@ respected LI & roomi
koi ya nai kehta k Dr,ZAKIR NAIK jo kehta ha wo lafz-ba-lafz thek ha, wo hamari thara aik insan ha, be-shak un say ghalti hogi lekin is ka ya matlab nai k ham kahy k wo logo ko gumra kar raha ha. ap us k role ko deky, kitny log un k hatho mushaf-ba-islam huey ha. kitny log jo quran ka mazaq uraty thy un ki waja say ab mun tak nai kol sakty.
mery khyal ma to aj kal k material dor main ager koi islam ki khidmat k ley aik din b waqaf karta ha to hamy un ki dil-o-jan sa qadar karni chhey na k un k khilaf baty kary...
ap uny sunny jo bat un ki thek ho us ko ly jo thek nai usy na ly, aur jahan tak bat ha mislead karny ki to mery khyal ma koi kisi ko mislead nai kar sakta qk ya har insan ka faraz ha wo jo bat suny to us par amal karny aur dusro tak pohnchany sa pehly us bat ki tahqeeq kary. ham bazar ma ager 10 rupees ka aik jeez jab kharedthy ha to 5-6 shops ma us ki quality k bary ma tahqeeq karty ha to q na ham deen ki koi b bat 5-6 ulama sy confirm kary.
__________________
“Taleba Khawre ba Mula shai, Pa Kitab Porot ye Yadawai Shinki Khaluna”
|