View Single Post
  #1  
Old Sunday, May 31, 2009
sara soomro's Avatar
sara soomro sara soomro is offline
Senior Member
 
Join Date: Jan 2008
Location: pakistan
Posts: 808
Thanks: 232
Thanked 1,099 Times in 496 Posts
sara soomro has a spectacular aura aboutsara soomro has a spectacular aura about
Default Some Quotes of Hazrat Ali (RA).

Hazrat ALi R.A

"Tabeyat ki Narmi aur Sakhawat, insan ko Dushmnon k dilon main b Mehboob bana deti hai"


Hazrat Ali R.A.

Tum acha karo aur zamana tum ko bura samjhy, yeh tumharay haq main behtar hai, bajaye is k k tum bura karo aur zamana tum ko acha samjhay.

Hazrat Ali (R.A)

Wo gunah jo tumhare dil mein ranj paida kare, us naiki se behtar hai jo tumhare dil mein ghuroor paida kar de.

Hazrat Ali ( R.A )

barish ka qatraha seepee aur saanp dono k muh main girta hai.
Seepee ussay moti bana deti hai aur saanp zehar bana deta hai.
Jis ka jaisa zarf waisi us ki takhleeq hoti hai.

Hazrat ali (R.A)

Koi GUNAH Lazzat k lye mat karna
q k Lazat khatam ho jaegi GUNAH baqi rahjaega ,
Or koi NEKI taklif ki waja se mat chorna q k
taklif khatam ho jaegi NEKI baqi rahjaege!

Hazrat ali (R.A)

"Agar ksi ka banna chahte ho tou puri haqeeqat se ban jao
Warna,apni zaat main aisi haqeeqat paida kr lo
K koi haqeqat main tumhara ban jaye

Hazrat Ali R.A

Ibn-e-adam!
Jab gunahon k bawajood Allah ki naimmatain musalsal tujhe milti rahen tou hoshyaar ho jana, k tera hisaab qareeb aur sakht tareen hai

HAZRAT ALI (R.A.)

Jab Tum Duniya ki Muflasi say Tang Aa jao aur Rizq ka koi Rasta na Niklay to Sadqa day kar ALLAH say Tijarat karo...

Hazrat ALi R.A

Sab se buri Kamai sod ki kamai,
Sab se buri Mazrat wo, jo mot k waqt ki jaey,
Sab se bura Khana yatim ka maal khana he.

Hazrat Ali R.A

"Allah ki shan ye nahe k DUA ka darvaza kholay aur QUBOLIAT ka band kr day Ya TAUBA ka darvaza kholay aur MAGHFIRAT ka darvaza band kr day".

Hazrat Ali (R.A)

Tum Kisi Ko Chaho Or Wo Tumhen Thukrade,
To Ye Us Ki Bad Nasibi Hai
Or Us k Bad Tum Usko Zabar Dasti Apnana Chaho To Ye Tumhari Nafs Ki Zillat Hai


HAZRAT ALI (R.A.)

Jab Tum Duniya ki Muflasi say Tang Aa jao aur Rizq ka koi Rasta na Niklay to Sadqa day kar ALLAH say Tijarat karo...

HAZRAT ALI (R.A)

"Insan ki izzat aur us se mohabbat karo,kyun k har insan ke andar khuda ki koi Na koi sift maujood Hoti hai."

"Hazrat ali R .A"

"Mash'ra kufr k sath to reh sakta hai per na insafi k sath nae reh sakta"

Hazrat Ali(R.A)

log dukh nahi detay, un say wabasta umeedain dukh dayti hain.

Hazrat Ali(R.A)

Mujhy jannat Sy Zyada Masjid May Bythna Acha Lgta Hai Kyon K jannat May Mera Naffs Khush Ho Ga jab K Masjid May Mera RAB Khush Ho Ga

Hazrat Ali (R.A):

Ghulab Ka Phool Bano!
kyun K Yeh Phool Us K Haath Me Bhi Khusboo Chor Daita Hai
Jo Isey Masal Kar Phaink Daita Hai.

HAZRAT Ali(R.A) :

1) Insaan Apni Toheen Muaaf Kar Sakta Hai Bhool Nahi Sakta!
2) Kabhi Na Girna Kamaal Nahi Bal'k Gir K Sanbhal Jaana Kamaal Hai.!

HAZRAT Ali(R.A) :

"Jiska raabita
khuda ke saath ho wo naakaam nahi hota"

"Naakaam wo
hota hai Jiski
umeedein
duniya se
waabasta hon"

HAZRAT Ali(R.A) :

''Do tarah se cheezen dekhne me Chotti nazar aati hein"

Ek dooor se..,

or

Doosra gharoor se..."

HAZRAT Ali(R.A) :

Apne dushman ko hazaar mouqay do k woh tumhara dost ban jaye.
Lekin...
Apne dost ko aik bhi mouqa na do k woh tumhara dushman ban jaye.

HAZRAT Ali(R.A) :

Mein baron ki izzat is liye krta hun k unki nekiyaan mujse zaida hen or choton se pyar is liye krta hun k un k gunah mujse kam hen"

HAZRAT Ali(R.A) :

LOGOO ko USI tarha MAAF karo jaisay TUM KHUDA say UMEED rakhtay ho k wo TUMHAY MUAAF karega.

HAZRAT Ali(R.A) :

"Jab main
dastar khuaan par
2 rang k
khane dekhta hoon,
to
Laraz jata hoon!
k
Aaj phir kisi ka haq mara gaya hay"

HAZRAT Ali(R.A) :

"Khush mizaji hamesha khoobsurti ki kami ko poora kr deti hai,

Laykin
Khoobsurti khush mizaji ki kami ko poora nahi kr sakti "

HAZRAT Ali(R.A) :

"Jis shakhs k ache DOST hon,
woh kabhi ghareeb nahi hota"

HAZRAT Ali(R.A) :

Agar tum Mout ki Raftar ko Daikh Laity to tum Zaroor Ummeedo'n Or Umango'n Sy Nafrat krty Or hrgiz in Me Maghroor Na hoty .....


__________________
__________________
Kami kis shae ki hai tere khazaane me mere Allah
Jhukaa ke sar jo maangun teri rehmat mil hi jaaegi...

Last edited by Andrew Dufresne; Friday, September 17, 2010 at 11:56 PM.
Reply With Quote
The Following 33 Users Say Thank You to sara soomro For This Useful Post:
ahmad saeed ur rehman (Saturday, July 23, 2011), Ali Naqvi (Monday, November 08, 2010), ALI SUBHAN (Thursday, December 09, 2010), AliSyed (Monday, October 01, 2012), azeegum (Wednesday, May 05, 2010), Black Coffee (Friday, May 14, 2010), emmjay (Saturday, June 20, 2009), INNOVATIVE (Tuesday, January 03, 2012), iranibilly (Friday, April 26, 2013), israrahmed (Tuesday, July 07, 2009), Malik Iqbal (Sunday, September 30, 2012), muhammad rameez (Sunday, December 19, 2010), Mukarrum (Wednesday, January 04, 2012), Mumtaz Hayat Maneka (Tuesday, June 02, 2009), Naheedmir (Tuesday, November 10, 2020), naveed143smile (Sunday, April 22, 2012), Noor_2009 (Friday, May 14, 2010), Pakistan Zindabaad (Saturday, March 12, 2011), RAKSHAN (Monday, August 17, 2009), Raz (Sunday, May 31, 2009), Razzi (Wednesday, January 04, 2012), roijen (Thursday, June 14, 2012), saitzaz (Tuesday, June 02, 2009), seeriious (Saturday, October 23, 2010), shahzeb22 (Tuesday, November 06, 2012), Shikva (Wednesday, June 08, 2011), Slazenger (Saturday, July 24, 2010), supersonic dexter (Wednesday, June 10, 2009), Syed Ali Rizvi (Wednesday, September 16, 2009), Wamik (Saturday, July 16, 2011), Zahara Alvi (Friday, October 22, 2010), Zarlasht (Tuesday, September 08, 2009), Zoyee (Saturday, April 17, 2010)