Thread: Faiz Ahmad Faiz
View Single Post
  #23  
Old Monday, March 21, 2011
Farrah Zafar's Avatar
Farrah Zafar Farrah Zafar is offline
Makhzan-e-Urdu Adab
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason: Diligent Service Medal: Awarded upon completion of 5 years of dedicated services and contribution to the community. - Issue reason:
 
Join Date: May 2010
Location: امید نگری
Posts: 2,362
Thanks: 2,346
Thanked 4,047 Times in 1,576 Posts
Farrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud of
Default

Quote:
Originally Posted by sibgakhan View Post
Meanings:

deeda e tar=namm aankh,royi hui aankh
kaasa e chashm=aankh ka payala
khoon naab e jiger=jiger ka saaf aur khaalis khoon

Tashreeh:

Faiz ki ziada tar shaiyiri ka talluq sayasi halaat se hai.wo hukmarano ki be'hissi pe matam kertay nazer aatay hain.un ki shayiri awam k dard ki tarjumaan hai.
pehlay sher mein shayir kehta hai k hamdardi se aari hukmarano k samnay apni namm ankhen le k janay ka koi faida nae..takaleef o masa'aib ne mazloomon ki ankhon k goshay bhigo diye hain.shayir k lehjay se baghawat ki boo aa rahi hai.wo kehta hai k un be'hisson per tumharay aansuon ka koi aser nahi ho ga.so tum apni ankhon mein khoon e jiger ki surkhi le k un k samnay jao.yahan shaiyir ki muraad ye hai k ab waqt aa gaya hai k awaam apni aah o buka pe qaboo paa k apnay khoon ko josh mein laaye aur hukmarano ko dikha de k abi un k khoon mein itni garmi hai k wo apnay haq k liye larr saktay hain.

Aye Khaak Nasheeno Uth Bhaitho,Wo Waqt Kareeb aa Pohancha Hai
Jab Takht Giraye Jayain Gay, Jab Taaj Uchalay Jayain Gay

Ab Toot Girain Gi Zanjeerain, Ab Zandaanon Ki Khair Nahi
Jo Darya Jhoom K Uthe Hain, Tinkoon Say Na Taalay Jayain Gay!


aglay sher mein shaiyir kehta hai k ab ager un se apnay haq ki baat kerni hai tou bhik mangon ki tarah payala uthaye mat jana balkay seena taan k aur ser utha k be'baaki se apnay mutalbaat manvanay ki baat kerna..shaiyir k ye alfaaz sayasi ghuttan k mahol mein ik taaza jhonkay ki manind hain.us ne is shaer k tawassut se josh ki ik leher dorra di hai.Khoon aur kaasa e ser jesay alfaaz ka istemaal waazeh toar pe inqilaab ki jaanib ishara kertay hain

kat-tay Bhi Chalo, Barhtay Bhi chalo, Bazoo bhi Buhat Hain, Sar Bhi Buhat
Chalte Bhi Chalo, K Ab Dayray Manzil Hi Pay Dalay Jayain Gay

Aye Zulm K Maato Lab Kholo, Chup Rehne Walo Chup Kab Tak
Kuch Hashar To Un se Uthay Ga, Kuch Dur To Nalay Jayain Gay!

__________________
Love is my Shield,Truth is my Sword,Brain is my Crown,Smile is my Treasure and I'm a Queen;
Quitters never win and Winners never quit..!!!
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to Farrah Zafar For This Useful Post:
sibgakhan (Thursday, March 24, 2011)