View Single Post
  #5  
Old Saturday, January 08, 2011
shani1's Avatar
shani1 shani1 is offline
Junior Member
 
Join Date: Mar 2009
Location: Lahore
Posts: 21
Thanks: 5
Thanked 2 Times in 2 Posts
shani1 is on a distinguished road
Default

Quote:
Originally Posted by Farrah Zafar View Post
tou ap k kehnay ka matlab hai k baaqi mazaahib k mutabiq her cheez fazool mein paida ki gayi hai?



"Maghrib k pass haram halal ka tasawur nahi hai aur mari theory hai k jis waqt haram rizq jism mein dakhil hota hai wo insani genes ko mutaseer krta hai.. Rizq-e-haram se 1 khas kisam ki "mutation" hoti hai jo khtarnaq adviyat sharab aur radtiation se bhi ziada muhliq hai..
Rizq-e- halal se jo genes takhur pazir hote hain wo lolay langray aur andhay hi nahi hote balkay NA UMEED bhi hote hain..Nasl-e- insani se yeh genes jab nasal dar nasal hum mein safar karte hain tou in genes k andar asi zahni paragndgi payda hoti hai
jis ko hum pagalpan kehte hain. yaqin kar lo rizq-e- haram se hi humari anay wali naslon ko pagalpan warast mein milta hai aur jin Qomon mein min hasul qoom rizq-e- haram khane ka lapka par jata hai wo min hasul qoom DEEVANI hone lagti hain."

from raja gidh by Bano Qudsiya


“O mankind! Eat of that which is Halal and Toyyib on the earth…..” Quran 2:168


"Shaitân (Satan) wants only to excite enmity and hatred between you with intoxicants (alcoholic drinks) and gambling, and hinder you from the remembrance of Allâh and from As-Salât (the prayer). So, will you not then abstain?" Quran 5:91


They ask you (O Muhammad) concerning alcoholic drink and gambling. Say: "In them is a great sin, and (some) benefit for men, but the sin of them is greater than their benefit." And they ask you what they ought to spend. Say: "That which is beyond your needs." Thus Allâh makes clear to you His Laws in order that you may give thought." Quran 2:219




"Seemi: Mera Khameer Muhabbat men Goondha gaya he Qayyum, mujhy Muhabbat chahiye, men Muhabbat k bina nehin jee sakti.
Qayyum: Nehin Seemi tumhen Muhabbat nehin Chahiye, tumhen Sirf Aftab ki Muhabbat Chahiye,
Hamara Almia yhi he k yahan sab ko Muhabbat to chahiye lekin apny apny matlooba shakhs ki Muhabbat.
Warna tum us ki Muhabbat men marna chahti ho jo tumhen chor k chala gaya, or agar tumhen muhabbat hi chahiye hoti to meri Muhabbat Aftab ki Muhabbat se kehin zada he ..."


"Mot se pehlay---- zindagi k saath---zindagi ki nafi---aakhree nijaat se pehlay kuli faraar
nijaat ki aarzoo tak se-- harr maslak se harr but se chutkara hasil karnay ka ek hee tariqa hai k insaan har qisim k but tor de,har maslak se azaad hojaye...kisee millat main shamil na ho,kisee khandan ka fard na ho,kisee mulk ka bashinda na ho ,,aisee halat main wo siwaai mot k kisee ka marhoome minnat na hoga kisee or ka aashiq na hoga
mot jo yaqeeni hai,mot se pahle mot.."

raja gidh(bano qudsia)

ye kuch lines jo mei ne paish keen hn ye tou pukaar pukaar k keh ri hn k hm bht qeemti hain..janay ap ko boriat kahan lagi?


chalen ab intezaar hai k ap kesay sabit kertay hain it is not best novel
raja gidh ke sab sa bre kammi uska itna tavvel hona ha.unho na her mozo ko itna taveel or khusk bna dia ha k mjy apne enginnering ke book yad ate hain.same like nazeer ahmed same wo he istalahe mozo ko jaded tarash khrsah sa pesh kia ha mager wo b nazeer ahmed ke trah lamby lamby talleme islahe bayanat or nashity.yah islahe bayan itne taveel hain k app kae pages ko chor kr b parho to tashunge ka ahsas nhe hota or na he koe novel k pages ka miss ho jane ke kammi mahsos hote ha in lambe lambe baynat ke vja sa bano appa her bat ke gahri ma ja kr iske nafsiate vajh talsh krt hain phr in vjohat ko dalil k sath kari tak pohnchate hain
novel nigar ka kam vjohat ke talsh or unke hussun k kissy logo ko sunnana nhe .novel nigre ka maksud plott ko chust ruk kr zindge ke ho ba ho tasveer kashi krna ha.bano appa k tableghe rujhan na novel ko boht dheele dhala nashito ka palundah bna dia ha proof ma page 101 ma taleem o tadrees ma sa... or amm logo ke dad gire kry .or page no 102 sa darausal sare bat dgree ke hote ha..... kise ko hulka bukhr hota ha kise ko taze tak.
is trah ka baynat jub makaml tor per novel ma pash ho to zahir ha kari in per sarsare nigh dalna b pasund nhe krta uske bad page 305 sa 310 tak yoga ke ikam or iske matalik lambi lambi baeha jo seedhy yoga ke kise tadreese kitab sa Takash kr k lik di gae hain isTrah 344 sa 352 tak deewange ke vja or riske haram per lambi mantaki or ghar mantaki guftago ha .ishtah or bhook per 2 pages aftab or kayyom ke pasu nd na pasund per 3 pages nafrat or mohbat k matulik khyalat per almost 5 pages .
bano appa ke fitrat ha k wo her chees ke saychi per bahs krte hain or is k bad he aggy burhna pasund krte hain chahe wo chhez drakt building hostelhe q na ho is trah her jazbe ko mantake dallello sa sabit krna b apna farz samjhte hainmere khyal sa novel ko tavveel baynat or lamby ubhase sa bachya hota top yah novel apne mozo.treatement or asllob nigre ke vje sa urdu ka sahkar novel hota.novel ko namua makum is vja sa hasilha k nazzer ahmed k bad fun or adab k sare mayar or asoolo ko burtete howe zindge ke basrret dane ke koshish ke ha.
ab pore novel ma kahe b yah nhe liika tha k qayyom rizk e haram khta ha phr us na seeme k sath asa q kia? jub k novel ka theme he halal haram ha or aftab ka b nhe likka k wo harm khta ha bano appa 2 cheezo ko parrlel la k chaly zuro hain per kahe b yah sabit nhr kr paye k yah 2no cheezo directly perpotional hain. or bano appa is pa kia kahe ge k waalio ke ghur chor or choro ke ghur waali pada hote hain?kia mantak ha iske.azul ma MASHITE E ILAHI KO SAMJNA INSAN K BUS KA ROG NHE
__________________
Bus ise bat pa pesh-e-fanna khamosh ho
Aik jaha tameer ho ga sub fanna hone k Bad
Reply With Quote