View Single Post
  #11  
Old Friday, January 06, 2012
Da Skeptic's Avatar
Da Skeptic Da Skeptic is offline
Senior Member
 
Join Date: Oct 2011
Location: دیار ِ آرزو
Posts: 258
Thanks: 271
Thanked 258 Times in 157 Posts
Da Skeptic will become famous soon enoughDa Skeptic will become famous soon enough
Default

Quote:
Originally Posted by Hamidullah Gul View Post
awwalan ye ke aaj tak mujhe ye anddaza nhe tha ke Ghalib ka Tassuf ke sath be koi ta'aluq tha, mere nazdik Ghalib ka Tassauf se wahi rishta tha jo Akbar Ilah abaddi ka College se tha.
Ap ki is baat k jawab me, mei Galib ka hi aik sher kahnga,
Ye Masayil e Tasawwuff, Ye Tera Bayan Galib,
Tujhe Ham Walii Samajhte Jo na Bada-Khwar Hota


Aik aur jaga per bhi Mirza kehte hain,
Aate hain Gaeb se ye mazameen khayal main
Galib sareer e khama Nawa e Saroosh hai..


Ye do ashaar Galib k Tasawwuff ko wazeh tor per zahir karte hain..

Quote:
Originally Posted by siddiqui88 View Post
Ap kesay keh sktay hain k khuda k maadi wajood nahe? Insan Mareekh tk zaroor pohncha hai, lakin abi tk Milky Way se b agay ni ja ska Abi bohat kuch sar basta hai is kainaat me. Kaun dawa kar skta hai k khuda ka wajood kesa hai?

Farah Zafar's explanation is quite logical. She is not professing any of these schools of thought here, she just propounded what Ghalib would have had meant. Wahdatul Wajood aur Wahdatu Shahood do mukhtalif school of thought hain, khaliq aur makhlooq k taluq k baray me. Boht se classical shora nay apnai shairi me in per izhaar e khayal kia hai. ziada tar qudmaa wahdatul wajood k qail thay.
mere azeez, aap shayad jante honge k Khuda k lye wajood ka hona farz karne ka matlab he k vo fani(mortal) hai, kiun k har vo cheez jo maddi wajood rakhti haios ne fana hona hai.. aur aksar madda me rooh hoti hai, aur Khuda ne khud Quraan e majeed me kaha hai k "har zee-rooh ko moat ka zayiqa chakhna hai..".. even bejan cheezun me bhi aik tarah se rooh hai, jesa k un k atoms aur molecules me sub-atomic particles ka harkat me hona.. aur Khuda agar wajood rakhta hai to nazar bhi aasakta hai..Khuda agar wajood rakhta hai to os se dosri cheezun ka comparison bhi kiya ja sakta hai, os se bari cheez b ho sakti hai.. Khuda k lye wajood aur adad(number) ka tasawwar karna hi shirk hai.. aur jab Khuda ka koi wajood nae matlab jism nae to koi ye dawa kar bhi nae sakta k Khuda ka wajood esa hai ya wesa hai.. aur agar dawa kar bhi lay to vo sirf dawa hi rahe ga, os ka haqiqat se koi talluq nae hoga..
__________________
"So my birth was the first of all my misfortunes". (Jean Jacques Rosseou)

Last edited by marwatone; Tuesday, January 17, 2012 at 02:34 AM. Reason: Posts merged.
Reply With Quote
The Following 4 Users Say Thank You to Da Skeptic For This Useful Post:
Eager (Saturday, January 07, 2012), Hamidullah Gul (Friday, January 06, 2012), neebi (Wednesday, November 19, 2014), SADIA SHAFIQ (Wednesday, January 11, 2012)