View Single Post
  #4  
Old Saturday, April 08, 2006
Eram Khan's Avatar
Eram Khan Eram Khan is offline
Poetess of the Forum
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason: Medal of Appreciation
 
Join Date: Dec 2005
Location: Dubai
Posts: 144
Thanks: 0
Thanked 41 Times in 12 Posts
Eram Khan is on a distinguished road
Default beautifully written by Umaira Ehmad !!!!!!!!!

Mein Aik Orat Hon


Main aik ORAT hon.. Ye mairi Shanakht hey..jisper SAB Muttafiq hain… magar Baz daffa mujhay bohot say rishton kay hawalon say bhi Pukara jata hey.. jayssay MAN, BAYTii, BEHEN,BEVii, BAHO, SAAS waghaira waghaira…. Mairay Liye istamal honay walay lafzon ka Zakheera yahhin khatm nahe ho jaata….. Tawaif, Call-Girl, or Girl-Friend jayssay lafz bhi mairay liye makh’sos hain…or han ! Baz dosray LAFZ bhi hain jinsey mujhay pukara jata hey.. maslan..
Fasad-ki-Jar,
Museebat,
Nahoosat,
Fitna,
Paon-ki-Jooti,
AllahMiyan-ki-Gayee,
Lanat

waghaira waghaira. Baz aysay Lafzon say bhi mujhay Pukaara Jata hay, jinka iz’har karma or unhain yahan Tehreer karma Munasib nahe ho ga, Tehreer karney ki zaroorat bhi kia hay Agar aap Mard hain to yakeenan aap un Alkabat sey wakif hi hon gay, jinsey ap Ghar sey bahar wali Orat ko Pukartey hain.Us orat ko jinsey apka koye door ka ya Nazdek ka RiShta nahe hota. Bas aap usay Kaheen bhi daikh laitay hain.. Hotel main, Park main, Sarak per ! University main, office main ! kaheen bhi,, Or agar aap aik Orat hain .. to phir ap bhee in tamam Alfaz sey Wakif hi hon gi… kewnke Zindagi main ap kabhi na kabhi Ghar se Bahir Zaror gayi hon gi… Or phir AApney apney Liye aysa Koye Lafz to Zaror suna ho ga…. !

Abtak aap Yakee’nan maira image jaan chukay Hon gay… (in sab Alfaz, Alqabat or Namoun ki Roshnii main…) Bahar-Haal aik Lafz jo mairay liye kabhi sahhee Ma’non main istamaal nahee kia gaya wo hay “iNSAAN” ka Lafz…. Mujhay hamaisha Ye Hasrat Rahi hay ke Kaash mujhay koye : tum Orat ho : ki bajayee “Tum insaan ho !” kahay… kabhi aik bar ! Bhol-Chok sey ! …

Hairaan ho Rahay hain na Aap???? Ke aakhir insane Lafz main aysi kia bat hey ! ke main apney liye Ye Lafz istamal karwana chahtii hon… “INSAAN” Lafz “ Ashraf-al-MakhloKaat” key liye istamaal hota hay… Or agar kabhi kissi nay mairay liye ye lafz istamal kia hota, to main bhi khud ko dosri makhlokat sey bar-tar or Afzal samajhti…
Chand Lamhon ki Khushii miltii. ! Kuch dair Sokoon Rehta ! “DOOSRiii Makhlokat” sey mairi Muraad “Janwaron or Keeron sey hay ! or han! Darakhton or Podon ko bhi in-main shamil kar lain… to bas khud ko main inseh behtar samajhtii… Magar..! Magar . aap kabhi bhi ye mat sochain keh main in Makhlokat mein “Mard” ko shamil kar rahi hon…. Main nay bataya na keh main khudko sirf Janwaron keeron or Podon sey bar-tar Samajhtii…

Janwaron main Khas tor par “Kuttey” sey !
KeeRon main Khas tor par “ ChewNtii” sey !
Or Podon main Khas tor par “Ghass” sey !

Magar main apko aik bar phir Yakeen Dahani Karwa rahi hon.. keh main Mard ko in Makhlokat mein Shamil Naheee kar rahii, Main aysa Karney ki JuR’at kar hii nahe sakti.!

Oorat Allah ki aysii Takhleeq hay jis-sey isski Pori Zindagi main Koyee bhi Khush Nahee hota..!.. Khush rehna to DarKanar,Koye isey Pasand tak nahee karta… Laikin iskey BaVajod isey Bardasht karma Parta hey, Kewnke isski Zaroorat Partii rehti hay ….

Billkul waysay hi jaysay Zameen kitni hi BanJar, Garm or KhurDuri kewn na ho , koye bhi ye Khuahish nahe karta ke Pairon Talay say Zameen Ghayeb ho Jayee ! kewnke Kadam Jamanay ke liye , Pairon ke Neechay kissi na kissi chez ki Zarorat to hoti hi hay na…..Chahay wo Banjar,Khurdari or Garam Zamen hi kewn na ho..Us Zamen pe koye paon Khushi sey Rakhey ya NaraZgii sey… Bahar-Haal Paon to Rakhna hi Partaa hey…

Or main bhi pairon key neechay aney wali aysi hi Zamen hon…

Aaj sey Bohot Sal pehley ALAH ney “insan” ko Banaya Yani “Mard” ko….. Uswakt ALLAH ney mujhey iskey Sath nahee banaya… Sirf Mard hi ko Banaya… Phir Mard ko iLM ata kiaa….or Sarey farishton ko issey Sajda karney ko Kaha…

Main usWakt bhi nahii thi…

Mujhey Allah nay usskey Kaafi dair Baad banaya… or Ajeb Bat ye hey ke Mard ko ALLAH ney Mittii sey Banaya… Bay-Jan mitti sey ! Bay-Ronak Mitti sey ! Aysi Mitti jismain Khushbo tak nahe thii… Laikin Mujhey ALLAH ney Mard ki Paslii sey Payda kia… Ajeb Bat hey na??? Mujhey Usney aik aysi cheez se banaya jissey ALLAH nay iLm ki Takat di… jissey ALLAH ney Farishton sey Sajda Karwaya..!Jisko Sajda kerney pe iNkar per iBlees hamaysha key Liye Ma’tooob Karar dey diya gaya… jissey ALLAH nay Zamen par apni Khilafat key Liye muntakhib kia…Kayssi Ajeeb Bat hey na ke Mard key liye istamal honey wala material billkul Aam or Mamooli tha… or Mujhey bananey key liye liya janay wala Material kitna Aala thaphir bhi Zamen par Mujhay Kabhi wo iZZat, Qadar, or ehhmiyyat Hasil na hoyee jo Mard ko hasil hoyee…

Bahar haal! Jannat main apni takhleek kay baad main to is bat par hee bohot Nazan thee k mujhay ALLAH nay aysay Super material say banaya hey or Mujhay us Makhlok ka sathi banaya hey. Jissey Allah ney zameen per Khilafat k liye muntakhib kia hey… Mujhay bananay ka maksad Araam or Sokon tha Ajeeb bat hey na?? k mairay jayssi makhlok ki takhleek ka maksad hi Araam or Sokon tha.. Yani ALLAH taala ney takleef ka unsar hee mairay vojod main nahe rakha tha.. mairay liye ye bohot Fakhar ki bat thee..

Main jannat main us mard ki hamRaahi main bohot Khush or Masroor thee jisskey liye mujhay takhleek kia gaya tha.. or Jissey Zameen per apni Khilafat k liye ALLAH ney muntakhib kia tha .. Main Apko bata chukii hon keh Mairi takhleek ka maksad hee aram or sokon pohnchana tha or jannat main apney Qayam key doran main ney poori kooshish ki k apney saathi ko sokon peohnchaon.. isskey liye aik acha ham-raaz sabit ho sakon.. aik acha saathi ban paon…. Maira khayal hey ke main apni is koshish main bari had tak
kam-yab thee kewn-ke mairay sathi ko kabhi mujh-say shikayat nahe hoye or usney hamaysha mujhsay piyar or mohabbat ka Solok kia wahan pehli bar mujhay Mehsoos hoa ke wo mairi izzat bhee karta hay… or ussey mairi zaroorat bhe the.. or is Ehsaas ney mairay Aitamaad ko oor bhe barhaa diya…

kia is-sey barh ker koye or bat kabil-e-fakhar ho sakti hay ke koye aapsey mohabbat or izzat ka solok karta hay….or kisi ko apki zaroorat bhee hay… UN dinon wakayee main bohot khush hoa kartee the balkeh ye kehna Ziaada behtar ho ga keh HAM DONON hee bohot khush hoa kartey thay..!.. NAHEEE !!! shayed ye kehna sahhe nahe hay kewnkeh MARD to aj bhe bohot khush hey,,.. HAN agar kisi ki khushi main kami aye hay to wo MAIN hon…….

NAHEEEE !!! maira khayal hey aap is sentence ko is tarah parhain to ziaada behtar ho ga keh…….. kisi ki khushii agar "KHATAM" ho gaye hay to wo "MAIN" hon…

Bahar-haal main apko bata rahii the keh UN dinon main bohot khush the.. ham donon jannat key baghon main phira kartey thay… wahan ki khobsoorti ko sarahtey.. or wahan ki Asayeeshon say Lutf-Andoz hotey Or phir apney Parwar-Digar ka shukr ada kartey… jisney ham par apna itna Rehm-o-Karam Nazil kia…. Ham donon ka Khiyal tha keh hamari sari Zindagii isi tarah Pursokon guzray gee… kahen koye mushkil nahe aye ge..magar ye hamari khush-fehmii the.. Ham apni Khusheon main magan ho ker IBLEES ko to bhol hi gaye they…

IBLEES ko to aap jantey hi hon gey..!.... ye wohhi tha jisney ALLAH ke kehnay key bawajood mairay sathi ko sajda kerney say inkaar kar diya tha….

Jab mairi takhleek ke gayee to mujhay is Kissay ka bhee pata chala or aap yakeen karain keh mujhay ibleees ko daikhay baghair hi us-sey Shadeed Nafrat ho gaye thee…

Ab aap soch rahay hon gey keh bhala mairi Nafrat ki kiaa wajah the?? Aakhir iblees ney mujhay sajda karney sey inkar to nahe kia tha…ap sahe soch rahay hayn

Laikin.!!!!!

kia Nafrat ki ye Waja Munaasib nahe hay keh uss-ney "MAIRAY" sathee ko sajda karney say inkar kia tha..uss sathe ko jissey ALLAH ney ilm say nawaza tha ! or jissey Zameen per apni Khilafat sompe the… Or…Or… jis-sey main SHADEED mohabbat karte the…

iblees ney USSEY sajda karney say inkar ker key usey takleef pohnchaye jis-key Aram-o-sokon key liye MUJHEY takhleek kia gaya tha or UN-SAB sey baree aik wajah yeh hay keh … iblees ney "ALLAAH" ki Nafarmani ke the…mujhey hayrani hoye the keh koye apney khalik ki Na-Farmaani kayssay kar sakta hay…!

Hazaaron sal iblees apney Khalik key Paas raha.. Uss ki meherbaneon or inayat say mustafeed hota raha .. Usski HamdoSana bhe karta raha Or phir ALLAH ney ussey aik Mamoole sa kam karney ko kaha OR usney na sirf inkaar kar diya balkeh Ye kasam Khayee keh who AZAL tak insane ko bhatkayee ga……GumRaah karey ga Or ALLAH ki NaFarmani pe uksaye ga.. Aysi NaFarmani jayssi per wo Khud maghdoob hoa…. Kisi cheez say Nafrat key liye koye is-sey ziada vojohat to nahe paish kar sakta na !,,,

BASS !!! inhee sab baton ki wajah sey mujhey iblees sey Sakht Nafrat ho gayee or main ney ye Tey kia tha ke main is-key Jhansey main nahe aaon ge… Main Kabhee ALLAH ki nafarmani nahe karon ge.. or ap yakeen karein keh jahan tak mujh-sey mumkin hoa main ney uskey faraib main NA aney key liye apni Poori Koshish kee Magar iblees itna Kam-Zor nahe tha…. Jitna main ney ussey samajh liya… or mujhey Pata hi nahe chala… Kab mein uskey Faraib main aa ker Gum-Raah ho gayee..

Issmain maira bhi ittna Kosoor to nahe tha AGARR meiray sathi jayssa Ba-iLm insane Usskey faraib main aa sakta hey to phir main kahan Bach saktee hon…Phir aap Khud soochain ke Ye Kam mairay sathi ka tha ke woo Mujhay Shaitan ke Faraib main anaey sey Bachaata AAKHIR ye wohhi to tha jissey KHUDA ney ilm ki Naimat sey Nawaza tha..!..Or apna Nayeb banaya tha !.. phir mairi NigehBaani ka Zimma bhee ussi key supurd kia tha Magar aysa nahe hoa Mujhey shaitan key chungal sey churaaney ki bajaye wo khud shaitan key faraib main aa gaya…

Phir ham donon ney mil ker ALLAH ki sareeh Na-farmaani ke Jis Darakht key Paas janey sey ALLAH ney mana farmaya tha ham donon na sirf usskey Pass gaye balkeh Usska Phal bhe Khaya..Phir ALLAH ham sey Naraz ho gaya or Saza key Tor per ALLAh ney ham donon ko Zameeen per Bhijwa diya…

Ye Ham Donon ki wo ghaltee the jis-ki saari Zimme-Dari Mard ney Mujhper ayed kar dee or ye aysi Ghaltii the Jisskey liye ALLAH ney mujhey Maaf kar diya magar MARD ney mujhey aaaj-takk maaf nahe kia kitni Sadiyan Guzar gayeen magar aj bhi mard mujhay mord-e-ilzam thehrata hey ke MAIREY behkawey mein aa ker ussney ALLAH ki Na-Farmani ke … Aap khud sochain..! ke Mairey jayssi Bay-ilm kia . ittni takatwar ho saktee hay … keh wo Mard jayssey Ba-ilm ko farayb day saktee .. Mujhey Hayrat hooti hey keh MARD iblees ki bajaye is ghalti key liye MUJHEY ilzam kewn daita hey.. MEIN ney to kabhi Ussey ilzam nahee diya ke Mujhey shaitan key Behkawey sey bachaney key liye ussney apney ilm ki takat ko istamal kewn nahe kia … MAGAR wo kisi tarah bhi mujhay bakhshney ko tayyar nahe… uska khayal hey ke AGAR mein usey na Behkati to Usey KABHEE bhee Zameen per nahe ana parta.. wo hamaisha Jannat main hi rehta…..

Kia aap usski iss Bat per Yakeen kar saktey hain???? Ho sakta hey apko usski is Bat per Yakeen aa jayee MAGAR..!! kia aapney ye soocha hey keh KHUDA ney ussey ZAMEEN per apna Nayeb kaysay banaya..? jab mard key Bakol agar mairay Behkawey main NAA aaney per… who hamaysha Jannat main hi rehta tha to?? Haaan Sooochain !! keh KHUDA ney ussey JANNAT mein apna Nayeb kewn nahe banaya???? Aakhir ZAMEEEN par hi apna Khaleefa or Nayeb kewn nahe kaha..???? Shayed ap is sawal ka Jawab Na paa sakein !!!!!! to chaplain…. Main aapko bata daitii hon Jawab Bohot Asaan hey… ALLAH ney Farishton sey USSKA tarruf YEH keh ker karwaya tha keh…

“ MAIN ney issey ZAMEEEN per apna Khaleefa or Nayeb Banaya hey !!”

Isska matlab tha ke wo Shaitan keh Behkaawey main ata !! Yaa naa ata !! USS darakht ka Phal khata !! Ya na Khaata !! Bahar-hal aik din aysa Zaroor ana tha jab KHUDA ney ussey Zameen per Bhaij hi daina tha …….Ussey Banaya hee ZAMEEEN key liye gaya tha...JANNAT key liye NAHEE..!!!!....to PHIRR wo MUJH-PER ilzam keysey aayed kar sakta hey ??????

Zameen per Aaney key aik arsa Baad tak ham donon aik dosrey say Bohot door rahey Mujhay nahe pata tha keh who Zameen per kahan hey.? Na hi ussey Ye pata tha keh Main kahan hon.. Mein Bohot arsey takk ussey talash karte rahee or phir BilAakhir wo Mujhey mill gaya… aik Bar phirrsey ikathey ham Zindagi Guzarney lagey…

Zameen per Jannat jayssi Asayeshain nahe then…Magar mujhey usski parwa nahe the..mairay liye ye kaffi tha keh main usskey sath hon.. or usska dukh or such share karti hon.. ussey Aram or sokon Poncha sakti hon… Aakhir ALLAH ney mujhey isi liye to banaya tha or mujhey iskey ilawa oor kisi chez mein dilchaspi bhe nahe the… WOO khuda ki pasandeeda Makhlok.!! OR MAIN Khuda ki Pasandeeda Makhlok key liye Muntakhib sathee….

MAGAR !!! pata nahe kewn Zameen per usskey sath rehnay key bad Mujhey Ehsas hoa keh usskey dil main marey liye Pehley jayssi Kadar or Mohabbat nahe rahi.. Koyee Cheez thee ! jo ham donon key beech Dewar ban gaye the… Ussney Mujhay Maf nahe kia tha Main ney Bohot Bar ye Janney key Bavajod key Ghalate SIRRF mairi nahe thee Wo bhe issmein Barabar ka shareek tha … Ye Jantey Hoayee bohot bar mein nay us sey Maafi bhe mangee. Itttnii iltija to main nay shayed ALLAH sey bhe nah eke ho ge jitnee mujhey US-SEY karnee paree Har Bar wo Yehhi kehta Keh ussney Mujhey Maaf kar diya tha magar main kabhe mutmaen nahe hoye Usney dil sey kabhe mujhey Maaf nahe kia…AAJ-TAKK nahee Ajeeb Bat hey naaa !!.

“ ALLAH APKO MAF KAR DAITA HEY… MAGAR INSAN NAHE !!!!!”

Uss wakte pehli bar main Bohot Dil-Girifat hoyee mujhey uon laga ke ussey Aram pohnchaney ki bajaye main usey takleef pohnchaney lage hon.. Magar main kuch nahe kar sakte the.. Zamen per Bhaijney ka Faisla ALLAh ka tha .. Main ALLAh key Faislon main Dakhal andazi nahe day sakti the..!

Wakt guzarta raha main apne Na-Karda Ghalte ki talafee key liye dil-o-jan sey usski khidmat kartee rahe magar mairi dil-gariftage or ranjeedgii main kami na aye .. Mairi Khidmat usska Dil jeetney key liye nakaam kewn the….tab pehhli Bar main nay Khuda sey Shikwa bhe kia… Main ney Khuda ko wo sab kuch bataya jo main mehsoos karte the..

ALLAH ki sab sey Behtareen sift ye hey keh wo hamari bat sunta hey. Khamoshi key Saath,, Sokon key Sath ,,, Piyar key Sath,,, iss Wakt bhi jab ham mushtail hotey hain… or ayssi batein keh rahay hotey hein jo hamain kehnaa Zaib nahee daita tab bhe ALLAH hamari batain sun raha hota hey…

ALLAH ki dosrii behtareen sift ye hay keh wo hamaray Zakhmon par marham rakhta hey… mairay sath bhe ALLAH ney aysa hi kia…...

ALLAH ney sirrf AIK mard banaya phir Takhleeq ka ye kaam mujhey Sonp diya kis Kadar barii bat hey ye … keh ALLAH ney zameen per nasal-e-insaani ko agay barhaanay ka aml mairay Supurd kar diyaaa…

Mairi khushi ka koye thikana nahe tha.. Mairay liye ye aik aizaz ki bat thee… keh Khuda ney mairey zimmey itni bari zimm-e-dari sonp dii hay… Maira Khayal tha mard ab yakeenan mairi izzat or kadar karey ga kewnkeh ab main bohot ehem zimm-e-dari sar Anjam day rahi hon… Magar aysa Nahee hoa…. Din-Badin main uski Nazron say oor girtii chali gaye… KHUDA ki janib say sonpe gaye zimm-e-dari key Bavajood who mairey liye apney dil main Koye Khaas jazbat paida na kar saka.. Pehley ki tarah mujhay Hakeer or Bay-Kar hi samajhta raha…. Mairi Khushi ahista ahissta Khatam hoti chalee gayee…. Mujhay uon lagney laga keh main joo chahey kar lon Wo mujhsey kabhi khush nahe ho ga…

Main sabar or shukar sey apni Zindagii Guzar rahee the iskey ilawa main oor kuch nahe kar saktee the… or tabhee achanak aik oor hadisa ho gaya.. Aap HABEEL or KABEEL ko to jantey hi hon gay..!... Mairi wajah sey donon main Jhagra ho gaya…. Main bohot Hairan thee keh AGAR Mard mujhay Na-Pasand karta hey Ussey Mujh-sey Mohabbat Nahee the… Ussey Mairi Zaroorat nahe the… to phir Mairi Malkiyyat keh Muamley per.. ussey is-tarah Larney ki kiaa zaroorat the !..... jis cheez ko aap Na-Pasand kartey hain uss sey to ap Jan Chura laina chahtey hain.. ussey apney pas rakhney key liye ap lartey to nahe…

Magar woo mairey liye na sirrf larta raha Balkeh issi Laraye emain ussney aik dosrey mard ko Qatl bhee kar diya… mairay liye ye aik bohot bara shock tha.. ! Zameen per honey wala PEHLA QATAL oor woo bhe MAIREEE wajah sey or AGAR main phir aapsey ye kahon keh issmain BHEE maira koye kosor nahe tha !.. to kiaa aap Maan lain gey???? Aap manein Ya Na manain Bahar Hal ismain wakaye maira koye kosor nahe tha…. Laikin Mujhey Pachtaawa or Khouf Zaroor tha… keh Mairi wajah sey aik bar phir Mard ney aik Gunaah kia hey……

Qatl karney key bad mard aik bar Phir pachtaaney laga… Mujhey Kosney laga…. Mairey liye issey takleef-deh bat oor kia ho saktee hay.. keh who Pehhley ki tarah ab bhee mujhey hee is Gunah ka Mojib karaar dey raha hey…. Ab bhe who Shaitaan ki Bajayee Mujhey is ka Zimmeh-Daar Karaar day raha hey….IBLEES ka aik oor War kam-yab ho gaya tha………..

issBaar bhe ghalatee mairi nahe the Magar is Bar bhee main nay ALLAH sey bohot Tobah ke…. Sirf ALLAH sey toba hi nah eke… Balkeh Mard sey bhe Mafee mangee.. Nateeja kia hoa…ALLAH ney mujhey maaaf kar diya or Mard key Dil main Parney wali Girhon main aik oor ka izafa ho gaya !

isskey Bad sey Zindage mairey liye kabhe bhee Asaan nahe Rahee Mard ney Mairey liye hatt-al-Makdor mushkilat kharee ken.. Jee Bhar kar Zaleel or Ruswa kia…. Apne har Ghalate ki Mairey Zimmey Lagata raha,, or main har bar.. yehhi soch ker hairan hoti rahee keh Apne ilm ki takat ko istemal kewn nahe karta ?? har bat ko Mairey Sar kewn Mandh daita hey.!!!

KHUDA ney isko Zameen per Hokomat kerney key liye bhaija tha… or isney Zameen per hokomat karney ki bajayee SIRRF mujh-per hokomat karma Apna FARZ samjha or ye hokomat ussney har ROOP main kee ,, wo Baap ka Roop ho ya Baytay ka !! Bhaye ka Roop ho ya Shohar ka !! har roop main ussney mairey liye Zindage ko Mushkil tareen bana diya..

Mairi wo sari khobiyan jo issko kabhee pasand then AB wo inka Mazak uraata hey.. Mairey har Roop main ussey Khud-Gharzee or Bay-wafaye Nazar ati hey.. usska Khiyal hey keh AGAR mujhey kissi cheez sey dil-chaspee hey to who Ropaya hey or ye Ropaya usskey pass hey issliye wo iss-sey mujh samayt maira har Jazba Khareed sakta hey….

Main hairan hoote honk e who kayssa Khaleefa or KHUDA ka nayeb hey jo aysey kam kar raha hey jo KHUDA ko Na-Pasand hain….

Kissi Dour main mujhey ye Fakhar tha keh Mujhay aik ayssi makhlok key liye chuna gaya jo KHUDA ki Pasandeeda tareen hey Magara b ussi Makhlok ko daikh ker main sochtee hon ke kia ab bhee ye makhlok KHUDA ki Pasandeeda tareen hey???? Maira Fakhar or Ghoroor ka who Jazba bhe khatam ho gaya hey…

Duniya main or koye Makhlok nahe hey Jissney Mard ki mairey jittne Khidmat or Ata’at kee ho or Duniya per Koye Makhlok ayssi nahe hey Jiss-sey Mard ney mairey jittne Naffrat ke ho..!!Main ney usski Ata’at or Khidmat main apney Wojod ko mitti bana dala hey…Magar isskey Ba-wajod wo Mujhsey Khush nahe hey….issi khidmat or Ata’at key Josh main Main ney usski Zimm-e-Dariyan bhe Apney Kandhon per Laini shoro kar dee hain or aaj main ney Mard key Hissey ki aadhey sey Ziaada Zimm-e-dariyan apney sar lay lee hain…. Sirrf isskey liye ke WO aram or sokon sey rahay magar isskey Ba-Vajod wo Khush nahee Mujhsye Aram or sokon hasil karney key Ba-Vajod wo Mujhey Bay-Kar or Hakeer samajhta hey or sirrf yehhi nahe mairi Tehkeer key liye wo Nat-naye Alkabaat mujhey daita raha hey isska Khiyal hey key

“Zameen per Honey waaley HAR jhugrey main MAIN kissi na kissi tarah shamil hon”

wo Yee bhe sochta hey keh “ AGAR MAIN Zameen par NAA aati to Ziaada Behtar tha ! Zameen per Honey walay Fasaad mein Bohot kami aa jatee…"

Maira Khiyal tha ke wo kam-az-kam aik MAAN key Roop main to mairi izzat karey ga kewnkeh tab usski takhleek main Maira kirdar bhi shamil hota hey magar aysa nahe hoa !! Maan key Roop main bhe ussney mairii kissi Khidmat or Ata’at ko nahe saraaha…balkeh tab bhe inn cheezon ko apna hack hi samajhta raha BAYTA ban kar bhe wo mujhay Nakis-ul-Akl cheez hi samajhta raha…..

Mairi Mohabbat or Shafkat ko wo mairi Kam-Zoori hi samajhta raha… Bayta ban kar bhee usskey Khiyal main Main kabhee bhe Bay-Wafaye ki murtakib ho sakte hon or Tab ye usska FARZ ban Jaata hey keh wo iss Khata per mujhay Katal ka dey AAp ney aysi kitnee khabrain parhee hon ge jinmein Baytey Mamooli si Khata per MAAN ko mar daytey hain MAAN ban ker bhe mujhey isski zindagi key barey main koye Faisla karney ka Hak nahee !!

kewnkeh usskey Khiyal mein MAIN faysla karney key Kabil nahe hon..or aap mairi Mohabbat ka aalam daikhain ke main MAAN hotey hoaye bhe Baytee ka hak cheen ker ussey daiti rehtiihon.. Bachpan sey Jawani takk har cheez mein ussey baytii per tarjeeh daiti hon Ache Khorak sey achey Libass takk har cheez ussi ka hak bantii hey or main to us wakt bhe ussey Rokney ki koshish nahe kartee jab who apne Behen per Haath uthata hey ya ussey Jhirakta hey ,.. Bayti key sath har cheez main Bay-insafi kartee hon or ye sab aik Mard key liye kartee hon…iskey Ba-Vajod isskey liye kabhe ehmiyyat ikhtiyar nahe kartee… who sari Umr mujhay emotionally Blackmail karta rehta hey..

Or Behen key Roop main bhe wo mairey sath yehi karta hey…. Mujhper Hakmiyyat Jataney ki koshish karte rehta hey…har muamley mein mujh sey Qurbaani chahta hey… or isskey Ba-Vajod bhee aik Mamooli shak ki Bina per wo mujhey Qatl karney say nahe chokta…. Tab bhe ussey maira Koye Eesaar koye qurbaani yad nahe rehtii….

Or Phir agar wo Baap ho to tab bhee mairey liye usskey Usolon or kawaneen mein Koye fark nahe parta… kissi Zamaney main who mujhay Payda hotey hoyee Zameen main ZINDAA garh daita tha… usska Khiyal tha keh mujhsey Nijat Paney ka ye Behtareen Tareeka hay PHIR usney ye tareeka chor diya or kuch naye tareekey apna liyee usski hamaysha yehi koshish rahee hey keh main usskey Gharr main Baytii key Roop main kabhe na aaon… or agar bad-kismati sey aysa ho bhe jayee to wo Bachpan mein bar bar mukhtalif tareekons ey mujhey jatlaata rehta hey keh usney apney ghar mein rakh ker mujh per kitna bara ehsan kia hey tab bhe wo is par iktifa nahe karta…..Baytey ko mujh per tarjeeh daita hey ussey har chez mein mujh per Fokiyat dayta hey

Main Bachpan sey Baap par Jan nisar karte rahi hon… Usskey ghar main aaney say lay kar janey takk main bhag bhag kar usska har kaam karti rahe hon…. Sirrf Mohabbat ki aik Nazar or Shafkat sey Boley gaye chand Lafzon key liye……. Magar ussey Kabhe iska Khyal nahe aaya … Wo mairi Poori Zindagi ko apney Tareekey say Guide karma chahta hey.. or main sirrf usski Khushi key liye har Bar apna dil Maar laytii hon ,, Magar phir-bhe Khandan ki Ghairat per anay wali Zidd key Shubah per wo Kabhe bhe ,Kahhen bhe mujhey Qatal kar sakta hey or is Kaam par koye usska Haath nahe rokta balkeh har koye isski himmat barhaata hey….

Or AGAR main usski Beevi hon to phir to Shayed Mard ko Mujh per Zulm karney ka Liscence mil jaata hey..Aik orat jissey uskey Tasarruf main diya gaya hey.. Wo AAkhir ussper Zulm kewn na karey… Soboh sey ly kar Raat tak kee janey wali mushakkat ka nateeja Aksar wo Alfaz hotey hayn jo mujhey Bohot KUCH sochnay par majbor kar daitay hayn….

Mard hamaysha ye samajhta hey keh MAIN Gharr main reh kar usskey Kamaye janey waley Ropay-Payssey per Aish karte hon…. AAP sochain keh kia Ghar key Andar reh kar aish ho sakta hey??? Wo sochta hey keh Duniya ka Mushkil tareen Kam ropiya Kamana hey…or yeh mushkil kaam woo karta hey Ooorat Nahee…Wo to sirrf us Ropay ko Bay Dardi say Kharch karma Jantee hay ,, Magar jo cheez wo Kabhe nahe sochta wo ye hay ke main who Ropiya kisper Kharch karte hon… Uss ghar main jismein wo Rehta hey,..! Un Bachonper jo uski Olad heyn… Us Khorak per jisey who istamal karta hey .. Bevei key Roop main usey har tarah sey Khush rakhney ki koshish karte hon Magar wo Khush nahe hota .. Naraz ho to aik Dosri Orat ko Mairi Jagah day daita hey… Dosri Shadi ker key bhii bohot Khush ho too bhee Bahar wali Orat ko Meray samney Zarooor Sharek rakhta hey …

Ajeeb Bat hey na Wo Orat sey Na-Khush hey … Ussey Orat Bay-Kar or Hakeer Lagte hey …. Usey Orat Bay-wafa Lagte hey ,.. Ussey Orat Bhooki Lagte hey…. Ussey Orat Fasaad ki Jar Lagtee hey….. Magar Phir bhe who apni Zindagi main Orton ko Tabdeel kartey Rehnay ka Aadi hey… or Jitne Ziaada Ortain hon wo utna hi Ziaada Khush hey …. Mairi Bay-wafaye per mujhey Qatl karney main aik Lamha bhee Zaaia nahe kata magar Tawaeef ke Pas yeh Jan’ney key Ba-wajood jaye ga keh who Bay-Wafa hey….ye Jantey hoye usper Paysa Kharch karey ga keh who Ropey ki Bhookee hey….Ajeeb Bat hey na?? Magar SACH hey !! kiaa itne Na-Kadree uniya main kisi or chez ki ho sakte hey???main agar iski nahe to iskey Bachon ki WafaDaar Ban jaati hon…. Adhe Zindage Mard ki Ata’at main Barbad kar daitii hon… bake ki zindagi Olad ki Khidmat mein …Uski Olad ko Bhok sey Bachaney key liye mujhey Ghar sey Bahar nikal kar Sarkon per ana parta hey… Mard tab bhe maira Mazak Uraata hey… mujh per Awazein kassta hey… usska Khiyal hey ye bhi Maira aik Dhong hey ap khud sochain keh BHOK kabhe DHONG ho saktii hey?? Or Bhok agar bachon ki ho to phir? Rizk kamanay ka kam ALLAH ney Mujhey kabhe nahe soocha …Mard ney ussey bhi mairay Zimmey laga diya…

Phir Rizk kamaney key liye ussney mujhey tawaa-ef or Call-Girl tak bana diya.. baytii ban kar main ney bhaiyon or bap ke liye apni zindagi zaiya kee.. Maan ban kar pori Umr ka Jog bhe liya .. magar kahen bhi mairi koye Qurbaani aysi nahe hay jisko mard nay saraha ho… ussney mairay har Roop ko us image key samney khara kar diya jo uskey zehen main feed hey ….

Duniya ki kissi makhlok ko itna bay-kadar nahe kia gaya jitna mujhey kia gaya… Duniya key kissi dosri makhlok ney apney kandhey per itni Zimm-e-Dariyan nahe Uthayeen jitney main ney uthayen… main nay Chewntii sey barh ker bhi Bojh uthaya.. Olad ki Paydayesh sey parwarish..Mard ki Khidmat-o-ata’at .. or ghar sey bahar tak ka kam mujhey karma para hey or main nay kiaa hey iskey BaVajod mujhey saraha nahe jata ..Mard ki khushi key liye main nay khud ko apney Makam sey Giraa diya phirbhe wo mujhsey Khush nahe …..

Payghambaron ki Maan honey key BaVajood mujhey Na-Kabil-e-aitabar samjha jata hey …..

Duniya main Koye aysa nahe hey jo mujhsey khush ho..hatta keh ALLAH bhe .. magar mainkiskey samney apne safaye paish karon .. Mairay pas to koye wazahat ,koye safayee hay hinahe….

Main Aksar ye sochtee hon aakhir mairi Zindagi ka Maksad kia hey ,,, kia sirf dosron ko aram-o-sokon daina or Dosrey badley main mairay liye kia kartey heyn??? Or Tab mujhey ALLAH sey shikwa hota hey keh usney shayed wakaye mujhey itna haker bana diya ke Zameen par Mojod insane ko mairi kadar hi nahe hey Magar Shikwa karney say Aakhir kia hota hey ..Shikwa karney say ALLAH ki narazgee main oor izafa ho jata hey…

Aap hi soochain kia koye makhlok mairay jayssi hey jo na chahtey hoaye bhe har aik ko Naraz karte phirey Magar aakhir aap bhe kewn soochain gey..!!!!.. OORAT key Barey main koye soochta Thora hi hey…


__________________
*"Learn alll the Rules so that u know how to Break them ...

*if Your Words are not SUCH Powerful as Your Silence Then "Shut-up" !

Last edited by Argus; Thursday, April 13, 2006 at 02:16 PM.
Reply With Quote
The Following 4 Users Say Thank You to Eram Khan For This Useful Post:
kinza kazmi (Monday, March 18, 2013), nini_fairy (Thursday, January 08, 2009), Shooting Star (Friday, January 08, 2010), Spellcaster (Friday, September 30, 2011)