Thread: Faiz Ahmad Faiz
View Single Post
  #11  
Old Sunday, March 06, 2011
Farrah Zafar's Avatar
Farrah Zafar Farrah Zafar is offline
Makhzan-e-Urdu Adab
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason: Diligent Service Medal: Awarded upon completion of 5 years of dedicated services and contribution to the community. - Issue reason:
 
Join Date: May 2010
Location: امید نگری
Posts: 2,362
Thanks: 2,346
Thanked 4,047 Times in 1,576 Posts
Farrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud of
Default


اب کہ یوں دل کو سزا دی ہم نے
اس کی ہر بات بھلا دی ہم نے

ایک، ایک پھول بہت یاد آیا
شاخِ گل جب وہ جلا دی ہم نے

آج تک جس پہ وہ شرماتے ہیں
بات وہ کب کی بھلا دی ہم نے

شہرِ جہاں راکھ سے آباد ہوا
آگ جب دل کی بجھا دی ہم نے

آج پھر یاد بہت آیا وہ
آج پھر اس کو دعا دی ہم نے

کوئی تو بات ہے اس میں فیض
ہر خوشی جس پہ لٹا دی ہم نے

Is ghazal k pehlay shair mein faiz apnay dil ki takleef ka izhaar kertay hain.mehboob ko mukhatib ker k kehtay hain k mein ne apnay dil ko kuch is tarah saza di hai k teri her baat bhula di.Goya shaayir yaadon ko dil se mitanay ki baat b kerta hai aur sath is haqeeqat ka aitraf bhi kerta hai k ye dil k liye ksii saza se kamm nae.kiun k Yaaden he sermaya hoti hain aur ye dil ko baagh o bahar kerti hain jesa k aik aur jaga faiz kehtay hain;

Raat youn dil mein teri khoyi hui yaad ayi,
jesay weeranay mein chupkay se bahaar aa jaye..


baqi tamam asha'ar mein bhi ye e baat dohraai gayi hai k shaa'ir ab mehboob ko bhula chuka hai mager haqeeqat is k mutzaad hai.baqol Farhat Abbas Shah;

jahan jahan barsaat uterti dekhi hai,
her soo teri yaad bikherti dekhi hai


aakhri shaer mein wo aitraaf ker leta hai k us k mehboob mein kuch tou aisa anokha pann hai jo us ne apni her khushi usi pe luta di.ye he waja hai shaa'ir k iraday k baa'wajood wo apnay mehboob ko bhula nae sakta.aik aur jaga Faiz isi baat ka izhaar kuch youn kertay hain;

Tu ne Dekhi hy wo PESHANI' wo RUKHSAR' wo HONT
Zindge jin k Tasawar mei LUTA di hum ne

Tujh pe uthi hen wo Khoi hui Saahir Ankhen
Tujh ko maloom hy kiun umer Ganwa di hm ne!!!
__________________
Love is my Shield,Truth is my Sword,Brain is my Crown,Smile is my Treasure and I'm a Queen;
Quitters never win and Winners never quit..!!!
Reply With Quote