View Single Post
  #15  
Old Monday, August 29, 2011
Saqib Riaz's Avatar
Saqib Riaz Saqib Riaz is offline
Senior Member
 
Join Date: Apr 2009
Location: Rawalpindi
Posts: 578
Thanks: 426
Thanked 899 Times in 440 Posts
Saqib Riaz is just really niceSaqib Riaz is just really niceSaqib Riaz is just really niceSaqib Riaz is just really nice
Default

میبل اور میں

A Critical Review(Farrah Kindly Check it and give me remarks)

Meebal aur Main asal main Mashriq and Maghrib ke do kirdaro ki mumasilat pe mubani hai. Is mazmoon main Pitras ne bohat hi khubsurti se auraton aur mardon ki masawat ka zikar kiya hai.

Ye mazmoon sirf do seegho ke gird ghoomta hai. Jis main Musanif apnay aap ko meebal se kamzoor and nalyek samjta hai. meebal jo aik hafte main kafi sari kitabein parh ke musanif ko de jati thi ke is ko parh lo ta k wo dono iss pe tanqeedi jayeza le sake lekin musanif ko critics ke lye kuch time chaye hota hai, isi waja se wo un tumam kutab ko nai parh sakta aur akharkar hafte ke baad musanif meebal ke samany dabta howa nazar ata hai. is main musanif ne bht pyare andaz se btaya k wo kese apni jaga us (meebal) k lye chor deta hai aur wo b us kursi ko apna haq samajti hai jo musanif ki mardangi ko kachoke deta hai ....lekin musanif har nai manta aur akhar kar aik hal soch leta hai k begair parhay wo kutab pe tanqeed karna shuroo kar deta hai.jis se wo apni zaat ki jhooti ana and mardangi ka bharam rakhta hai...lekin musanif aik din bemar ho jata hai aur wo meebal k samney apna juram kabool kar leta hai k kesy us ne meebal ko bewakoof bnaya howa tha aur galti k azale k lye wo kutab ko parhne lagta hai lekin us ki herat ka pahar us pe us waqt toota jab us ne dekha ke book bilkul naye ki naye ki hai hata ke us ke auraq aapis main juray howe the aur wo aurao and mardo ki brabari ka kayel ho jata hai...

is mazmoon mai nehayat khubsurti se muashre ki akas bandi ki howi.jese aksar bande hmai apni zindgion mai shekhi bigharte howe nazar ate hai hala ke sachai is ke baraks hoti hai. bus wo apne zameer aur ana ki taskeen ke lye jhoot ka shara le re hote hai aur dunya per apna rub dal re hote hai aur dunya b un se impress ho ri hoti hai....

ye mazmoon asal main us muashre ki jhooti ana aur bharam rakhne walo ke gird ghomta hai....

now farrah kindly give me ur remarks plz
__________________
Always do what you are afraid to do
Saqib Riaz(TIPO KHAN)
Reply With Quote