View Single Post
  #1  
Old Sunday, January 01, 2006
Argus's Avatar
Argus Argus is offline
Administrator
 
Join Date: Mar 2000
Location: Islamabad
Posts: 702
Thanks: 351
Thanked 2,445 Times in 282 Posts
Argus is a splendid one to beholdArgus is a splendid one to beholdArgus is a splendid one to beholdArgus is a splendid one to beholdArgus is a splendid one to beholdArgus is a splendid one to beholdArgus is a splendid one to behold
Default A Tribute to Umera Ahmed

Ishq la Hasil

ishq insan ko kainat k kisi dosry hissay mein la jata hay. Insan ishq majazi se ishq haqeeqi tak safar tab karta ha jab ishq la-hasil rehta hay ,jab insan jholi bhar bhar kar muhabbat karay or khali dil or hath laykar phirray..."

(Darbare e Dil)
...................................

Allah humein kissi moqe par yaad aye na aye ,do moqoon par zaroor yaad aata hai aaik jab ko koi cheez chahiye hoo ya phir koi cheez chen jae"
.......................................


zindagi main hum kabhi na kabhi uss muqaam per aajatay hain.. jahan saray
rishtay khatam ho jatay hain.. wahan sirf hum hotay hai aur Allah hota hai.. koi
maan baap, koi behan bhaii, koi dost nahi hota.. phir humain pata chalta hai k
humaray pairon talay koi zameen hai na sar pe koi asmaan.. buss sirf aik Allah
hi hai jo is khala mei bhi humain thamay huay hai.. phir pata chalta hai k hum
zameen per padi miiti k dhair main aik zarray ya darakkht per lagay aik patay se
ziada wuqat nahi rakhtay. phir pata chalta k huamray honay ya na honay se sirf
humain farq perta hai.. sirf humara kirdar khatam hojata hai.. kainaat mein koi
tabdeeli nahi atti .. kisi cheez par kooi asar nahi parta…………….Phir hamari aqal
thikanay aajati hai ..

Peer-e-Kamil (S.A.W)


" Har aik ko bhikari bana kar rastay me bithaya hua hay,
or har aik khud ko malik samjhta hay.jab tak thokar nahi lagti,
jab tak ghutnoon par nahi girta apni aukaat ka pata hi nahi chaltaa.
wojood kay naseeb main hay bhikari hona bus Zaat bhikari nahi ho sakti. Wojood k muqadar me mangana hay Zaat ka wasaf daina hay.
Main to kia BB! sab bhikari hain.Aj nahi to Kal, Kal nahi to parson
kabhi na kabhi bhikari banna hi parta hay.Mangana hi hota hay.
Koi Ishq mangata hay koi Duniya or jo yeh nahi mangta woh
Khuahish Ka Khatam hona mangata hay."

“Shehray Zaaat”

Last edited by Argus; Sunday, January 01, 2006 at 04:25 PM.
Reply With Quote
The Following 12 Users Say Thank You to Argus For This Useful Post:
aurora2009 (Tuesday, June 16, 2009), dogar1986 (Sunday, June 19, 2011), eshal (Tuesday, March 17, 2009), Insaf Sindhu (Tuesday, January 12, 2016), iqramsaleem (Wednesday, December 18, 2013), mab butt (Tuesday, December 07, 2010), madiha alvi (Tuesday, December 17, 2013), maha sadaf (Tuesday, September 01, 2009), shra (Wednesday, March 20, 2013), Spellcaster (Friday, September 30, 2011), Taimoor Gondal (Friday, April 08, 2011)