View Single Post
  #97  
Old Monday, April 11, 2011
Farrah Zafar's Avatar
Farrah Zafar Farrah Zafar is offline
Makhzan-e-Urdu Adab
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason: Diligent Service Medal: Awarded upon completion of 5 years of dedicated services and contribution to the community. - Issue reason:
 
Join Date: May 2010
Location: امید نگری
Posts: 2,362
Thanks: 2,346
Thanked 4,047 Times in 1,576 Posts
Farrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud of
Default

Quote:
Originally Posted by farasat_ali View Post
Urdu Queen how to remember Poetry in Urdu Compulsory and Poet name

Have you bought book?

In book,there is poetry of famous poets with tashreeh,read that.

Besides,Remember some points;

Iqbal ki shaiyir tasawuff,Ishq aur qaum k gird ghoomti hai.sab se jaldi usi ki shaiyiri pehchani jati hai.banda e momin,qalandar,Ishq,khudi,kaainat,Saaqi..ye alfaz ziada Iqbal ki shaiyir mein nazer aatay hain.

Aey Tair-e-Lahooti, uss rizq say mout achi
Jis rizq say aati ho, parwaz main kotahi
Aain-e-jawanmardi, haq goi-o-bay baaqi
Allah kay sheron ko, aati nahin rubaahi



Ghalib ki shayiri mein aam toar pe mushkil alfaaz hotay hain aur us ka andaaz qadray be'takaluff sa hota hai.kahin kahin shararati b lgta hai.ziada tar mehboob,gham e ishq aur hijr o wisaal un ki shaiyiri k mozooat hain.

ye na thi hamari qismat k wisaal e yaar hota,
ager aur jeetay rehtay ye he intezaar hota



Meer ki shayiri saada(simple) aur be'saakhta hoti hai.

nazuki us k lab ki kia kahye,
pankhrri ik gulaab ki si hai


Faiz ka andaaz baaghyana hota hai.aam toar pe shaiyiri mein mushkil alfaaz istemaal kertay hain.mehboob in ki shaiyiri mein b nazer aata hai mger Faiz gham e jaana aur gham e dunya dono ko sath le k chaltay hain.Yaad,zanjeer,aazadi,umeed in ki shayiri k khaas mozooaat hain.

banay hain ahl-e-hawas muddaee bhi, munsif bhi
kisay wakeel karen, kis se munsifee chaahen

ap sirf ye kijiye k tamam mash'hoor shayiron ki chand aik ghazlen/nazmen parh len phir ap ko her aik k andaaz ki samjh aa jaye gi aur ap aasani se pehchan'nay lagen gy.
__________________
Love is my Shield,Truth is my Sword,Brain is my Crown,Smile is my Treasure and I'm a Queen;
Quitters never win and Winners never quit..!!!
The Following 15 Users Say Thank You to Farrah Zafar For This Useful Post:
Austere (Wednesday, June 20, 2012), cateyes (Wednesday, August 03, 2011), farasat_ali (Monday, April 11, 2011), Fozia Hamid (Wednesday, August 06, 2014), mangat1 (Sunday, June 05, 2011), mmawaqar (Monday, December 28, 2015), pisceankhan (Sunday, July 31, 2016), rishzzz (Saturday, April 16, 2011), RMKamran (Tuesday, September 22, 2015), SamiPerhar (Thursday, June 21, 2012), San_rab (Tuesday, August 20, 2013), ShahZaibS (Wednesday, December 09, 2015), shaikhrulez (Monday, July 15, 2013), sib mah (Monday, August 24, 2020), The Dark Knight (Monday, April 11, 2011)