View Single Post
  #5  
Old Monday, March 28, 2011
mjkhan mjkhan is offline
Senior Member
 
Join Date: Jul 2010
Location: New York,Lahore
Posts: 679
Thanks: 988
Thanked 522 Times in 325 Posts
mjkhan is a name known to allmjkhan is a name known to allmjkhan is a name known to allmjkhan is a name known to allmjkhan is a name known to allmjkhan is a name known to all
Default

Quote:
Originally Posted by Noor_2009 View Post
I want explanation of Hazrat Ali (RA) quote plz share ur thoughts

"Main ne Allah Ko apney iraadon ke totney se pehchana hay " ?

plz
i was thinking about this saying of hazrat ALI tonight.what a coincidence

3 pehlo nikaley they is saying k ma na ab tak

1.ye saying ishara karti hai kisi khaliq(superior zaat) k mojood honay ki..insaan jab kuch irada karta hai to us ki takmeel k liye apni tawanian surf kar deta hai..lakin agar wo kam na ho to is ka matlub hai k koi aisi superior zaat zaroor hai hum sa jis ka irada humarey iraday par ghalib a geya..hum muslims k nazdeeq wo superior zaat ALLAH G hain

2.ye saying insaan ki haqeeqat aur us ki asli auqat ki taraf bhi ishara karti hai..ye insaan jo is zameen par dandanata phirta hai,us ki itni auqat nahee k apni marzi sa apney kisi adna sa adna iradey ko bhi paya a takmeel tak pohncha dey..so the lesson to learn is to adopt ajzi(be humble preferrably as dust) in our lives.

3.na sirf ye k koi zaat maujood hai balkay WO hum par qadir bhi hai(kiu k US ka irada hamrey iradey par qadir hai)...so the lesson to learn is to submit before the will of GOD.


par phir kya insaan irada karna chohr dey?

nahee balkey apney iradon ki takmeel k liye ALLAH ki raza ko apni raza bana lo(US k ata kiye huwey par razi ho jao aur jo cheehn la ya na dey us par bhi US k shukar guzar rahoo)..kiu k bakhsh dey ga WO hum ko wo jo hamari marzi(irada) hai agar hum na dhaal liya apnni marzi ko us ma wo jo k US ki marzi hai..at the end of the day ALLAH G ko manana sub sa asaan hai..but do we have what it takes to do so?


is saying sa hazrat ALI ki shakhsiat,un ki shakhsiat ki gehrai un ka apney RUB ki taraf lagao aur un ki qadar o manzalat ki bhi akasi hoti hai
__________________
Puppet,Slave,Lover
Reply With Quote
The Following 2 Users Say Thank You to mjkhan For This Useful Post:
Imtiaz ali (Monday, March 28, 2011), Noor_2009 (Monday, March 28, 2011)