Thread: Faiz Ahmad Faiz
View Single Post
  #31  
Old Tuesday, March 29, 2011
Farrah Zafar's Avatar
Farrah Zafar Farrah Zafar is offline
Makhzan-e-Urdu Adab
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason: Diligent Service Medal: Awarded upon completion of 5 years of dedicated services and contribution to the community. - Issue reason:
 
Join Date: May 2010
Location: امید نگری
Posts: 2,362
Thanks: 2,346
Thanked 4,047 Times in 1,576 Posts
Farrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud of
Default

Quote:
Originally Posted by sibgakhan View Post


Meaning:

Black out=A temporary loss of memory or consciousness

ghalta'an=chakrata hua/fiker mein

Yadd e baeza=Talmeeh/ishara hai Hazrat Moosa(A.S) mojzay ki jaanib.wo apni baghal mein hath daal k nikaltay tou wo chamknay lagta.

Gum gushta=dekho gumshuda

Tashreeh:

ye nazm Faiz ki doosri nazmon ki tarah infradiyat ka rang liye hue hai.Is nazm mein wo apni us kaifiyat ka tazkara kertay hain jab un ka shaaoor se nataa toot gaya aur her janib sayahi aur teergi dikhayi denay lagi.
shaaiyir ki ye nazm dar'asal us ki mayoosi ki kaifiyat ki taraf ishara kerti hai.Haqeeqat mein shayir nabeena nae hua balkay wo istelahan apni ankhon k be'noor honay ka ziker kar raha hai.shamo'n k be'noor honay se shayir ki ye muraad ho sakti hai k us k ird gird umeed ki koi kiran baqi nae rahi aur her taraf mayoosi k ghata top andheray hain.
aisa maloom hota hai k mehboob ki yaad ne shaiyir ko hosh o hawaas se be'gana ker dia hai.us k tamam mehsoosat jamid ho gaye hain aur wo sochnay samjhnay k qaabil nae raha.

Gham raha jab tak k dam mein dam raha,
dil k janay ka nihayat gham raha..!!


Phir shaiyir apnay mehboob se kehta hai k abi zara tehro shayed aasman se barq aye aur meri ankhon ko wesi chamak ata ker de jo k Hazrat Moosa(A.S) k hath se nikelti thi.Zulmat k tamashay dekh dekh k shaiyir ki ankhen be'naai kho bethi hain aur ab wo isi umeed k saharay zinda ha k shayed koi ghaib se us ki madad karay.shaiyir ki ye he khawahish hai k ye jo jamood ki kaifiyat us pe taari hai,ye jab tootay tou us k paas naya shaffaf dil ho aur ankhon ki wo he chamak jis se usay dunya roshan nazer aati thi.Phir wo is naye dil aur chamkati ankhon k sath apnay mehboob ka samna karay aur ik naye jazbay k sath us k husn k qaseeday likhay.
Goya ye bhi kaha ja sakta hai k shaiyir ko mehboob se koi sadma pohancha hai jis ki bina pe us ki dunya he andhair ho gayi hai aur wo kisi mojzaay ka muntazir hai jo us ki dil ki dunya ko phir se bahaar ata ker de.

Ik muhabbat aur karen,
ik judaai aur sahi..!!
__________________
Love is my Shield,Truth is my Sword,Brain is my Crown,Smile is my Treasure and I'm a Queen;
Quitters never win and Winners never quit..!!!
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to Farrah Zafar For This Useful Post:
sibgakhan (Tuesday, March 29, 2011)