View Single Post
  #25  
Old Monday, January 07, 2008
sara soomro's Avatar
sara soomro sara soomro is offline
Senior Member
 
Join Date: Jan 2008
Location: pakistan
Posts: 808
Thanks: 232
Thanked 1,099 Times in 496 Posts
sara soomro has a spectacular aura aboutsara soomro has a spectacular aura about
Default

my favourite lines are from AMAR BAIL...

"kaun kahta hai k kisi se ek bat mohabbat ho jane k bad us se nafrat ho sakti hai? jo kahta hai wo duniya ka sab se bara jhoota hai...cycle of replacement mein mohabbat ki replacement nahi hoti...khud ko dhoka dene k bawajood ham jante hain k hamare wajood mein khoon ki gardish ki tarah daurne wala naam kis ka hai...hum us per ek k bad mohabbaton k dher lagae jate hain, kahte jate hain, ab hum is se mohabbat karte hain, ab hum us se mohabbat karte hain....laken jo zyada door hota jata hai wo zyada pass ata jata hai...aur phir wo hamare dil aur dimagh k us kone mein ja puhanchta hai k agar kabhi use wahan se nikalna par jae to phir us k bad hum ek normal zindagi guzarne k qabil nahi rahte...."

Peer-e-Kamil(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam)
“Aap main se agar koi bata sakay k Peer-e-Kamil kon hota hay?”
Wahan mojood log aik doosray ko dekhnay lagay phir aik ne kaha,”Peer-e-kamil naik shakhs hota hay,Ibadat Guzar shakhs,Parsa Admi”
Dr. Sabt Ali ne sar hilaya,”bohat se log naik hotay hain,Ibadat Guzar hotay hain,parsa hotay hain,aap k ird gird aisay bohat se log hotay hain to kia wo sab Peer-e-Kamil hotay hain??”
“Nahin! Peer-e-Kamil wo admi hota hay jo dikhaway k liye Ibadat nahi karta,Dil se ibadat karta hay,sirf Allah k liyeus ki naiki or parsai dhong nahi hoti”,aik or shakhs ne ne apni raye di
“Apnay Halqa Ahbab main aap main se har aik kisi na kisi aisay shakhs ko zaroor janta hoga,jis ki ibadat k baray main ussay ya shubah nahi hota k wo dhong hay,jis ki naiki or parsai ka bhi aap ko yaqeen hota hay to kia wo shakhs Peer-e-Kamil hay?”
kuch dair khamoshi rahi phir aik or shakhs ne kaha
“Peer-e-Kamil aik aisa shakhs hota hay ,jis k alfaz main taseer hoti hay k wo insane ka dil badal daitay hain”
“Taseer bhi bohat se logon k alfaz main hoti hay,kuch k Monh se nikalnay walay alfaz main,kuch k qalam se nikalnay walay alfaz main,Taseer to stage par kharay aik Compare or akhbar ka Ka’lam likhnay walay aik Journalist k alfaz main bhi hoti hay to kia wo Peer-e-Kamil hotay hain?
Aik or shakhs bola” Peer-e-Kamil wo hota hay jissay Alham or Wajdan ho,jo mustaqbil ko boojh sakay”
“ham main se bohat saray log aisay khuab dekhtay hain jin main mustaqbil main darpesh anay walay halat se hamain agahi hojati hay,kuch log istekhara bhi kartay hain or cheezon k baray main kisi had tak jan jatay hain,kuch logon ki chati His(6th Sence)bohat taiz hoti hay,wo khatron ko bhanp jatay hain"
“Peer-e-Kamil kon hota hay?Dr Sahab kuch dair khamosh rahay,unhon ne phir apna sawal dohraya
“Peer-e-Kamil kon hota hay? Salar uljhan amaiz andaz main Dr Sabt Ali k chahray ko dekhnay laga
“Kia Dr Sabt Ali k ilawa koi or Peer-e-Kamil ho sakta tha or agar wo nahi thae to phir kon tha or kon ho sakta hay?”
Wahan baithay huay logon k Dil-o-Dimagh main aik hi gounj thi...

Dr Sabt Ali 1,1 ka chahra dekh rahay thae,phir un k chahray ki muskurahat ahista ahista madoom ho gai……….

“Peer-e-Kamil main kamliyat hoti hay..kamliyat un tamam cheezon ka majmooa hoti hay jo aap kah rahay thae, Peer-e-Kamil wo shakhs hota hay jo Dil se Allah ki ibadat karta hay,Naik or Parsa hota hay..us ki har Dua qubool hoti hay,is had tak jis had tak Allah chahay..us k alfaz main taseer bhi hoti hay,wo logon ko hidayat bhi daita hay magar ussay Alham nahi hota,ussay Wajdan hota hay,Wahi utarti hay us par or Wahi kisi Aam Insan par nahi utarti…sirf Paighambar par utarti hay…1 Lakh 24 Hazar Paighambaron main se har Paighambar Kamil tha magar Peer-e-Kamil wo hay jis par Nabuwwat ka silsila khatam kar diya jata hay…
Har Insan ko Zindagi main kabhi na kabhi kisi Peer-e-Kamil ki zaroorat parti hay,kabhi na kabhi Insani zindagi us mor par aa kar zaroor khari ho jati hay jab ya lagta hay k hamaray labon or Dilon se nikalnay wali Duayain be-asar ho gai hain,hamaray sajday or hamaray phailay huay hath rahmaton or naimaton ko apni taraf mor nahi pa rahay…Yun lagta hay jaisay koi talluq tha jo toot gaya hay phir Admi ka dil chahta hay ab us k liye koi or hath uthaye,kisi or k lab us ki Dua Allah tak Pohanchayain,koi or Allah k samnay us k liye gir-giraye,koi aisa shakhs jis ki Duayain qabool hoti hon,jis k labon se nikalnay wali il-tejayain us k apnay lafzon ki tarha wapis na mor di jati hon phir Insan Peer-e-Kamil ki talash shuru karta hay,bhagta phirta hay,Dunya main kisi aisay shakhs k liye jo Kamliyat ki kisi na kisi seerhi par khara ho…….

Peer-e-Kamil ki ya talash Insani Zindagi k irteqa se ab tak jari hay ..ya talash wo khuahish hay jo Allah khud insan k dil main paida karta hay….. Insan k dil main ya khuahish,ya talash na uteri jati to wo Paighambron par kabhi yaqeen na lata…kabhi un ki pairvi or Ata’at karnay ki koshish na karta,Peer-e-Kamil ki ya talash hi insan ko har zamanay main utaray janay walay Paighambaron ki taraf lay jati rahi....

Last edited by Zirwaan Khan; Monday, January 07, 2008 at 05:03 PM.
Reply With Quote
The Following 2 Users Say Thank You to sara soomro For This Useful Post:
sibgakhan (Friday, January 27, 2012), Zoyee (Saturday, June 06, 2009)