na takht-o-taj mein nay lashkar-o-sipah mein hay
jo baat mard-e-Qalandar ki baar-gah mein hay
sanam kada hay jahan aur mard-e-Haq hay Khalil
yeh nukta wo hay k posheeda La-E-Lah mein hay
wohi jahan hay tera jis ko tu karay paida
yeh sung-o-khisht nahin jo teri nigah mein hay
mah-o-sitara say aagay muqaam hay jis ka
wo musht-e-khaak abhi aawargan-e-raah mein hay
Khabar mili hay Khudayan-e-bahr-o-bar say mujhay
Farang rah-guzar-e-sai-l-ebay-panaah mein hay
Talash iss ki fizaon mein kar naseeb apna
jahan-e-taaza meri aah-e-subh-gah mein hay
meray ka-do ko samajh karbaada-e-naab
na madrassay mein hay baqi na khanqah mein hay
Last edited by marwatone; Saturday, January 01, 2011 at 02:50 AM.
Reason: Posts merged.
|