View Single Post
  #13  
Old Sunday, March 06, 2011
Eager's Avatar
Eager Eager is offline
40th CTP (PAAS)
CSP Medal: Awarded to those Members of the forum who are serving CSP Officers - Issue reason: CE 2011 - Merit 364
 
Join Date: Jul 2010
Posts: 356
Thanks: 1,199
Thanked 379 Times in 155 Posts
Eager is a jewel in the roughEager is a jewel in the roughEager is a jewel in the roughEager is a jewel in the rough
Default Urdu paper I 2006

Urdu Paper I 2006

1. Dakkan me urdu kay aghaz kay nazariye ka bani kon hai?

2. Ghalib ne urdu ki kis kitab ko alfaaz ka bhatyar khana qarar diya hai?

3. Urdu me mazmoon ki sinf ko kis ne muta'rif karaya?

4. Kis novel me haraam o halal ka nazariya pesh kiya gaya hai?

5. Kis afsana nigar ne apnay afsaano me ziyaada tar dehi mua'sharat ko pesh kiya?

6. Kis afsaanay ka bunyadi mozu tasanna or zahirdari hai?

7. Chacha chhakan ka mazahiya kirdaar kis ki takhleeq hai?

8. "mitti ka diya" sinf kay aitbar se kya hai?

9. ye kis shair ne kaha hai k : " kehtay hain aglay zamanay me koi meer bhi tha"

10. Kis shairah kay haan "khusboo" lafz tawatar k sath istemal hua hai?

11. "barq girti hai to becharay musalmano par" ye kis shair ne kaha hai?

12. kis shair ko mirza ghalib ki shagirdi ka sharf hasil hua?

13. Kis shair kay nazdeek jannat ki haqeeqat dil ko khush rakhnay ka bahana hai?

14. kis shair ki nazm ka ye pehla misrah hai: "mohabbat aisa darya hai"

15. Kis naqaad ne anees or dabeer kay kaam ka jaiza ek sath liya hai?

16. "isharaat-e-tanqeed" ka moallif kon hai?

17. Iqbal ki nazm "iblees ki majlis-e-shoorah" kis majmooa-e-kalaaam me hai?

18. "Akhbar Urdu" ka taluq kis idaaray se hai?

19. Pakistan adab ki tahreek ki awaleen awaz kis ne buland ki?

20. "Taa'subaat" kis naqqad kay tanqeedi mazameen ka majmooa hai?
__________________
Whatever is important will remain; whatever is useless will disappear.
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to Eager For This Useful Post:
fiza mehar (Monday, March 28, 2011)