Thread: Muhabbat!!!
View Single Post
  #1  
Old Monday, March 13, 2006
111's Avatar
111 111 is offline
Member
 
Join Date: Feb 2006
Location: MAQTAL
Posts: 59
Thanks: 0
Thanked 28 Times in 11 Posts
111 is on a distinguished road
Lightbulb Muhabbat!!!

Muhabbat

* Zameen k safar main agar koi cheez aasmani hae tu woh muhabbat hee hae.

* Muhabbat koshish ya mehnut sae hasil nahi hoti bulk yeh atta hae aur

naseeb hae.

* Hum jis k hama-waqt qareeb rehna chahtey hain wohi mehboob hae.

* Muhib ko mehboob main kaji ya khami nazar nahi aati,agar nazar aaye bhi

tu mehsoos nahi hoti aur mehsoos ho bhi tu nagwaar nahi guzarti.

* Hum jis zaat ki baqaa k liye apni zaat ki fana tuk bhi gawara kurtey hain,

wohi mehboob hae.

* Muhabbat ishteha-e-nafus aur taskeen-e-wajood ka naam nahi bulk

muhabbat dou roohon ki naa khatum honey wali bahmee parwaz hae.

* Zindgee sirf Newton hee nahi ,zindgee Milton bhi hae.

* Muhabbat hee woh aaina hae jis main insan apni asli shakal,baatni shakal

aur haqeeqi shakal dekhta hae.

* Mehboob ka firaq beenai cheen laeta hae aur mehboob ki qameez ki

khushbu sae baenaii wapis aati hae.

* Aqeedon aur nazreeat sae muhabbat nahi hoti, muhabbat insan sae hoti

hae .agar Hazoor Paak (SAW) sae muhabbat naa ho tu Khuda sae ya Islam

sae muhabbat nahi ho sakti.

Wasif Ali Wasif
__________________
If you think you can, you can. And if you think you can't, you're right.
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to 111 For This Useful Post:
dogar1986 (Wednesday, June 15, 2011)