View Single Post
  #7  
Old Friday, January 06, 2012
Da Skeptic's Avatar
Da Skeptic Da Skeptic is offline
Senior Member
 
Join Date: Oct 2011
Location: دیار ِ آرزو
Posts: 258
Thanks: 271
Thanked 258 Times in 157 Posts
Da Skeptic will become famous soon enoughDa Skeptic will become famous soon enough
Default

@Farah Zafar
one minute janab.. jab Galib ye kehta hai k kuch nahi tha to Khuda tha aur kuch na hota to Khuda hota.. aur os k baad ye kayinat khalq hvi aur is kayinat k sath me b khalq hva.. is ka matlab ye to nahi k Khuda ne apne wajood se ye kayinat banai he, matlab ye kayinat Khuda k vajood ka aik tukra hai.. mere hisab se esa tab ho sakta jab Khuda ka maddi (material) wajood hota.. tab hi ham os k hisse b farz kar sakte the.. jab esa nahi hai to ye kese ho sakta hai k Galib kahe k agar me khalq na hota to Khuda k wajood ka hissa hota? even in abstract sense this explanation seems suspicious to me.. aap kiya kehti hain??

@Farah Zafar
aur Galib jab ye kehta hai k na hota me to kiya hota, yahan pe mere hisab se vo sawal nahi poch raha balki sawaliya andaz me keh raha hai k ek mere na hone se kiya farq per jata? kuch nahi.. jab aagaz aur anjaam donu Khuda he, jab os ki zaat ko kayinat k hone ya na hone se koi farq nae parta.. vo kayinat se pehle b tha aur baad me b rahe ga, to phir mujhe kiun banaya, mjhe na khalq kerne se kiya farq per jata, mujhe to is hone ne, is wajood ne, is zindagi ne boht masayil paeda kiye, boht dukh diye.. mujhe is hone ne daboya.. behter yahi tha k me na hota.. kiun k Galib k nazdeek zindagi aur gham donu lazim o malzoom hain..

Qaed e hayat o band e gham, asl me donu aik hain,
Moat se pehle admi, gham se njat paye kiun..!
__________________
"So my birth was the first of all my misfortunes". (Jean Jacques Rosseou)

Last edited by Predator; Friday, January 06, 2012 at 04:04 PM.
Reply With Quote
The Following 3 Users Say Thank You to Da Skeptic For This Useful Post:
Eager (Saturday, January 07, 2012), Hamidullah Gul (Friday, January 06, 2012), neebi (Wednesday, November 19, 2014)