Mohabbat se rehaa hona zaroori ho gaya hai
Mera tujh se juda hona zaroori ho gaya hai
Wafa ke tajrubey kartety huye tou umar guzri!!
Zara sa bewafa hona zaroori ho gaya hai
Meri awaaz tanhaayi mein marti jaa rahi hai
Kissi ka humnawaa hona zaroori ho gaya hai
Azaab-e-zulmat- e-shab hai ke ab dil ke laboun per
Koye harf-e-duaa hona zaroori ho gaya hai
Kab tak tazabzab ki fizaaoun mein rahein ge
Koye ek faisla hona zaroori ho gaya hai
Bhanwar mein hai kayi baras se kashti apni
Kissi ka nakhudaa hona zaroori ho gaya hai