Thread: Iqtibasat
View Single Post
  #6  
Old Wednesday, March 30, 2011
Mahvish Shahid's Avatar
Mahvish Shahid Mahvish Shahid is offline
Senior Member
 
Join Date: Aug 2009
Location: * ! LaHore ! *
Posts: 256
Thanks: 278
Thanked 330 Times in 162 Posts
Mahvish Shahid has a spectacular aura aboutMahvish Shahid has a spectacular aura aboutMahvish Shahid has a spectacular aura about
Default

"Roshni...koi meri sari zindagi k tajarboon ka nichour mangay tou main kahoon ga k kabhi kisi aurat ko is ki raza k baghair matt apnana aur apna lou tou kabhi is sai muhabat ki khuwahish mat karna...main nai aurat ko hameesha bohat kamzoor samjha tha...moum ki guriya ki terha...laikin aik omer baratnay k baad main nai yeh jana hai k aurat moum hai ya pathar...is ka faisla woh khud karti hai...kisi dosray shaksh ko isay moum ya pathar ka khitab dainay ka haqq nahi hota...woh khud chahay tou mehbob k isharoon ki simat murti rahti hai...aur pathar bannay ka faisla kar laiy tou koi shaksh bhikari ban kar bhi is ki aik nigah-e-eltfat nahi pa sakta...
apni hasti tumhray naam likh kar bhi mera dil aik kashkool ki terha khali hai roshni...
yeh woh kashkol hai jou hamdardi, murawat, aur jabar k tehat diay gaiy tamam sikkay neechay gira daita hai...jaisay kisi andhay faqeer ko khud ba khud khabar hoo jaiy k isay dia janay wala sikka khouta hai....yeh kashkol mehaz muhabat sai bana sikkah mangta hai roshni...so aab tak khali hai"

Maha Malik (Novel: Jo chalay tou jaan sey guzar ga'ay)

__________________
The thing always happens that you really believe in; and the belief in a thing makes it happen.
Reply With Quote
The Following 6 Users Say Thank You to Mahvish Shahid For This Useful Post:
aniqa hashmi (Tuesday, December 24, 2013), anum balouch (Monday, December 23, 2013), Farrah Zafar (Wednesday, March 30, 2011), Maimoona Zulfiqar (Monday, November 14, 2011), Shooting Star (Monday, June 20, 2011), Spellcaster (Sunday, September 18, 2011)