Thread: Sufi Poetry.
View Single Post
  #1  
Old Thursday, January 12, 2012
sohoo siraj sohoo siraj is offline
Junior Member
 
Join Date: Dec 2011
Location: Larkana.
Posts: 4
Thanks: 0
Thanked 2 Times in 2 Posts
sohoo siraj is on a distinguished road
Default Sufi Poetry.

Aflaq se laee jati he seeno men shupaee jati he,
Toheed ki mai sagar se nhi ankhon se pilaee jati he,
Jis ne dekha mar hi gaya teree chashme siyah men he jadu,
gair ke dhooka mujh ko na de tujh men main aur mujh men too.

Esee talash o tajasus men kho gaya hoon men,
Jo men nhi hoon to kiyun hoon jo hoon to kia hoon men.

Maatee kahe kumbhar se are too kia ronde mohe,
Ek din esa aayga men rondoongi tum royeee.

Mala kahe he kath ki are too kia fere mohe,
Mun ka manka fer de turt mila doon tohe.

Makani hon ke azade makan hoon,
jahan men hoon ke khud sara jahan hoon,
wo apni la makani men rahe mast,
mujhe itna bata de men kahan hoon.


Bura to dekhan men gaya bura na miya koi,
Jo dil khooja apna to mujh sa bura na koi.

maktabe ishq ka dastoor nirala dekha,
Usko shuti na mili jis ne sabak yad kiya.

Jab tak bika na tha to koi pooshta na tha,
Toone mujhe khareed ke anmol kardia.

Unse milne ko kia kahiye jigar khud s milne ko zamana chahye.

Men sufi hoon sarmasta mera kon pahchane rasta.

Sufi Siraj here'
little collection.
Reply With Quote