View Single Post
  #2  
Old Sunday, May 31, 2009
sara soomro's Avatar
sara soomro sara soomro is offline
Senior Member
 
Join Date: Jan 2008
Location: pakistan
Posts: 808
Thanks: 232
Thanked 1,099 Times in 496 Posts
sara soomro has a spectacular aura aboutsara soomro has a spectacular aura about
Default

Insan ka apne Dushman s inteqam ka sb sy acha tariqa ye he k wo apni khubiyon me izafa kre 'Hazrat Ali (R.A)

Kisi ne Hazrat ALI R.A se poocha:


"Dost aur bhai main kya farq hai?"
Aap ne farmaya:
"Bhai sona hai aur dost heera hai."
Us aadmi ne kaha:
"Aap ne bhai ko kam qeemat aur dost ko qeemti cheez se kyun tashbeeh di?"
To aap ne farmaya:
"Sone main agar darar aa jaye to us ko pighla kar bilkul pehlay jaisa banaya ja sakta hai. Jab ke heeray main aik darar aa jai to wo kabhi bhi pehlay jaisa nahi ban sakta.'
-----------

Ager kisi ka zaraf azmana ho to usko ziada izat do

Wo ala zaraf hoa to ap ko or izat day ga
or kam zaraf hoa to khud ko AALA ZARAF sumjhey ga
( Hazrat ALI R.A )

Hazrat ALI R.A Ka Frman Hy:-

"Bura Dost Aag Ki Manind Hy"
"Agr Jalta Hoga To Apko Jala Dega"
"Or Agr Bujha Hoga To Ap K Hath Kale Kr Dega"

Logon Ki

Zaroraton Ka
Tum Se Wabasta
Hona Tum Per
ALLAH Ki
Enyat Hai.
(Imam Hussain R.A)


Jub meri DUA kabol ho tu mein khush hota houn

k is main meri marzi hai aur
Jub kabol na ho tu mein aur khus hota houn
k ye ALLAh ki marzi hai
( Hazrat ALI R.A )

IKHTIYAR, TAAQAT aur DOULAT

aisi cheezain hain jin k milnay say log
badaltay nahin BAYNAQAB hotay hain( Hazrat ALI R.A )
----------

Allah k nazdek sab say ziada gunah gar chez jhoot bolnay wali zuban he.

(Hazrat Ali R.A)
------------

Main Jannat K Shouq Main ebadat Nahe Kerta,

K Ye Ebadat Nahe Tijarat Hay
Main Dozakh K Khoof Say Ebadat Nahe Kerta,
K ye Ebadat Nahe.Ghulami Hai...
Main Ebadat Sirf Is Liye Kerta hon...
K Mera RuB ebadat K LayeQ Hai....... ( Hazrat ALI R.A )
-----------

Aik Shakhs Ne Hazrat ALI R.A Sey Poocha,

Q: Qarib Kya Hai?
A: Qyamat
Q: Or Qareeb Ter?
A: Maut
Q: Ajeeb Kya HAi?
A: Duniya
Q: Aur Ajeeb Tar?
A: Talib-e-Duniya
Q: Wajib Kya Hai?
A; Toba
Q: Or Wajib Tar?
A: Gunah K Forun Bad Toba
Q: Mushkil Kya Hai?
A: Qaber Mein Utrna
Q: Or Mushkil Tar?
A: Amal K Bagair Utrna
-----------

Apni zuban ki tezi us per mat azmao jis ne tumhen bolna sekhaya ( Hazrat ALI R.A )

-----------
-"Sub se Ziyada Kamzor AADMI wo he Jo DOST ko HAASIL karne me Naakaam ho,Aur us se bhi Ziyada Kamzor Wo he Jo Haath aai howe DOST ko ganwa de"( Hazrat ALI R.A )

-----------
"2 cheezein saari zindagi kaam ayengi,

1 = Ghussay ki halat mein koi faisla mat karo!
2 = Khushi ki haalat mein koi wada mat kro!
( Hazrat ALI R.A )


Insaan Bhi kitna Ajeeb Hy,

Jab kisi Cheez se Darta Hy to Us se Dour Bhagta Hy.
Jab ALLAH Sy Darta Hy to Us k Or Qreeb Ho Jata Hy..
( Hazrat ALI R.A )


Dunya Daron ki Sohbat ikhtyar Na karo Q K Agar tu Tang-dast huwa to ye tujhe Chorh Denge Or agar to Dolat-mand huwa to Tujh se Hasad karen gay.( Hazrat ALI R.A )

-----------
Acha Dost Kitni Dafa Hi Kiyon Na Ruth Jaye Usay Mana Lena Chahiye!

Kiyon K Tasbi K Daney Kitni Dafa Hi Kiyon Na Bikhrein Chun Liye Jate Hain!( Hazrat ALI a.s )
-----------
"Yeh na socho k ALLAH dua foran qabool kyun nahi karta,

yeh shukar karo k ALLAH hamaray gunaahon ki saza foran nahi deta..."
( Hazrat ALI R.A )



4 Batain Elim Ka NIchour Hain,

1.) ALlah Ki Itni Ebadat Karo Jitni Tumhain ALLAH Ki Zaroret Hay.
2.) ALlah Ki Nafermani Itni Karo Jitna Allah K Azaab Per Saber Ker Saktey Ho..
3.) Dunya K Liye Itna Amal KAro Jitna K Tumhain Dunya Mian Rehna Hai,,
4.) Aakhrat K Liye Itna AMal Karo Jitna K Tmhain Wahan Rehna Hain....!!!
( Hazrat ALI R.A )


kisi ki madad kartay waqt us k chehray ki janib mat daikho, ho sakta hay us ki sharminda ankhain tumharay dil main gharur ka beej bo dain.( Hazrat ALI R.A )

------------

Bay shak dunya or akhrat ki misal
asay ha jasay 1 shaks ki 2 b v ian
hon 1 ko razi karta ha to dosri roth
jati ha
HAZRAT ALI(R.A)
__________________
Kami kis shae ki hai tere khazaane me mere Allah
Jhukaa ke sar jo maangun teri rehmat mil hi jaaegi...

Last edited by Xeric; Sunday, May 31, 2009 at 03:09 PM.
Reply With Quote
The Following 15 Users Say Thank You to sara soomro For This Useful Post:
ahmad saeed ur rehman (Saturday, July 23, 2011), ALI SUBHAN (Thursday, December 09, 2010), anum balouch (Wednesday, January 15, 2014), Beauty (Saturday, April 27, 2013), Black Coffee (Friday, May 14, 2010), INNOVATIVE (Tuesday, January 03, 2012), Muhammad iqbal Serwar (Wednesday, June 15, 2011), Noor_2009 (Friday, May 14, 2010), Pakistan Zindabaad (Saturday, March 12, 2011), Raz (Sunday, May 31, 2009), shahzeb22 (Tuesday, November 06, 2012), supersonic dexter (Wednesday, June 10, 2009), Syed Ali Rizvi (Wednesday, September 16, 2009), waaqar (Saturday, July 24, 2010), Zahara Alvi (Friday, October 22, 2010)