Teray sheeshay mein may baqi nahin hay
bata kia tu mera saqi nahin hay?
samadar say milay piasay ko shabnam
bakheeli hay yeh Razzaqi nahi hay
Poochh iss say k maqbool hay fitrat ki gawahi
tu sahib-e-manzil hay k bhatka hua raahi
Kafir hay musalman to na shahi na faqeeri
momin hay to karta hay faqeeri mein b shahi
Kafir hay to shamsheer pay karta hay bharosa
momin hay to bay-taigh b ladta hay sipahi
kafir hay to hay ta-ba-e-taqdeer musalman
momin hay to wo aap hay taqdeer-e-Elahi
mein nay to kia parda-e-israr ko b chak
dereena hay tera marz-e-kor-e-nighahi
Last edited by marwatone; Saturday, January 01, 2011 at 02:48 AM.
|