View Single Post
  #15  
Old Saturday, January 07, 2012
siddiqui88's Avatar
siddiqui88 siddiqui88 is offline
43rd CTP (OMG)
CSP Medal: Awarded to those Members of the forum who are serving CSP Officers - Issue reason: CE 2014 - Merit 163
 
Join Date: Aug 2010
Posts: 286
Thanks: 304
Thanked 414 Times in 182 Posts
siddiqui88 is just really nicesiddiqui88 is just really nicesiddiqui88 is just really nicesiddiqui88 is just really nice
Default

Quote:
Originally Posted by Da Skeptic View Post
mere azeez, aap shayad jante honge k Khuda k lye wajood ka hona farz karne ka matlab he k vo fani(mortal) hai, kiun k har vo cheez jo maddi wajood rakhti haios ne fana hona hai.. aur aksar madda me rooh hoti hai, aur Khuda ne khud Quraan e majeed me kaha hai k "har zee-rooh ko moat ka zayiqa chakhna hai..".. even bejan cheezun me bhi aik tarah se rooh hai, jesa k un k atoms aur molecules me sub-atomic particles ka harkat me hona..aur Khuda agar wajood rakhta hai to nazar bhi aasakta hai..aur Khuda agar wajood rakhta hai to nazar bhi aasakta hai..Khuda agar wajood rakhta hai to os se dosri cheezun ka comparison bhi kiya ja sakta hai, os se bari cheez b ho sakti hai..
Zroori nhe k zindagi,rooh, jandaar aur bejaan ka tasawur mehz itna he hai jitna hman smjh ata hai. Hum apni aqal aur hawas e khamsa ki bunyad per us baray me b nazriyat qaim kr letay hain jin k baray me jan'na hmaray ikhtiyar se bahir hota hai.Kia apko ni lagta hmari soch, aqal aur hawaas bht mehdood hain?in k daira e ikhtiyar se bahir kia hai koun janta hai?

Islami taleemat kehti hai k farishtay Allah k takht ko uthay hoay hain(kon janay 'Takht" ks cheez ka istiara hai?) ijram e falki aur tmam tar makhlooqat us ka tuwaaf krtay hain. Science kehti hai k tmam galaxies, nebulas, sb kuch bht bray aur bht roshan markaz k gird chakar lga rha hai, kon jany yahen khuda ho? koun janay ye b mehz us ki takhleeq ho? Science kehti hai k kainat mehdood hai aur uska daira10 over 25km tk hai. kon janay us se bahir kia hai?Kon janay khuda is k andar hai,bahir hai ya dono traf? kia ap ,me ya koi b is ka faisla kr skta hai?to us k wajood k jamid ya mujarrid honay k baray me faisla hum kesay kar sktay hain?kon janay wo jaamid hai mujarrid ya is se b agay ki koi cheez.jandaar, be jaan aur rooh k apnay mehdood ilm ko hum us hasti pe kesay laago ker sktay hain jo hmaray idraak se bahir hai?
Emaan ye hai k hum us k honay aur EK honay ko maanen.

Quote:
Originally Posted by Da Skeptic View Post
Khuda k lye wajood aur adad(number) ka tasawwar karna hi shirk hai..
Allah nay khud apnay liye adad istemaal kia hai aur wo adad hai "1"( keh do k Allah ek hai). Is adad se agay berhna (2,3,4...) Shirk hai, aur is se peechay hatna(0) Ilhaad....
Quote:
Originally Posted by Da Skeptic View Post
aur jab Khuda ka koi wajood nae matlab jism nae to koi ye dawa kar bhi nae sakta k Khuda ka wajood esa hai ya wesa hai.. aur agar dawa kar bhi lay to vo sirf dawa hi rahe ga, os ka haqiqat se koi talluq nae hoga..
Wahdatul Wajood aur Wahdatu Shahood dono me he hmen zaat e bari taala ko smjhnay ki justajoo nazar ati hai. Agar shoraa kram nay in me se ksi ko apnay ifkaar me pesh kia hai aur hum us ki wazaahat krtay hain tou uska ye matlb nhe k hum us nuqta nazar ki perwi b kr rahay hain.

Doosri baat ye k shairi ko her ek apnay andaz se lay skta hai, agr wo mantaqi nuqta nazar he to qabil e taref hai. Me bazaat e khud usi tanazur me ghalib k is sher ko dekhti hn jo jo me nay apni post me likha. Farah's perspective is agreeable as it is logical.thats it.
__________________
~Hamaray Lehjay Mein Ye Tawazan Barri Saoobat Ke Baad Aaya
~ Kai Mizajon Ke Dasht Dekhay; Kai Rawayyon ki Khaak Chhani~
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to siddiqui88 For This Useful Post:
Farrah Zafar (Sunday, January 08, 2012)