Thread: Iqtibasat
View Single Post
  #7  
Old Wednesday, March 30, 2011
Farrah Zafar's Avatar
Farrah Zafar Farrah Zafar is offline
Makhzan-e-Urdu Adab
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason: Diligent Service Medal: Awarded upon completion of 5 years of dedicated services and contribution to the community. - Issue reason:
 
Join Date: May 2010
Location: امید نگری
Posts: 2,362
Thanks: 2,346
Thanked 4,047 Times in 1,576 Posts
Farrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud of
Default

AsasSay


sab se pehle unho ne hansi aadhi aadhi baant li toh woh boli.

"tum apne hisse ki hansi ka kaya karo ghe?"

"yateem khane k chhote chhote bachon ko de doon gha"

us ne jawab diya.

woh bari faraKh dil nikli aur jab udaasi baantne ka waqt aya toh

kehne lagi..." mein is mein se kuch kuch nahi leti, sari udaasi tum

rakh lo."

is tarah us ne sara safar, sara intazaar, khazaan k sare mousam,

sardiyon ki tanha shamein, use de diin aur kehne lagi.

"aj toh tumhe andaza ho gaya ho gha k mein kanjoos nahi hoon."

woh buhat khush huwa aur bola." woh dopahr bhi sari mujhko de do,

jab ham pehli baar mille the." woh maan gaye to us ne woh dopahr

bhi udaasi, khazaan k mousamon, tanhaye aur safr k dhair par rakh

di.

itne mein us ne farakh dilana lehje mein poocha "in sab ka kaya

karo ghe?" woh bare mutamaeen lehje mein bola.

"apni udaasi ka jo hissa tumne mujhe diya hai, use zindagi bhar

apne sath rakhoon gha, shaamein boorhe librarian k naam kar doon

gha. intazaar mandair par rakhe us diye mein daal doon gha, jisse

sare-shaam jala kar koi ladki kisi ki chaap ki muntazer ho ghi. sara safar khat

mein daal kar post kar doon gha, jin ka mehboob duur ho gha, aur us se milne

k liye bechain ho."

rait per ungli se ik lambi lakeer khainch kar woh boli "sara maazi bhi tum rakh

lo." yak dam khushi ki lahr us k chehre par uthi aur aankhon mein aa kar thehr

gaye. us ne cigrate sulgaya aur bola.

"tum ne apna sara maazi bhi mujhe de kar buhat acha kiya."

"is ka kaya karo ghe?" us ne poocha.

"isse oodh k phiroon gha. aane wali garm tanha dopahron aur sard

shamon mein..." woh muskuraye.

"sare lafz bhi tum le lo."

woh mamnoon sa ho gaya aur bola."mein sare lafz bhi postmeno

mein baant doon gha. magar hamare darmiyaan kuch geeton ki saanjh bhi

he...!"

"haan woh bhi tum le lo"

"theek hai" woh mutmaeen sa ho gaya.

"in ka kaya karo ghe?"

malahon, saarbaanon aur charwahon mein baant doon gha. kisi se toot kar

mohabat karne wali ladki ko de doon gha."

yuun hi woh kitni dair apne asasSay baante rahe


Mazhar UL Islam - (Aao Ham Biccher Jain)
__________________
Love is my Shield,Truth is my Sword,Brain is my Crown,Smile is my Treasure and I'm a Queen;
Quitters never win and Winners never quit..!!!
Reply With Quote
The Following 6 Users Say Thank You to Farrah Zafar For This Useful Post:
anum balouch (Monday, December 23, 2013), Saira Nadeem (Thursday, May 03, 2012), Shooting Star (Monday, June 20, 2011), Spellcaster (Sunday, September 18, 2011), striver (Wednesday, March 30, 2011), The sky watcher (Sunday, April 07, 2013)