View Single Post
  #38  
Old Saturday, June 06, 2009
sara soomro's Avatar
sara soomro sara soomro is offline
Senior Member
 
Join Date: Jan 2008
Location: pakistan
Posts: 808
Thanks: 232
Thanked 1,099 Times in 496 Posts
sara soomro has a spectacular aura aboutsara soomro has a spectacular aura about
Default

Mummy,aapko pata hai Mujhe ALLAH kiun nahi mil sakta.
mere aur ALLAH ke darmiyan Khawahishoon ki diwar hai.
Aasaiyshoon ki diwar hai. main ne apne irdgird duniya ki itni cheezein ikathi ker lii hai ke ALLAH tu mere pass aaa hi nahi sakta.
jisse Woh apni Mohabbat de deta hai isse phir aur kisi cheez ki khawahish hi nahi hoti
aur jisse duniya deta hai usski khawahish bhook ban jati hai kabhi khatam hi nahi hoti...

" Shehar-e-Zaat.



*********************************
*********************************


Zindagi main aik cheez hoti hay jisay Compromise kehtay hain....pur-sakoon zindagi guzarnay k liay is ki bohat zaroorat parti hay...jis cheez ko tum badal na sako is k saath compromise ker lia kro, mager apni kisi bhi khuahish ko kabhi bhi janoon mat bnana, keon k zindagi main kuch cheezain aisi hoti hain jo hmain kabhi nahi mil sakteen...chahay hum roain, chillain,,,ya bchon ki tarah airian rgrain...wo kisi dosray k liay hoti hain...magar is ka yeh matlab nahi k zindagi main hamaray liay kuch hota hi nahi...kuch na kuch hmaray liay bhi hota hay


(AmarBail,)



Andheray nay saath bethay hoay shakhss ki shanaht khatam nahi ki thi....yeh kaam ROSHNI nay kia tha...Roshni mojzay kerti hay...wajood ko is tarah ayaan kerti hay k kisi faraib aur dhokay main rehna mumkin hi nahi rehta....Muqaddar ko munawwer ker deti hay...haar mannay per qabr main utar deti hay...na mannay per saleb peh charha deti hay...bus cheezon ko un k muqam per rehnay nahi deti...paras say chhuay baghair bhi insaan sona ban jata hay aur aag k paas aaey baghair bhi mom ki tarah pighalnay lagta hay....ROSHNI waqiay mojzay kerti hay.....


Amar bail ...
__________________
Kami kis shae ki hai tere khazaane me mere Allah
Jhukaa ke sar jo maangun teri rehmat mil hi jaaegi...

Last edited by Predator; Tuesday, June 09, 2009 at 08:45 AM.
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to sara soomro For This Useful Post:
ravaila (Saturday, June 06, 2009)