View Single Post
  #10  
Old Friday, April 08, 2011
Farrah Zafar's Avatar
Farrah Zafar Farrah Zafar is offline
Makhzan-e-Urdu Adab
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason: Diligent Service Medal: Awarded upon completion of 5 years of dedicated services and contribution to the community. - Issue reason:
 
Join Date: May 2010
Location: امید نگری
Posts: 2,362
Thanks: 2,346
Thanked 4,047 Times in 1,576 Posts
Farrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud of
Default

Quote:
Originally Posted by sibgakhan View Post

Pehlay qitaay mein shaiyir yaad e maazi ka tazkara kar raha hai.Wo kehta hai k meray mehboob raat dil mein teri yaad ki wo chingaari bharrki jo muddat se dabi hui thi.aur teri yaad aisay he thi jesay bahaar ka taaza jhonka.jesay kisi weeran jaga pe achanak bahaar chaa jaye.her cheez khushnumai ka libaada aurh le.


آج پھر یاد بہت آیا وہ
آج پھر اس کو دعا دی ہم نے


agay shayir kehta hai k jesay mehboob ki yaad aisay he hai jesay kisi laq o daqq sehraa mein halki halki thandi hawa chalay jis se jism o jaan pe khumaar ki si kaifiyat taari ho jati hai.Us pari paikar ki yaad aana aisay he hai jesay muddat se be'maar shakhs ko be'chaini se nijaat mil jaye.Baqol Ghalib;

unke dekhe se jo aa jaati hai munh par raunaq
Wo samajhtey hain k be'maar ka haal acha hai..
____________________________

Raheen=Girwi rakhi hui shaey,maa'tehat,Taa'bay
Nafas=Jaan,rooh,aatma,hasti,wajood,zaat
Tishna=Payasa,nihayat mushtaq
Fugha'an=aah o zaari

Doosray qitaay mein shayir dil k gham ka ziker kerta hai.wo kehta hai k ab tou dil dunya k gham se bojhal hai.kabhi is dil mein mehboob ka gham basta tha mager aaj dunyavi gham is dil mein basaira kiye hue hain.mera wajood aur meri hasti aansuon ko tarsay hue hain.ye mehboob ka gham he tha jo shayir ko aah o zaari pe maayil kerta tha.baqol Faraz;

Gham e dunya bhi gham e yaar mein shaamil ker lo,
nasha barhta hai sharaben jo sharabon mein milen..

aglay sher mein shayir apni udasi ka ziker kerta hai,wo kehta hai k meri hasti teri yaad aur teray gham k bina adhoori hai.mujhe tou Gham e yaar ki aadat si ho chali thi mager dunya k jhamailon ne mujh se dost ka gham bhi cheen lia.ab wajood khaali khaali sa mehsoos hota hai.baqol Meer;

Gham raha jab tak k dam mein dam raha,
dil k janay ka nihayat gham raha..
__________________
Love is my Shield,Truth is my Sword,Brain is my Crown,Smile is my Treasure and I'm a Queen;
Quitters never win and Winners never quit..!!!

Last edited by Rixwan; Wednesday, April 20, 2011 at 10:30 PM. Reason: upon user's request
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to Farrah Zafar For This Useful Post:
Tehriim (Friday, April 08, 2011)