View Single Post
  #14  
Old Saturday, January 07, 2012
Da Skeptic's Avatar
Da Skeptic Da Skeptic is offline
Senior Member
 
Join Date: Oct 2011
Location: دیار ِ آرزو
Posts: 258
Thanks: 271
Thanked 258 Times in 157 Posts
Da Skeptic will become famous soon enoughDa Skeptic will become famous soon enough
Default

Quote:
Originally Posted by Eager View Post
aur is shair ka matlab?

دام ہر موج میں ہے حلقہ صد کام نہنگ
دیکھیں کیا گزرے ہے قطرے پہ گہر ہونے تک
agar salees urdu me bayan kiya jae to kuch yun hoga k
pani ki har leher k jaal me saekrun magarmachun k munh k halqe ya shikanje hain,
dekhye k pani k qatre per moti/gohar banne tak kiya guzarti hai..

matlab zindagi me har taraf aazmayishen aur museebaten munh khole admi k intizar me hain, aur daekhna ye he k konsa admi in se sabr aur hosla k sath guzarta hai.. aur jo himmat jawan rakhe ga aur tamam masayil se sabit qadmi se guzre ga to vo phir ek gohar ki manind hoga.. qeemti aur anmol.. qatre ko gohar banne tak saenkrun magarmachun k munh se bachna hota hai, isi tarah admi ko kamal e insaniat ya apne maqsad k husool me boht si rukawatun se guzarna parta hai..
__________________
"So my birth was the first of all my misfortunes". (Jean Jacques Rosseou)
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to Da Skeptic For This Useful Post:
Eager (Sunday, January 08, 2012)