Thread: Faiz Ahmad Faiz
View Single Post
  #5  
Old Saturday, March 05, 2011
Farrah Zafar's Avatar
Farrah Zafar Farrah Zafar is offline
Makhzan-e-Urdu Adab
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason: Diligent Service Medal: Awarded upon completion of 5 years of dedicated services and contribution to the community. - Issue reason:
 
Join Date: May 2010
Location: امید نگری
Posts: 2,362
Thanks: 2,346
Thanked 4,047 Times in 1,576 Posts
Farrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud of
Default

pehla sher:Is shaer mein Faiz apnay mehboob se mukhatib hain.wo kehtay hain aisa kon sa lamha hai k jab mein tumhe yaad na karoon.meri gufatagu mein b tumhara he ziker hota hai.baqol Momin;

tum meray paas hotay ho goya,
jab koi doosra nae hota..


Doosray misray mein kehtay hain k so baar shuker adaa karun k ab ham mein doori nae rahi.faaslay simet gaye hain,judaai tal gayi hai.

2nd shaer:is shaer mein Faiz ne bht mash'hoor mazmoon baandha hai,mehboob ki gali ka ziker.wo poochtay hain k mehboob ko mutaasir kernay k lye kia ye b kafi nae k apnay dil aur jaan ka nazraana usay paish ker den?

3rd shaer:is shaer mein Faiz ki be'baaki aur dalairi ki umdaa misaal milti hai.kehtay hain k jaan tou sab detay hain mger jis shaan o shaukat se koi jaan deta hai,wo us ka turra e imtiaaz ban jata hai.Bismil Azeem abadi ne kia khoob kaha hai;

sarfaroshi ki tamanna ab hamaray dil mein hai,
dekhna hai zor kitna bazoo e qaatil mein hai


4th shaer:Is shaer mein Faiz wafa k maidaan ka ziker kertay hain k yahan kisi ka naam o nasb nae chalta.

5th shaer:aakhri shaer mein Faiz kehtay hain Ishq kernay k liye jurrat darkaar hoti hai.Ishq ko baazi se tashbeeh di hai.kehtay hain k is baazi mein haar jeet ko nae dekha jata,bas be'khatar kood jana chahye.baqol Ghalib;

ye ishq nahi aasan bas itna samjh lijiye,
ik aag ka darya hai aur doob k jana hai.


Faiz Ahmad Faiz-kab-yad-mein.gif
__________________
Love is my Shield,Truth is my Sword,Brain is my Crown,Smile is my Treasure and I'm a Queen;
Quitters never win and Winners never quit..!!!
Reply With Quote