
Monday, February 26, 2007
|
 |
Banned
|
|
Join Date: Apr 2006
Location: Karachi
Posts: 405
Thanks: 2
Thanked 99 Times in 84 Posts
|
|
shar-h-e-firaq, mad-h-e-lab mushk boo karein
gurbat kaday mein kis say teri guftugoo karein
yaar aashna na koi, takraein kis say jaam
kis dil ruba k naam pay khali saboo karein
seenay pay haathh hay na nazar ko talash-e-baam
dil sath day to aaj gham-e-aarzoo karein
kab tak sunay gi raat, kahan tak sunaein ham
shikway gilay sab aaj teray roobaroo karein
hamdam hadees-e-koo-e-malamat sunaio
dil ko lahoo karein k gareeba-n rafoo karein
aashufta sir hein muhtasibo, moo-n-h na aa-e-o
sir bech dein to fikr-e-dil-o-jaa-n adoo karein
tar damani pay Shaikh hamari na ja-e-o
daaman nichod dein to Farishtay wazoo karein
shayed kabhi afsha ho nigaho pay tumhari
har saada waraq jis sukhn-e-kushta say khoo-n hay
shayed kabhi iss geet ka parcham ho sarfaraaz
jo aamad-e-sabr sabar ki tamanna mein nigoo hay
shayed kabhi iss dil ki koi rang tumhein chubh jaey
jo sung-e-sar-e-raah ki ma-nind zuboo-n hay
ham parwarish-e-Loh-o-Qalam kartay rahein gay
jo dil pay guzarti hay raqam kartay rahein gay
asbab-e-gham-e-ishq baham kartay rahein gay
weerani-e-dora-n pay reham kartay rahein gay
haan talkhi-e-ayyam abhi aur bar-hay gi
haan ehl-e-sitam mush-k-e-sitam kartay rahein gay
manzoor yeh talkhi yeh sitam ham ko gawara
dam hay to madawa-e-alam kartay rahein gay
may khana salamat hay to surkhi-e-may say
taz-ee-n-e-ra-o-baam-e-haram kartay rahein gay
baqi hay lahoo dil mein to har ashk say peda
rung-e-lab-o-rukhsaar-e-sanam kartay rahein gay
ik tarz-e-taghaful hay so unn ko mubarak
ik arz-e-tamanna hay so ham kartay rahein gay
 Teri aankhho k siwa dunia mein rakhha kia hay
chand roz aur meri jaan, faqat chand he roz
zulm ki chhao-n mein dam lenay pay majboor hein ham
aur kuchh der sitam seh lein,tarap lein, ro lein
apnay ajdaad ki meeras hay, maazoor hein ham
jism par qed hay, jazbat pay zanjeerein hein
fikr-e-mahboob hay, guftar pay ta-zee-rein hein
apni himmat hay k ham phhir b jiay jatay hein
zindagi kia kisi muflis ki quba hay jis mein
har gar-hi dard k pewand lagay jatay hein
lekin ab zulm ki me-aad k din thho-ray hein
ik zara sabr ki fariyad k din thho-=ray hein
arsa-e-dahr ki jhulsi hui weerani mein
ham ko rehna hay, par yunhi to nahin rehna hay
ajnabi hatho ka bay naam gar-am-bar-e-sitam
aaj sehna hay, hamesha to nahin sehna hay
yeh teray husn say lipti hui aalam ki gard
apni do-roza jawani ki shikasto ka shumaar
chand-ni raato ka be-kar dehakta hua dard
dil ki be-sood tarap, jism ki mayoos pukaar
chand roz aur meri jaan, faqat chand he roz
bol k lab azad hein teray
bol, zuban ab tak teri hay
tera sitwa-n jism hay tera
bol k jaan ab tak teri hay
dekhh k aahan gar ki duka-n mein
tund hein sholay, sur-kh hay aahan
khhulnay lagay quflo k dahanay
phhela har ik zanjeer ka daman
bol yeh thhora waqt bohat hay
jism-o-zuban ki mot say pehlay
bol k sach zinda hay ab tak
bol jo kuchh kehna hay keh lay
bedam huey beemar dawa kiun nahin detay
tum achhay maseeha ho shifa kiun nahin detay
dard-e-shab-e-hijra-n ki jaza kiun nahin detay
khoon-e-dil-e-wehshi ka sila kiun nahin detay
haan nuqta waro lao lab-o-dil ki gawahi
haan naghma gharosaaz-e-sada kiun nahin detay
peman-e-junoo hathho ko sharmaey ga kab tak
dil walo, gareeban ka pata kiun nahin detay
barbadi-e-dil jabr nahin Faiz kisi ka
wo dushman-e-jaan hay to bhula kiun nahin detay
hein labrez aaho-n say thhandi hawaein
udasi mein doobi hui hein gataein
muhabbat ki dunia pay shaam aa chuki hay
siyah posh hein zindagi ki fizaein
machalti hein seenay mein laakhh arzooein
tarapti hein aankhho mein laakhh iltijaein
taghaful ki aaghosh mein so rahay hein
tumharay sitam aur meri wafaein
magar phhir b aey meray maasoom qatil
tumhein piyar karti hein meri duaein
teergi hay k umadti he chali aati hay
shab ki rag rag say lahoo phhoot raha ho jaisay
chal rahi hay kuchh iss andaaz say nabz-e-hasti
dono alam ka nasha toot raha ho jaisay
Raat ka garm lahoo aur b beh janay do
yehi tareeki to hay ghaza-e-rukhsaar-e-sehar
subh honay he ko hay aey dil-e-be-taab thhehar
abhi zanjeer chhanakti hay pas-e-parda-e-saaz
mutliq-ul-hukm hay sheeraza-e-asbab abhi
saghar-e-naab mein aansoo b dhalak jatay hein
laghzish-e-pa mein hay pabandi-e-aadab abhi
apnay deewano ko deewana to ban lenay do
jald yeh sitwat-e-asbab b uthh jaey gi
yeh giran bari-e-aadab b uthh jaey gi
khawah zanjeer chhanakti he, chhanakti he rahay
aaj raat saz-e-dard na chher
dukhh say bharpoor din tamam huey
aur kal ki khabar kisay maloom?
Last edited by Andrew Dufresne; Sunday, January 02, 2011 at 03:23 PM.
|