Thread: Faiz Ahmad Faiz
View Single Post
  #19  
Old Friday, March 18, 2011
Farrah Zafar's Avatar
Farrah Zafar Farrah Zafar is offline
Makhzan-e-Urdu Adab
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason: Diligent Service Medal: Awarded upon completion of 5 years of dedicated services and contribution to the community. - Issue reason:
 
Join Date: May 2010
Location: امید نگری
Posts: 2,362
Thanks: 2,346
Thanked 4,047 Times in 1,576 Posts
Farrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud of
Default

Quote:
Originally Posted by sibgakhan View Post


Faiz ki shayiri infradiyat mein apna saani nae rakhtee.is nazm mein wo Insani khoon k arzaan honay ka matam kertay nazer aatay hain.
shayir kehta hai k qaatil ki aasteen se le ker us k nakhun aur hath tak pe khoon ka koi cheenta nae jis se us pe shak kia ja sakay.shaiyir ne ye nae bataya k ye khoon kis ka hua hai aur kis ne kia hai balkay wo achanbhay mein parr gaya hai k aakhir qatal ka suraagh kesay lagay.qaatil k jism pe tou lahu ka ik qatra tak nae.baqol Mustafa Zaidi;

mein kis k hath pe apna lahu talash karun,
tamam sheher ne pehnay hue hain dastanay


phir shayir kehta hai k na tou qaatil k khanjer pe khoon ki koi boond hai aur na he sinaan(spear,hathyar ki ik qism)ka rang tabdeel hua hai yani us pe bhi surkhi nae.shayir mazeed herat ka izhaar kertay hue kehta hai k na tou khaak pe he khoon ka koi nishan nazer aa raha hai aur na he baam(Upper storey/balcony)pe koi daagh laga hua hai.jab qatal kia jata hai tou khoon k cheentay laazmi atraaf mein urrtay hain aur deewaron ya zameen pe dhabbay ki sooray numayan ho jatay hain mager yahan aisa koi saboot shayir ki nazer mein nae aya.ye he us k lye tashveesh ka ba'ais hai.wo istejabia andaaz mein khud se ba'awaz e buland kehta hai k kahin bhi usay khoon ka koi dhabba nazer nae aa raha.Baqol Safdar Ali Safdar;

Bujha Suraj Hay Jaisay Chand Bhi Be Noor Lagta Hay
Zamana Phir Mujhay Ab Talab-E-Mansoor Lagta Hay

Yeh Zalim Jis Tarah Say Khailtay Hain Khoon Ki Holi
Frishta Is Sadi Main Phoonk Day Ga Soor Lagta Hay


shaayir kehta hai k ye khoon tou badshahon ki khatir b nae baha k wo khoon baha he de detay aur maqtool k ghar walon ko kuch sila milta.aur na he ye khoon Allah ki raah mein baha hai.ager ye jaan jahad kertay hue deen k lye di jati tou aakhirat ka soch k he dil ko sakoon aa jata.ager ye khoon kisi jang k maidan mein behta tou is k lye aizaaz ki baat hoti.is khoon k cheentay jang k parcham pe nazer aatay tou dunya walon ki nazer mein is maqtool ko pazeeraai milti.mager afsos ki baat tou ye hai k ye khoon in mein se kisi maqsad k lye b nae baha.
ye yateem bachay ka lahu tha.koi nae tha jo qaatil ka garebaan jhanjorrta.koi munsif itna mehrbaan nae tha k wo apna qeemti waqt ik be'aasra k lahu ko insaaf dilanay mein lagata.baqol faiz;

banay hain ahl-e-hawas muddaee bhi, munsif bhi
kisay wakeel karen, kis se munsifee chaahen


aakhir mein Faiz khud he kehta hai k is qatal ka na tou koi saboot hai aur na he koi gawah so ye qissa tou paak hua..kon is ka ab hisaab le ga..ye ik khaak pe sonay walay ghareeb aur be'aasra shakhs ka lahu tha so khaak mein he mil gaya,youn hisaab baraber hua.

ja-ba-ja biktay huye kucha-o-bazar main jism
khaak main lithrrey huye khoon main nahlaye huye
__________________
Love is my Shield,Truth is my Sword,Brain is my Crown,Smile is my Treasure and I'm a Queen;
Quitters never win and Winners never quit..!!!
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to Farrah Zafar For This Useful Post:
fiza mehar (Monday, March 28, 2011)