Jis samt bhi dekhoon nazar aata hai keh tum ho
jis simt bhee daikhon nazar ata hai k tum ho
ay jan-e-jahan ye koi tum sa hai k tum ho
ye khawab hai khushbu hai k jhonka hai k pal hai
ye dhund hai badal hai k saya hai k tum ho
iss deed ki sa-at main kai rang hain larzan
main hoon k koi or hai dunya hai k tum ho
daikho ye kisi or ki ankhain hain k meri
daikho ye kisi or ka chehra hai k tum ho
ye omer-e-gureezan kaheen thehray to ye janon
her sans main mujh ko yehi lagta hai k tum ho
her bazm main mozo-e-sukhan dil zadgan ka
ab kon hai sheereen hai k laila hai k tum ho
ek dard ka phela howa sehra hai k main hoon
ek moj main aya howa darya hai k tum ho
wo wakt na aye k dil-e-zar bhee sochay
is shehir main tanha koi mujh sa hai k tum ho
abad hum ashafta siron say nahi maktal
ye rasm bhee iss shehir main zinda hai k tum ho
ay jan-e-faraz itni bhee tofeeq kisay thi
hum ko gum-e-hasti bhee gawara hai k tum ho.
|