View Single Post
  #1  
Old Saturday, February 17, 2007
Wounded Healer's Avatar
Wounded Healer Wounded Healer is offline
Senior Member
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason:
 
Join Date: Dec 2006
Location: a few moments farther from creation
Posts: 576
Thanks: 49
Thanked 161 Times in 115 Posts
Wounded Healer has a spectacular aura aboutWounded Healer has a spectacular aura about
Default ai ishq hamein barbaad na kar

ai ishq hamein barbaad na kar

ai ishq na chherrh aa aa ke hamein
hum bhuule huoon ko yaad na kar
pehale hii bahut naashad hain hum
tuu aur hamein naashaad na kar
qismat kaa sitam hii kam nahiin kuchh
ye taazaa sitam, ijaad na kar
yuun zulm na kar, bedaad na kar
ai ishq hamein barbaad na kar

jis din se mile hain donoon kaa
sab chain gayaa, aaraam gayaa
cheharoon se bahaar-e-subah gaii
aankhoon se farogh-e-shaam gayaa
haathoon se khushii kaa jaam chhuutaa
hoontoon se hansii kaa naam gayaa
ghamgiin na banaa, naashaad na kar
ai ishq hamein barbaad na kar

raatoon ko uth uth rote hain
ro ro kar duaayein karate hain
aankhoon mein tasavvur, dil mein khalish
sar dhunate hain, aahein bharate hain
ai ishq ye kaisaa rog lagaa
jiite hain, na zaalim marte hain
ye zulm to ai jallaad, na kar
ai ishq hamein barbaad na kar

ye rog lagaa hai jab se hamein
ranjiidaa huun main, biimaar hai woh
har waqt tapish, har waqt khalish
be-khwaab huun main, bedaar ha woh
jiine se idhar bezaar huun main
marne pe udhar tayyaar hai woh
aur zabt kahe, fariyaad na kar
ai ishq hamein barbaad na kar

bedard zaraa insaaf to kar
is umr mein aur maghmuum hai woh
phuuloon kii tarah naazuk hai abhii
taaroon kii tarah masuum hai woh
ye husn sitam, ye ranj ghazab
majbuur huun main, mazluum hai woh
mazluum pe yuun, bedaad na kar
ai ishq hamein barbaad na kar

ai ishq khudaaraa, dekh kahiin
woh shakhs hasiin, badnaam na ho
woh maah-e-laqaa, badnaam na ho
woh zohraa-jabiin, badnaam na ho
naamuus kaa us ko paas rahe
woh pardaa-nashiin, badnaam na ho
us pardaa-nashiin ko yaad na kar
ai ishq hamein barbaad na kar

ummiid kii jhuuthii jannat ke
rah rah ke na dikhlaa Khwaab hamein
aaiindaa ke farzii ishrat ke
waade se na kar betaab hamein
kehtaa hai zamaanaa jis ko khushii
aatii hai nazar kaamayaab hamein
chhorr aisii khushii ko yaad na kar
ai ishq hamein barbaad na kar

do din hii mein ahad-e-tiffalii ke
maasuum zamaane bhuul gaye
aankhoon se woh khushiyaan mit sii gaiin
lab ke woh taraane bhuul gaye
un paak bahishtii Khwaaboon ke
dilchasp fasaane bhuul gaye
un Khwaaboon se yuun aazaad na kar
ai ishq hamein barbaad na kar

aankhoon ko ye kyaa aazaar huaa
har jazb-e-nihaan par ro denaa
aahang-e-tarab pe jhuk jaanaa
aawaaz-e-fughaan par ro denaa
barbat kii sadaa par ro denaa
mutrib ke bayaan par ro denaa
ehsaas ko gham buniyaad na kar
ai ishq hamein barbaad na kar

jii chaahataa hai ik duusare ko
yuun aatth pahar ham karein
aankhoon mein basaayein Khwaaboon ko
aur dil ko khayaal aabaad karein
khilwat mein bhii jo jalwat kaa saamaan
wehdat ko duii se shaad karein
ye aarazuuein ijaad na kar
ai ishq hamein barbaad na kar

woh raaz hai ye gham-e-aah jise
paa jaaye koii toh khair nahiin
aankhoon se jab aansuu behte hain
aa jaaye koii toh khair nahiin
zaalim hai ye duniyaa dil ko
yahaan behh jaaye koii khair nahiin
hai zulm magar fariyaad na kar
ai ishq hamein barbaad na kar

duniyaa kaa tamaashaa dekh liyaa
ghamgiin sii hai betaab sii hai
ummiid yahaan ik weham sii hai
taskiin yahaan ik khwaab sii hai
duniyaa mein khushii kaa naam nahiin
duniyaa mein khushii nayaab sii hai
duniyaa mein khushii ko yaad na kar
ai ishq hamein barbaad na kar
__________________
*********************************
The only verdict is vengeance; a vendetta,
held as a votive, not in vain, for the value
and veracity of such shall one day vindicate
the vigilant and the virtuous.
*********************************
Reply With Quote