View Single Post
  #1  
Old Monday, April 21, 2014
MisbahMalik's Avatar
MisbahMalik MisbahMalik is offline
Senior Member
 
Join Date: Mar 2011
Location: Islamabad
Posts: 215
Thanks: 14
Thanked 110 Times in 82 Posts
MisbahMalik is on a distinguished road
Default Urdu 2014 Past Paper

Urdu Paper 1 – CSS 2014






Q#2: Mundarja zil unwanaat mai sy kisi 2 per mukhtasar magar jamiya jawab tehrir karain (10+10)

1. Urdu mai khaka nigari
2. Urdu aur Panjabi ky lasani rawabit
3. Halqa arbabe-ezouq ki shaeree
4. Urdu nasar mai tarakki pasand tehreek ka hissa

Q#3: Mundarja zil mouzuaat mai sy kisi aik per jamiya mazmoun tehrir karain (20)

1. Urdu tanqeed mai jaded rujhanaat
2. Urdu mai mazah nigarri
3. Pakistani adab ky numayaan rujhanaat

Q#4: Mundarja zil mai sy kisi 4 per mukhtasar note likhain (5+5+5+5)

1. Mir ka tasawaar-e-gham
2. Ghalib ka tasawaar-e-husn-o-ishq
3. Nazeer Akbar Abadi ki shaeree
4. Urdu nawaloun mai Amro jan Ada kA maqam
5. Moulana Hali ki Urdu ghazal ki tousee ky liay tajaweez
6. Parain chandd ki afsana nigarri

Q#5: Mundarja zil Iqtabaas ki talkhees karain Jô asal ky 1/3 sy zada na ho (20)


Asal mai Jô masla nae nazam ki shaeroun ko darpaish hai wo falsafiyati noyat kA hai aur ES sawal sy paida hota hai ky mai kon hun. Naee nazam kA shair ye nahin poochta ky duniya Kia hai? Muaashra asa kiun hai? Kainaat kia hai? Wo sirf apni shanaakht chahta hai. Lekin es sy ye muraad nahin ky shair muaashry, duniya aur kainaat sy by-taluq hai aur sirf apny-aap mai dilchaspi rakhta hai. Wo youn nahin ker sakta kiun k yes sy pehlay bht sys hair apny ap ko apna muwaad bana chukay hain. Nae nazam ka shair apna sawaal, mai kon hun, kisi khalaa main nahin dohrata. Balky es ka sawaal zameen per ese muashray main, ese duniya aur ese kainaat mai gunjta hai aur jos nouh ka zameeni naqsha esay naseeb nahin hua hai. Wo es mai apna maqaam, wajud aur kirdaar talaash kerna chahta hai. Lihaza jab woe s sawaal ko ky mai kon hun, duhrata hai tu es ka aik matlab ye hota hai ky mera es zameeni naqshay ky sath kiya rishta hai au res naqshay main mera maqaam kis jagah hai aur kahan hai?

*******
__________________
There is only one success ... to be able to spend your own life in your own way !!
Reply With Quote