiyan Darati Hain
Woh Kehti Hai, Mujhe Be-Has Zamaane Se Shikayat Hai
Main Kehta Hoon Ke Yeh Shikwa Shikayat Rayigaan Hai Sab
Woh Boli, Tum Kahan Gayab Rehte Ho Raaton Ko
Main Bola, Main To Bas Aawara Phirta Hoon Udaasi Mein
Woh Boli, Phone Bhi Aksar Bohat Angej Rakhte Ho
Main Bola, Be Saropa Ghantiyon Se Khauf Aata Hai
Woh Boli, Tum Bohat Kanjoos Ho Khat Bhi Nahi Likhte
Main Bola, Khat Likhoon To Shairy Naraaz Hoti Hai
Woh Boli, Tum Kabhi Milne Chale Aao Jo Mumkin Ho
Main Bola, Yeh To Tum Ne Mere Dil Ki Baat Keh Di Hai
Woh Boli, Aaj Mausam Mein Ajab Si Khushgawari Hai
Main Bola, Han Yeh Mausam Pyaar Se Milne Ka Mausam Hai
Woh Kehti Hai Ke Ab Aawargi Se Kuch Nahi Haasil
Mujhe Hairat Hai Yeh Sab Kuch Woh Mujh Badal Se Kehti Hai
Woh Kehti Hai, Hawa To Banjh Pan Taqseem Karti Hai
Main Kehta Hoon, Magar Dharti Hawa KE bAS Se Bahir Hai
Woh Kehti Hai, Shabein Dhoke Mein Rakhti Hain Hamesha Hi
Main Kehta Hoon, Kahin Yeh To Nahi Dhoka Dinon Mein Ho
Woh Kehti Hai, Mujhe To Zindagi Se Eik Shikwa Hai
Hamesha Sailon Ko Maut Ke Saye Mein Rakhti Hai
Woh Kehti Hai, KHUDA Milta To Us Se Baat Karti Main
Main Kehta Hoon, Magar Main To Khamoshi Bant'ta Rehta
Woh Kehti Hai Ke Farhat Be-Zarar Rehna Nahi Acha
Main Kehta Hoon, Kayi Achaiyan Bas Mein Nahi Hoteen
Woh Kehti Hai, Meri Yaadon Se Kyunkar Door Rehte Ho
Main Kehta Hoon, Teri Parchaiyan Bas Mein Nahi Hoteen
Woh Kehti Hai, Tumhari Kuch Dua Bhi To Koi Ho Gi
Main Kehta Hoon, Jahan Tum Ho Yeh Raatein Bhi Wahin Hoteen
Ajab Ik Ma'noiyat Si Palat Aati Nazaron Mein
Tumhein Hum Dekhte Bhi Aur Baatein Bhi Wahin Hoteen
Sitaare Dekhne Aate Mujhe Teri Mohabbat Mein
Woh Kehti Hai, Sitaare Aur Sapne Jhoot Hote Hain
Woh Kehti Hai Ke Ab Roun To Aansoo Chubhne Lagte Hain
Main Kehta Hoon, Kisi Shayar Se Aankhein Maang Sakti Ho
Woh Boli, Aas Ki Faslein Kayi Beemar Hain Dil Mein
Main Bola, Jis Tarah Mumkin Ho Sawal Ko Bula Lao
Woh Boli, Main Adhoore Qaidiyon Ki Sif Mein Shamil Hoon
Main Bola, Is Ka Matlab Hai Ke Aazadi Nahi Mumkin
Woh Boli, Kuch Likhoon To Ungliyon Se Khoon Rasta Hai
Main Bola, Main To Aise Mein Bhi Apne Dil Se Likhta Hoon
Woh Boli, Dard Ne Asab Ko Murda Bana Daala
Main Bola, Ishq Ki Bechainiyon Se Zindagi Ker Lo
Woh Kehti Hai, Agar Sab Raaste Masdwa Ho JAyein
Main Kehta Hoon, To Phri Aap Tak Mehdood Ho Jayein
Woh Kehti Hai, Agar Be-Chainiyan Be-Sod Ho Jayein
Main Kehta HOON, Fana Fi Alnar Hasat o Bod Ho Jayein
Woh Kehti Hai, Agar Veraniyan Raste Mein Aa Jayein
Main Kehta Hoon, Hazaron Gham Bohat Saste Mein Aa Jayein
Woh Kehti Hai, Tumhein Takhti Pe Apne Harf Likh Doon To
Main Kehta Hoon, Teri Baatein Mere Baste Mein Aa Jayein
Woh Kehti Hai, Balayein Jab Bhi Mera Naam Leti Hain
Main Kehta Hoon, Tujhe Meri Duayein Thaam Leti Hain
Woh Mujh Se Poochti Hai, Mujh Se Baatein Kyun Nahi Karte
Main Kehta Hoon, Abhi To Dekhne Ki Manzilon Per Hoon
Woh Mmujh Se Poochti Hai, Shaam Kya Veraan Hoti Hai
Main Kehta Hoon Ke Yeh To Hijar Ki Pehchaan Hoti Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Ratjaon Ka Rang Kaisa Hai
Main Kehta Hoon Ke Jaise Jaagne Wale Ki Aankhon Ka
Woh Mujh Se Poochti Hai, Hijar Ki Qismein Bhi Hoti Hain
Main Kehta Hoon, Jitne Wasl Utne Hi Hijar Hote Hain
Woh Mujh Se Poochti Hai, Pyaar Ka Matlab Batao Ge
Main Kehta Hoon Ke Har Ik Baat Ka Matlab Nahi Hota
Woh Boli, Raaste Mein Dard Ke Kitne Samandar Hain
Main Bola, Aahkri Jo Zabt Se Bahir Nikal Aaye
Woh Boli, Ab To Mujh Mein Zabt Ka Yara Nahi Baaqi
Main Bola, Doobne Ko Phir To Tum Tayar Ho Jjao
Woh Boli, Kayinaatein Is Qadar Simti Hui Hain Kyun
Main Bola, Is Qadar Wasa't Kahan Se Aayi Hai Tum Mein
Woh Boli, Be Saropa Zindagi Se Kya Hua Hasil
Main Bola, Kuch Bhi Ho, Kuch Bhi Na Ho Aakhir Ajal To Hai
Mohabbat Mein Safar Kitna Zaroori Hai, Woh Kehti Hai
Main Kehta Hoon, Mohabbat Mein Kahin Thehra Nahi Jaata
Woh Mujh Se Poochti Hai, Aashiyane Jal GAye Honge
Main Kehta Hoon Ke Shayed Itefaqan Bach Gaye Honge
Woh Mujh Se Poochti Hai, Aaj Phir Goli CHali Ho Gi
Main Kehta Hoon Ke Han, Kuch Mayatein Ayi Hain Basti Mein
Woh Mujh Se Poochti Hai, Aaj Bhi Kuch Bomb Phatte Honge
Mmain Kehta Hoon, Koi Kehraam To Barpa Tha Sarhkon Per
Woh mujh Se Poochti Hai, Phir Adalat Mar Gayi Ho Gi
Main Kehta Hoon Ke Mujrim To Bazaat Khud Hi Munsif Hain
Woh Mujh Se Poochti Hai, Baadshah-e-Waqt Kaisa Hai
Main Kehta Hoon, Bohat Mutemayin Rehta Hai Bechara
Woh Kehti Hai, Hawayein Raat Se Aangan Mein Bethi Hain
Main Kehta Hoon, Ghutan Apna Asar Dikhla Ke Chore Gi
Woh Kehti Hai, Khamoshi Farsh Per Saye Banati HAi
Mein Kehta Hoon, Udaasi Weham Banti Ja Rahi Ho Gi
Woh Kehti Hai Ke Parchayein Bhi Ab Humzaad Lagti Hai
Main Kehta Hoon Ke Tanhai Ne Pagal Ker Diya Ho Ga
Woh Kehti Hai, Meri Chat Per Hayole Raqs Karte Hain
Main Kehta Hoon Ke Yeh To Wasoosoon Ne Bhes Badla Hai
Woh Kehti Hai, Koi Rota Hai Galiyon Ke Andheron Mein
Main Kehta Hoon, Judai Phir Rahi Ho Gi Museebat Mein
Woh Mujh Se Poochti Hai, Kya Hai Kuch Hairaan Lagte Ho
Main Kehta Hoon Ke Khud Ko Khwab Mein Hai Mutmayin Dekha
Woh Mujh Se Poochti Hai, Kya Hai Itne Mutmayin Kyun Ho
Main Kehta Hoon Ke Khud Ko Khwab Mein Hairaan Dekha Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Muztarab Se Lag Rahe Ho Kuch
Main Kehta Hoon Ke Dil Mein Ishq Ka Mehmaan Dekha Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Kya Pareshani Hai Farhat Jee
Main Kehta Hoon Ke Saare Shehar Ko Veraan Dekha Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Badshagooni Ka Sabab Kya Hai
Main Us Se Poochta Hoon, Zindagani Ka Adab Kya Hai
Woh Boli, Aa Tujhe Main Raakh Ki Taseer Batlaon
Main Bola, Raakh Ko Kya Raakh Ke Baare Batao Gi
Woh Boli, Aa Tujhe Main Dasht Ke Ma'ni Batati Hoon
Main Bola, Aa Tujhe Apne Dil Mein Le Ke Chalta Hoon
Woh Boli, Aa Tujhe Main Zindagi Ki Fikar Samjhaon
Main Bola, Maut Ke Maare Hue Ko Khoob Samjhao
Woh Boli, Aa Tujhe Main Hijar Ka Mara Dikhati Hoon
Main Bola, Han Mujhe Tum Le CHalo Mere Hi Kamre Mein
Woh Kehti Hai, Ghubaar-e-Waqt Mein Dhundla Gaya Jeevan
Main Kehta Hoon, Palat Ker Dekhna Takleef Deta Hai
Woh Kehti Hai Ke Tum Mujh Ko Pukara Hi Nahi Karte
Main Bola, Kya Karoon Koi Gawara Hi Nahi Karta
Woh Mujh Se Poochti Hai, Kya Mujhe Tum Yaad Karte Ho
Main Kehta Hoon Ke Jaane-Mann Tumhein Main Bhoolta Kab Hoon
Woh Kehti Hai Ke Ab To Rayigaan Lagta Hai Sara Kuch
Main Kehta Hoon, Mujhe To Rayigaani Ka Bho Dhoka Hai
Woh Kehti Hai, TAmanayein Salamat Hi Nahi Ab To
Main Kehta Hoon Ke Jeevan Mein Yeh Thehrao Bhi Aata Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Shorq, Chashm Tamasha Kya Hai
Main Kehta Hoon Ke Yeh To Shorq Alam Ka Hissa Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Baiat-e-Sultaan-e-Gham Kyunkar
Main Kehta Hoon Ke Yeh Aadab Hain Rasm-e-Mohabbat Ke
Woh Mujh Se Poochti Hai, Jabar Per Sabar Masalsal Kyun
Main Kehta Hoon Ke Jab Tak JAng Ki Soorat Nahi Milti
Woh Mujh Se Poochti Hai, Alam-e-Bala Kahan Per Hai
Main Kehta Hoon, Hamari Fikar Ki Balayi Manzil Per
__________________
The color of blood in my veins is green,I am a proud Pakistani.
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to The Star For This Useful Post:
Rahat12 (Thursday, April 26, 2012)