dil per laga ke chout muravvat nah keejiye !!!
Sara Jabeen
dil per laga ke chout muravvat nah keejiye
"izhaar-e-iltifaat kee zehmat nah keejiye"
kyaa jii sakenge aapke deedaar ke baghair
wada wafa ka karke baghaawat nah keejiye
dekar gulaab unki mehak ko na cheeniye
lillah! mere dil peh qasaawat nah keejiye
moti hamaari aankh ke arzaan nah houn kahin
dunyaa mein istarah ki sakhaawat nah keejiye
miljaayen qurbatein hamen, mitjaayein faasle
dil se duaayen keejiye, hasrat nah keejiye
majbooriy-e-firaq ka shikwa nahin bajaa
khud per na ho yaqeen tou muhabbat nah keejiye
afsaana-e-bahaar na honton pe laaiye
zikr-e-shabaab behr-e-inaayat nah keejiye
sara ko apne zauq-e-nazar per hei iatimaad
apnaa khayaal rakhiye, naseehat nah keejiye
|