View Single Post
  #7  
Old Tuesday, July 14, 2009
Red Flower's Avatar
Red Flower Red Flower is offline
Senior Member
 
Join Date: Apr 2009
Location: In The Garden
Posts: 1,050
Thanks: 337
Thanked 957 Times in 527 Posts
Red Flower has a spectacular aura aboutRed Flower has a spectacular aura about
Default


* Dosti aik aisa rishta hai jisay admi khud parwan charhata hy.
* Adab lazawal kamal hy aur khairaat sab sy bari naiki hy.
* Maut aik baykhabar sathi hy.
* Naikion par gharoor kar ky insane naiki ko zaiya kr deta hy.
* Khawahishian insan ko maar deti hain aur buri adatain insane ki taqatwar dushman hain.
* Aqalmandi fikr main mubtala kr deti hy.
* Fasiq ko bura kehna burai main shamil nahi.
* Apni zuban ko qaboo main rakhnay wala hamesha faiday main rehta hy.
* Ghareeb wo hy jiska koi dost nahi.
* Tajarbay aqal main izafa kartay hain.
* Muaf karnay main jaldi karna behtareen sharafat ka saboot hy.
* Lalach rizq ka dushman hy.
* Ilm maal sy behtar hy, kyon ky ilm hi behtareen muhafiz aur dost hy.
* Sharafat aqal aura dab sy milti hy.
* Jo shakhs kisi ky aaib talash karta hy, wo aaib khud us main paida ho jatay hian.
* Beemari aur muflisi ko apny oper ghalib nahi aanay dena chahiyay.
* Jo apny ap ko muhtaaj banata hy wo hamesha muhtaaj hi rehta hy.
* Jo Allah ko faramosh kr deta hy, Allah usko bhula deta hy.
* Bayqarari main sawab aur ajr mit jata hy.
* Apny sy ziyada ilm walon sy ilm hasil karo.
* Kanjoos duniya main gadagaron ki zindagi basr krty hain.
* Hamsaye ka bura chahnay wala burai ka shikar ko jata hy.
* Agr kisi par ehsan karo to usay dosron sy bhi chupa kr rakh.
* Momin wo nahi jiski mehfil paak ho, Momin wo hy jiski tanhai paak ho.
__________________
Defeat is not when you fall down, it is when you refuse to get up. So keep getting up when you have a fall.
Reply With Quote
The Following 6 Users Say Thank You to Red Flower For This Useful Post:
Black Coffee (Friday, May 14, 2010), Noor_2009 (Friday, May 14, 2010), shahzeb22 (Tuesday, November 06, 2012), supersonic dexter (Tuesday, September 08, 2009), umerishtiyaq (Wednesday, August 10, 2011), Zahara Alvi (Friday, October 22, 2010)