View Single Post
  #28  
Old Saturday, June 06, 2009
ravaila's Avatar
ravaila ravaila is offline
Senior Member
 
Join Date: Jan 2008
Location: city of miTTi kaTTA
Posts: 877
Thanks: 1,549
Thanked 798 Times in 436 Posts
ravaila is a glorious beacon of lightravaila is a glorious beacon of lightravaila is a glorious beacon of lightravaila is a glorious beacon of lightravaila is a glorious beacon of lightravaila is a glorious beacon of light
Default

Khabar-e-tahayyur-e-ishq sunn, na junoon raha na pari rahi

Na toh tu raha na toh mein raha, jo rahi so be-khabari rahi

**************
Shah-e-bekhudi ne ataa kia, mujhay ab libas-e-barahanagi

Na khirad ki bakhiyagari rahi, na junoon ki pardadari rahi

*********************
Chali simt-e-ghaib se aik hava, ke chaman zahoor ka jal gaya

Magar aik shakh-e-nihal-e-gham, jise dil kahe so hari rahi

***************************
Nazar-e-taghaful-e-yaar ka, gila kis zuban se bayan karoon

Ke sharab-e-sad-qadaah aarzu, khum-e-dil mein thi so bhari rahi

****************************
Woh ajab ghari thi mein jis ghari, liya dars nuskha-e-ishq ka

Ke kitab aql ki taaq main, jyun dhari thi tyun hi dhari rahi

*********************************
Tere josh-e-hairat-e-husn ka, asar iss qadar so yahan hua

Ke na aayine main jila rahi, na pari kuun jalva gari rahi

******************************
Kiya khak-e-aatish-e-ishq ne dil-e-benava-e-Siraj ko

Na khatar raha na hazar raha, magar aik be-khatari rahi
__________________
Jo ALLAH karay c .. o sohna karay c
jab bhi kaam aaya mera PARVARIGAAR kaam aaya
Reply With Quote