yeh butan-e-asr-e-hazir k banay hein madrassay mein
na ada-e-kafirana, na na tarash-e-Aazrana
nahin iss khuli fiza mein koi gosha-e-faraghat
yeh jahan ajab jahan hay, na qafas na aashiana
rag-e-tak muntazir hay teri barish-e-karam ki
k ajam k me-kado mein na rahi ma-e-mughana
meray ham safeer isay b asr-e-bahar samjhay
unhein kia khabar k kia hay yeh niwa-e-aashiqana
meray khak-o-khoon say tu nay yeh jahan kia hay peda
sila-e-shaheed kia hay? tab-o-taab-e-ja-widana
teri banda parwari say meray din guzar rahay hein
na gila hay dosto ka na shikayat-e-zamana
Last edited by marwatone; Saturday, January 01, 2011 at 03:10 AM.
Reason: Posts merged.
|