View Single Post
  #11  
Old Thursday, January 20, 2011
Khanewalian's Avatar
Khanewalian Khanewalian is offline
Member
 
Join Date: Apr 2010
Location: Islamabad
Posts: 84
Thanks: 153
Thanked 98 Times in 57 Posts
Khanewalian will become famous soon enough
Default

Shamali Hijaz main Khayber k qareeb Madina se 2 roz k faslay per, Fadak aik qadeem qasba ka naam tha jiss per yahodiyon ka qabza tha. 7 Hijri k shroo main Rasool(SAWW) ne Islam ki dawat k liye aik sahabi ko Pori fouj(Army) day kar Fadak k logon ki taraf rawana kiya ta'a k wahan k logon ko Islam ki dawat day sakain. Ahl-e-Fadak ne Islam tu qabool na kiya lakin unhon ne Rasool(SAWW) se iss base per sulah kar li k wo Adhi(half) zameen or uss ki pedawar(production) Musalmano k Hawalay kar dain gy. Jab tak Allah k Nabi(SAWW) Hayaat rahy tu uss zameen ki Aamdani Ahl-e-bait or Musafiron per kharch karty rahy thy. Aap(SAWW) k wisal k bad Umahat-ul-Momineen(RA)(Wives of Prophet(PBUH)) ne Hazrat Usman(RA) ko, Hazrat Abu Bakar(RA) k pas apna numaenda bana kar bheja ta'a k Warasat ka hasool kya jaye, Lakin Hazrat Aysha(RA) ne un ko bataya k main ne Rasool(SAWW) ko farmatey suna ha k
"Mera koe Waris na hoga, mery bad mera Matrokat(Legacy) sadqa hon gy".
Ye sun kar sab khamosh ho gyen or apna Mutalba wohin per khatam kar diya.
Dosri taraf Syedah Fatima(RA) or Hazrat Abbas(RA) ne Hazrat Abu bakar(RA) se apni wirasat ka mutalba kiya. unn k mutalba k jawab main Hazrat Abu Bakar(RA) ne farmaya,
" Main ne Rasool(SAWW) se suna ha, Aap(SAWW) farmaty thy," Hamary maal main wirasat nahi hogi, Ham jo kuch chorain gy, sadqa hoga, Albata agar Aal-e-Muhammad(SAWW) uss main se Nefqa lay saktey hain. Khuda ki qasam! Salook k mua'amla main Rasool(SAWW) ki qarabat mujh ko apni qarabat se zyada mehboob ha".(Bukhari)
Hazrat Abu Bakar(RA) ka jawab sun kar Syeda Fatima (RA) ka Rad-e-Amal kya tha? iss k bary main Mukhtalif Rewayat hain.
1. " Hazrat Fatima(RA), Hazrat Abu Bakar(RA) se Naraz ho gyen or Akhir waqat tak un se guftagu nahi ki".(Bukhari)
2." Hazrat Fatima(RA) ko Hazrat Abu Bakar(RA) k jawab se Ranj zaror hva or wo Naraz b hoen Lakin bad main Raazi ho gyen thn.(Tabqat Ibn-e-Saad).


"Hazrat Fatima(RA) Bemaar hoen tu Hazrat Abu Bakar(RA) Unn ki Eyadat k liye tashreef lay gye-Un ki Mizaaj pursi ki or farmaya:-
" Main ne tu ghar baar, Mal-o-Dolat, Kunba(Family) or qabeela Mahaz Allah(SWT) or uss k Rasool(SAWW) ki raza or Aa Ahl-e-Bait tumhari Raza k liye chora tha."
.
Iss per Hazrat Fatima, Hazrat Abu Bakar se khush ho gyen or koe Gubar Dil main na rakha.
(Albadaya walnehaya-Hafiz Ibn-e-Kaseer)
Hazrat Fatima(RA) ne Hazrat Abu Bakar(RA) ka jawab sun kar farmaya:-
"Phr Aap(RA) ne Rasool(SAWW) se jo kuch suna ha uss k Mutabiq amal karain."
(Masand Ahmad Bin Hanbal)
.
.
Wafat k bad Hazrat Fatima(RA) ki Namaz-e-Jinazah kis ne parhaye?
Imaam Bukhari(R) or kuch dosray Mohadiseen ne likha ha k Syeda(RA) ki Namaz-e-Jinazah Hazrat Ali(RA) ne parhaye.
.
Aik Rewayat main Hazrat Abu Bakar(RA) ka zikar aya ha.(Albadaya walnehaya-Ibn-e-Kaseer)
.
Kinzul Aamal main Hazrat Imam Jaafar Sadiq(R) apny Walid(Father) Hazrat Imam Muhammad Baqir(R) se rewayat karty hain k,
"Hazrat Fatima(RA) ne wafat paye tu Abu Bakar(RA) or Umar(RA) Namaz-e-Jinazah parhney k liye tashreef laye. Abu Bakar(RA) ne Hazrat Ali(RA) ko Namaz-e-Jinazah parhney k liye kaha, k Aagay tashreef laye, tu Hazrat Ali(RA) ne jawab diya k Aap Khalifa-tul-Rasool(SAWW) hain main aap se paish qadmi nahi kar sakta, phr Abu Bakar(RA) ne agay barh kar Namaz-e-Jinazah parhay".(Kinzul Aamal)
.
Iss k elawa or b bht se sahi rewayat Mohadaseen se sabit hain k Syeda Fatima(RA) ki Namaz-e-Jinazah Hazrat Abu Bakar(RA) ne parhaye thi.
.
Iss sab k bawjood ye kehna k "Syeda Fatima(RA) Hazrat Abu Bakar(RA) se Naraz ho gye thin or akhir waqat tak mulaqat nahi ki thi" bilkul sahi nahi ha.
.
.
.
Allah behtar janeny wala ha!
__________________
":There is nothing either good or bad, but thinking makes it so":.