Qarz-e-nigah-e-yaar ada kar chukay hein ham
sab kuchh nisar rah-e-wafa kar chukay hein ham
kuchh imtihan-e-dast-e-wafa kar cukay hein ham
kuchh unn ki dastaras ka pata kar chukay hein ham
ab ehtiat ki koi soorat nahin rahi
qatil say rasm-o-raah siwa kar chukay hein ham
dekhay hay kon kon zaroorat nahin rahi
koo-e-sitam mein sab ko khafa kar chukay hein ham
aap apna ikh-ti-yar hay chahein jahan chalein
rahbar say apni raah juda kar chukay hein ham
aap apna ikh-ti-yar hay chahein jahan chalein
rahbar say apni raah juda kar chukay hein ham
Last edited by Princess Royal; Monday, June 30, 2008 at 03:39 AM.
|