
Thursday, March 08, 2007
|
 |
Banned
|
|
Join Date: Apr 2006
Location: Karachi
Posts: 409
Thanks: 2
Thanked 98 Times in 84 Posts
|
|
yeh dagh dagh ujala, yeh shab gureeda sehar
wo intizar tha jis ka yeh wo sehar to nahin
------
yeh wo sehar to nahin jis ki aarzoo lay kar
chalay thay yaar k mil jaey gi kahin na kahin
------
falak k dasht mein taro ki aakhri manzil
kahin to ho ga shab-e-sust-e-mauj ka sahil
------
kahin to rukay ga safina-e-gham-e-dil
jawa-n lahoo ki pur-israr shah-raho-n say
------
chalay jo yaar to daman pay kitnay haath paray
diyar-e-husn ki bay-sabr khawab gaho-n say
------
pukarti rahi bahein, badan chillatay rahay
bohat azeez thi lekin sehar ki lagan
------
bohat qaree-n tha haseenan-e-noor ka daman
subak subak thi tamanna, dabi dabisee thakan
------
suna hay ho b chuka hay firaq-e-zulmat-o-noor
suna hay ho b chuka hay wisal-e-manzil-o-gaam
------
badal chuka hay bohat ehl-e-dard ka sotar
nishat-e-wasl halaal-o-azaab-e-hijr haraam
------
jigar ki aag, nazar ki umang, dil ki jalan
kisi pay chara-e-hijra-n ka kuchh asar he nahin
------
kahan say aai nigar-e-saba, kidar ko gai????
------
abhi charagh-e-sar-e-rah ko kuchh khabar he nahin
abhi girani-e-shab mein kami nahin aai
------
nijat-e-deeda-o-dil ki garhi nahin aai
chalay chalo k wo manzil abhi nahin aai
------
ab wohi harf-e-junoo-n sab ki zuba-n thehri hay
jo b chal nikli hay wo baat kahan thehri hay
------
aaj tak Shaikh k ikram mein jo shay thi haraam
ab wohi dushman-e-deen, rahat-e-jaa-n thehri hay
------
hay khabar garm k phhirta hay gureza-n naseh
guftagoo aaj sar-e-koo-e-buta-n thehri hay
------
hay wohi aariz-e-laila, wohi sheeree-n ka dahan
nigha-e-shauq garhi bhar ko jahan thehri hay
------
wasl ki shab thi to kis darja subak guzri thi
hijr ki shab hay to kia sakht gira-n thehri hay
------
bikhhri ikk baar hay to haathh aai hay kab mauj-e-shameem
dil say nikli hay to kab lab pay figha-n thehri hay
------
dast-esayyad b aajiz hay, kaf-e-gul-chhee-n b
boo-e-gul thehri na bulbul ki zuba-n thehri hay
------
aatay aatay yunhi dam bhar ko ruki ho gi bahar
jatay jatay yunhi pal bhar ko khiza-n thehri hay
------
ham nay jo tarz-e-fugha-n ki hay qafas mein eejaad
Faiz gulshan mein wohi tarz-e-baya-n thehri hay
Last edited by Andrew Dufresne; Sunday, January 02, 2011 at 03:22 PM.
|