View Single Post
  #26  
Old Tuesday, August 03, 2010
Sakk's Avatar
Sakk Sakk is offline
40th CTP (IRS)
CSP Medal: Awarded to those Members of the forum who are serving CSP Officers - Issue reason: CE 2011 - Merit 163
 
Join Date: Sep 2009
Location: KPK
Posts: 214
Thanks: 49
Thanked 202 Times in 119 Posts
Sakk will become famous soon enough
Default

Jab tumhary dil main kisi k liye nafrat paida honay lagay to foran us ki achayoun ko yaad karo." >>>(Hazrat Ali R.A)<<<

Jo Shakhs Sajdon mai Rota Hai Usy Taqdeer Pr Rona Nhi prta (Hazrat Ali )

Jisko 5 nematen mil gaeen tu samjhe k usko duniya ki sari nematen mil gaeen. 1).Shukr krne wali zuban. 2).Zikr karne wala Dil. 3).Mushaqqat uthane wala badan. 4).Watan ki rozi. 5).Naik biwi. (HAZRAT ALI R.A)

Hazrat Ali (RA) se poocha gaya,,,Dunia ka sab se ameer (rich) shakhs kaun hai?Jawab mila,Dunia ka ameer shakhs woh hai jis ke dost mukhlis hain...

Ikhlaq Ki Qeemat Kuch Nahin Deni Parti, Magar Us Se Her Cheez Kharedi Ja Sakti Hai>(Hazrat ALI R.A)<

Insan Ka Fazool Shok Main Waqt Kho dena, Iss Bat Ki Dalil Hai K Khuda Us Se Naraz Hai>>Hazrat Ali (R.A)<<

Sharif ki kisi galti ko dekh kar us sai nafrat na karo aur shareer ki koi achi baat dekh kar dhoka na khao... >>Hazrat Ali R.A<<

Apni zuban ki tezi us "Maaa" pe mat aazmao jis ne tumhein bolna sikhaya. >>(HAZRAT ALI)<<

Kis tara pata lagaya jae k insan par ane wali musibat saza he ya azmaesh To jo musibat Allah se dor kare wo saza or jo qareb kare wo azmaesh he. >>Hazrat ALI (R.A)<<

Subse bara gunah wo hai jo karne walay ki nazar main chota ho (Hazrat Ali)

Jis tarha shabnam k qatre murjhaye hue phool ko tazgi bakhshte hain.. Usi tarah ache alfaz mayus dilon ko roshni bakhshte hain" >>>*HAZRAT ALI (R.A)*<<<

Allah sab ko RIZQ de ga ye Us ka wada hy, Lekin Wo sb ko BAKHSH de ga ye Us ne wada nahi kia, Phir Q? Rizq k liye preshan ho aur Maghfirat se bay-parwah? >>>Hazrat ALI (R.A)<<<

Jab aankhien nafs ki pasandeeda cheezien dekhny lagien to dil anjaam sy andha ho jata hy" "Hazrat ALI" (R.A)

Jab may chahta hon k may KHUDA sy baat karon to may NAMAZ parhta hon Aur Jub may chahta hon k KHUDA muj sy baat kary to may QURAAN parhta hon.>>> (HAZRAT ALI A.S)<<<

"SOORAT" aur "SEERAT" mein sab se bara farq ye hy k SOORAT "DHOKA" deti hy
Jab k SEERAT "PEHCHAN" karati hy...! >>>(HAZRAT ALI R.A)<<<

Zindagi ko ZARURIAT Mein Rakho,,,KHuWAISHAT Ki Taraf Na Le Jao,,,Q k Zaruriyat Faqiron ki b Puuri Hoti Hyn Aur Khwaishein Badshahon Ki bhe Baqi Reh Jati Hyn

>>>Hazrat Ali (A.S)<<<...

Jo shakhs tumhari nigahon sy tumhari zaroorat samjh nahi sakta,,,,Usay kuch keh kar khud ko sharminda na karo < Hazrat Ali R.A >

JAHAN SADAQAT OR KHULOOS NAZAR AYE WAHA DOSTI KA HATH AGAY KARO ,,,,WARNA TMHARI TANHAI TMHARI BEHTAREEN SATHI HAI...>>>HAZRAT ALI (R.A)<<<
__________________
Shiraz A.K
Assistant Commissioner (IRS)
Reply With Quote
The Following 4 Users Say Thank You to Sakk For This Useful Post:
mdanishtaha (Wednesday, August 04, 2010), Noor_2009 (Sunday, November 07, 2010), Razzi (Wednesday, January 04, 2012), supersonic dexter (Monday, May 02, 2011)