View Single Post
  #18  
Old Saturday, April 16, 2011
Farrah Zafar's Avatar
Farrah Zafar Farrah Zafar is offline
Makhzan-e-Urdu Adab
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason: Diligent Service Medal: Awarded upon completion of 5 years of dedicated services and contribution to the community. - Issue reason:
 
Join Date: May 2010
Location: امید نگری
Posts: 2,362
Thanks: 2,346
Thanked 4,047 Times in 1,576 Posts
Farrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud of
Default

Ye na thi hamari qismat, k visaal-e-yaar hota
Agar aur jeete rehte, yehi intezaar hota

shayir kehta hai k hamari aisi qismat kahan k mehboob mil jaye..ager aur b zindagi mil jati tab b ye he intezar hamari qismat hota.

Tere waade par jeye hum, to ye jaan jhoot jana
K khushi say mar na jaate, agar aitbaar hota


shayir kehta hai k mehboob k waaday ki aas mein jo ham jee rahay hain tou us ki ye he waja hai k us ka waada jhoota tha..sacha hota tou hm khushi se he mar jatay.yahan shayir mehboob ka mazaq urra raha hai k tumharay waaday ka aitbar he nae.

Rug-e-sung say tapakta, wo lahoo k phir na thumta
Jese ghum samajh rahay ho, ye agar sharaar hota

;shaiyir kehta hai k ager mera gham ksi pathar k ander hota tou pathar mein se b lahu tapaknay lag jata..goya shayir k gham mein itni shiddat hai.rag e sang ka shayir ne is lye ziker kia hai kiun k chuqmuqaq pathar ko ragarrnay se chingariyan paida hoti hain so ager pathar mein shayir ka gham samo dia jaye tou pathar se na kabi na thamnay wala lahu tapakta.yani gham bardasht kerna sirf insan ki he himmat hai

Kahoon kiss se main ke kya hai, shab-e-ghum buri bala hai
Mujhay kya bura tha marna, agar aik baar hota

shayir kehta hai k mein ye kesay bataun k ratt jaggay kis qadar azziyat detay hain.ye aisay he hai jesay mein her roz marun jiyon..is se behter tha k aik he dafa maut aa jati..ye raaton ko tarrapna bht takleef deh hai

Huwe mar k hum jo rusva, huwe kyun na gharq-e-darya
Na kabhi janaza uth’ta, na kahin mazaar hota


shayir kehta hai k mera jesa insan jo mar k logon mein ruswa ho raha hai.,is se behter tha kisi darya mein he doob k mar jata..na janaza uthanay ki nobat aati aur na mera mazaar banta..jo maut k baad b logon ki nazer mein na rehna parta.

Ye masail-e-tasav’vuf, ye tera bayan “Ghalib”
Tujhay hum wali samajhte, jo na baada khuwar hota

aakhri sher mein shayir khud se mukhatib ho k kehta hai k ye meri rohani guftagu meri pehchan hai..aur mera ye shaandar andaaz e bayan aisa hai k log mujhe wali samjhtay ager mein sharabi na hota..Ghalib ko apni tasawuf ki guftagu pe naaz tha jab he wo aitraf kertay hain k sharab ki latt un k wali honay ki sanad mein aarray aa gayi


Ghalib
__________________
Love is my Shield,Truth is my Sword,Brain is my Crown,Smile is my Treasure and I'm a Queen;
Quitters never win and Winners never quit..!!!
Reply With Quote
The Following 11 Users Say Thank You to Farrah Zafar For This Useful Post:
aadam~ka~beta (Saturday, October 04, 2014), cateyes (Wednesday, August 03, 2011), fiza mehar (Sunday, April 17, 2011), Fozia Hamid (Wednesday, August 06, 2014), Gulrukh (Sunday, April 17, 2011), mangat1 (Monday, June 06, 2011), mmawaqar (Monday, December 28, 2015), mudasr (Tuesday, April 19, 2011), pisceankhan (Sunday, July 31, 2016), RMKamran (Tuesday, September 22, 2015), shaikhrulez (Monday, July 15, 2013)