CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   English (Precis & Composition) (http://www.cssforum.com.pk/css-compulsory-subjects/english-precis-composition/)
-   -   Translation (http://www.cssforum.com.pk/css-compulsory-subjects/english-precis-composition/107254-translation.html)

hazelnut Monday, January 25, 2016 07:42 PM

Translation
 
Aj kal is nafsa-nafsi ke dor main har koi apna uloo seedha krta hai. Koi kisi ki parwah nhi karta. Na kisi ke dil main sacha pyar hai na khaloos. Ikhlaqi iqdar zawal-pazeer hain. Hum na sirf insanoon se matlab-parasti barat-te hain balkay apne mulk se bhi. Kya hum sab ne mil kar kabhi socha hai keh is mulk main jahan kabhi pyar ke shadyanay bajte the ab dehshat-gardi ka samaan hai. Lekin ab bhi kuch nhi bigra. Agar hum Pakistan se sachi mohabbat karain aur apne gareban main jhaankain tu ham khud hi apni kai khamiyaan dor kar skte hain. Hum sab hi kal ke memar hain. Hmain firqa parasti, ghurbat-o-amarat aur adna-o-aala ke farq ko mita dena chahye. Hmain yak-jaan ho kar is mulk ka mustaqbil sanwaarna hai. Dua karain ke is mulk-o-qaum ka har fard mutahid ho kar is mulk ki fikar karna shuru kar de. Kyunke zinda hai Pakistan to hum sab zinda hain
Translation:
Today in this era of selfishness, everyone feathers his own nest. Nobody cares for others. No one has true love or honesty in his heart. Moral values are declining. We not only have a selfish attitude towards other human beings but also towards our country. Have we all ever thought all together that the country where once happiness prevailed is now entangled in terrorism. But even now damage is not beyond repair. If we love Pakistan sincerely and see the error of our ways, we can improve ourselves. We are the architects of tomorrow. We should erase the differences of sectarianism, poverty and affluence, and inferior and superior. We have to mend the future of this country unitedly. Pray that every person of this nation and country becomes united and starts being concerned about the country. Because if Pakistan is alive then we are alive.

hazelnut Tuesday, January 26, 2016 01:19 PM

Passage: Baray admi main wohi aam, saada aur choti choti khoobiyaan hoti hain, jin per har shakhs ka ikhtiyar hota hai. Farq sir fitna hai keh aam admi main yeh khoobiyaan hoti hain aur khaas admiyoon main in khoobiyoon ki rooh aur in ka johar hota hai. Quaid-e-Azam ki jaani pehchaani zaat main koi baat aisi na thi jo samajh main na ae. Shakhsiat ki aitbaar se wo aik seedhe saaday admi they. Unki khaas khaas khoobiyoon ki fehrist kuch yoon bane gi: azm, amal, dayanat, khitabat aur khud-dari
Translation: A great man possesses the same common, simple, and small attributes, upon which everyone has control. The only difference is that the common man possessed the attributes whereas the special men possess the spirit and essence of these attributes. The renowned personality of Quaid-e-Azam did not have anything which is incomprehensible. Personality wise, he was a simple man. A list of his special attributes will be made something like this: determination, action, honesty, oration and self-respect.

hazelnut Wednesday, January 27, 2016 07:32 PM

[B][U]passage[/U][/B]Asar-e-hazir elmi taraqqi ki intehaon ko choo raha hae.Taraqqi yafta aqwam ka turra-e-imtiaz aala
taleemi myyar hae.Es muqsad k hasool main nasab aur darsi kutub ko bunyadi ahmiat hasil hae.Jin
ko jadeed taqazoon se hum-aahung karna hamari hakoomat ka taleemi maidan ko fooqyat daena sabit karta hae.Zindgee kay aala myyar k hasool main elmi taraqi aur aala myyar bunyad ka darja rakhtey hain.Hakoomat es bunyyad ki farahmi kay liye maqdoor bhar koshishain kar rahi hae.Dua hae kay hamari nasul-e-noo jadeed taleemi taqazoon ko mad-e-nazar rakh kar Pakistan ki taameer-o-taraqi main bhurpur kirdar adaa karey.
[U][B]Translation:[/B][/U] The present era is touching the limits of educational development. The distinctive feature of the developed nations is high education standard. For the achievement of this aim, the curriculum and course books occupy primary importance. Matching these with the modern standards proves the prioritization of the educational field by our government. In attaining high standard in life, educational development and high standards have basic role. The government is doing all it can to provide this basis. May our new generation while keeping in view the modern educational standards play full role in the construction and development of Pakistan.

Mishropeta Thursday, February 11, 2016 02:47 AM

Could you please share some other passages for translation?

hazelnut Thursday, February 11, 2016 08:04 PM

[B][U]Passage:[/U][/B] Hadsaat ke in asbab ko dur karne par tawajuu di jani chahye jin par transportaroon aur driveroon ka koi ikhtiyaar nhi. Baaz oqaat tez-raftari aur driveroon ki laparwahi ki waja se bhi haadsaat roonuma hotay hain. Lekin hadsaat ka yahi aik sabab nahin hai. Balkay na-mozoon sarkain aur un par bhaari traffic ka jaari rehna hadsaat ke baray asbab hain. Inhay dur karna itna hi zaroori hai jitna ke dosre asbab ko. Tez-raftari aur gher-mohtaat driving beshtar driveroon ki aadat-e-saania ban gai hai. Hamain hazaroon musafiroon aur rah-geeroon ko na-tajarbaykar aur gher mohtaata driveroon ke rehm-o-karam par naheen chorna chahye.
[B][U]Translation : [/U][/B]Those cause of accidents should be paid attention to upon which transporters and drivers have no control. Sometimes, accidents also occur due to over speeding and carelessness of drivers. However this is not the sole reason of accidents. In fact, inappropriate roads and flow of heavy traffic on them are also big reasons for accidents. To eliminate these causes is as important as the elimination of other causes. Over speeding and inadvertent driving has become a second nature of the majority of the drivers. We should not leave thousands of passengers and pedestrians at the mercy of inexperienced and careless drivers.

hazelnut Thursday, February 11, 2016 08:05 PM

[B][U]Passage:[/U][/B] kisi mulk ke logoon ko taaqat ke zariye kuchla nhi ja sakta. Na hi aam logoon ke jamhoori huqooq hamesha ke liye cheenay ja sakte hain. Roos ki tareekh in haqaaiq ko sabit karti hai. Beesveen sadi ke aakhir main roosi amariat ke khilaf uth kharay hoay the. Wo jamhooriyat ka mutalba kar rhe they. Wo sahih maghrabi jamhooriyatoon ki tarah taraqi karna chahte they. Hamaray mulk main aik ajeeb soorat-e-haal hai. Kai leader jamhoori tareeqoon se muntakhib hotay hain. Phir wohi leader jamhooriyat ke khilaf kaam karte hain aur be-sharmi se daulat akathi karte hain. Nateejatan military ki hakoomat aik zaroorat ban jati hai
[B][U]Translation:[/U][/B] People of no country can be crushed by force. Neither can the democratic rights of masses can be snatched forever. The history of Russia proves these facts. At the end of twentieth century, the Russians stood up against autocracy. They were demanding democracy. They wanted to develop like true western democracies. There is a strange situation in our country. Many leaders are chosen through democratic ways. Then the same leaders work against democracy and shamelessly amass wealth. Resultantly, a military government becomes a necessity

Nazish Hina Thursday, February 11, 2016 08:55 PM

Great job Hazelnut, I am bookmarking it to take a look before exams.
Please keep doing it. :D
Are you appearing in CE-2016?

Sent from tapatalk

Mrkhansaab Thursday, February 11, 2016 09:39 PM

This year's precise paper might be the game-changer/setter. I hope there is leniency in checking translation passages at least.

hazelnut Friday, February 12, 2016 12:29 PM

Thank you and yes I am... Please pray for me :(

hazelnut Monday, February 15, 2016 05:56 PM

[B][U]Passage[/U][/B]:Admi apni mukhtasar zindagi main wo sab nahi kar sakta jo wo karna chahta hai. Agar aap kabhi zaheen bachoon se poochain ke wo zindagi main kya karne ka irada rakhtay hain to who aap se boht buland maqasid bayan karain gay. Agar aap un ke baray hona ke baad un se mil kar maloom karain ke wo kya kuch kar chukay hain aur mazed kya karna chahte hain to un main se beshtar aah bhar kar kahain gay “ hum nay boht mansoobay banae the jab hum chotay thay. Ab mansoobay bananay ka kya faida. Ab to jo amli tor par kar sakte hain usi kay baray main sochtay hain. Agar hum apni salahiyatoon aur apnay haalat ka sahih jaiza le kar apne mustaqbil kay baaray main faisla karte to shaid apnay waqt ka behter istemaal kar sakte thay. Agar hamaray buzurg hmain sahih mashwara dete tab bhi hum itni mushkilaat main na parte.”
[B][U]Translation:[/U][/B] Man, in his short life, can’t do all that which he wants to do. If you ever ask intelligent children about what do they want to do in life, they would express very high aims. If you meet them after they have grown up and ask them that what have they done and what more do they want to do, then majority of them would sigh and say “We had made many plans when we were young. Now there is no use of planning. Now we think about only that which we can do practically. If we had taken a decision about future after correctly analysing our abilities and circumstance, then maybe we would have made better use of our time. If our elders had given us right advice then also we would not have faced so many difficulties”

DrWW Monday, February 15, 2016 07:30 PM

Hazelnut your practice is fairly good ....but dont you focus more on word to word trasnslation ....isnt it missing some spice of idioms.

hazelnut Monday, February 15, 2016 07:39 PM

well that depends upon how proficient one is with idioms. and i think to maintain accuracy of translation is more preferable than idioms... if you think you can put in idioms without changing meanings go for it

hazelnut Monday, February 15, 2016 08:38 PM

but you are right idioms would make it translation more mature :)

hazelnut Tuesday, February 16, 2016 04:33 PM

[B][U]Passage:[/U][/B]Mahmud Ghazni ne farsi zubaan aur farsi adab par baray ahsanaat kiye. Farsi ko us ne hakoomat ki sarkari zubaan ka rutba diya.tareekh-e-adab main Mahmud ki is khidmat ko nihait izzat ki nigah se dekha jata hai kyun-kay khud uski maadri zubaan turki thi. Hakumat ki tawaju ke bais boht thori muddat main farsi zubaan ne boht taraqi ki. Mash-hoor shair firdousi ne shahnama ki tasneef ka kaam Mahmud ki takht nashini se koi athara saal qabal shuru kiya tha. Jab us ne Mahmud ki qadar-dani ka haal suna to us ke darbar se munsalik ho gaya aur inaam paata raha.
[B][U]Translation[/U][/B]: Mahmud Ghazni did great service to the Persian language and the Persian literature. He gave the Persian language the status of the state language. In the history of literature, this service of Mahmud is looked upon with great respect as his own mother tongue was Turkish. Due to the government’s attention, the Persian language developed greatly in a short period of time. The famous poet Firdausi had started writing “Shahnama” about eighteen years before Mahmud’s accession to the throne. When he heard about Mahmud’s patronage, he got attached to Mahmud’s court and kept receiving rewards.

hazelnut Tuesday, February 16, 2016 05:28 PM

[B][U]Passage:[/U][/B] Harkat aur taghayur hi zindagi ki fitrat hain. Zindagi barhti rehti hai aur behter se behter hoti rehti hai. Hamain is haqeeqat ko na sirf mehsoos aur tasleem kar lena chahye balkay is se khush hona chahye aur nae mustaqbil ka kher-maqdam karna chahye. Is liye keh wo maazi aur haal dono se zayada shaandar hoga . wo shakhs jo pur-umeed rehta hai aur mehnat aur shoq se apna kaam karta rehta hai kabhi na kabhi zaroor kamyaab hota hai. Kamyaabi ka inhisaar umeed aur koshih par hai. Na-umeedi kamyabi ko dur rakhti hai. Jab hum museebatoon se ghirray hoay hotay hain to hamaray Wajood ki gehraiyoon se aik awaz aati hai “ jag utho! Nai umeed ke saath koshish shuru kar do, kamyaabi se saath rahe ga”
[B][U]Translation:[/U][/B] Action and change are indeed the nature of life. Life keeps moving forward and keeps getting better and better. We should not only sense and acknowledge this fact but also be happy about it and welcome the future. Because, it will be more wonderful than both past and present. The person, who remains hopeful and keeps doing his work with devotion and passion, succeeds eventually. Success depends on hope and effort. Hopelessness keeps success at bay. When we are surrounded by troubles, a voices emerges out of the depth of our existence and says: “wake up! Start your struggle with a new hope, success will accompany you.”

ursula Tuesday, February 16, 2016 05:41 PM

how dedicated you are!great job,really i have gone through these posts for the first time.:clap:clap:clap

hazelnut Tuesday, February 16, 2016 05:57 PM

Thank you means alot :)

hazelnut Wednesday, February 17, 2016 09:51 AM

My last attempt before exams... everyone best of luck and pray for me :)
[B][U]Passage:[/U][/B] Agar aap sun’na pasand farmaain tu hum aap ko cricket ke ibtadai daur ki chand dilchasap baatain batatay hain. Cricket ka abaai mulk englistaan hai. Angrex qaum ne paanch so saal pehle cricket khelna shuru ki. Us waqt cricket ka khel boht saada tha. Is ke qaiday aur qawaneen baad main banay. Aap jantay hain keh aajkal cricket ki team main gayara khilari hotay hain. Shuru main isay teen afraad bhi asaani se khel skte they. Ye khel do mukhtalif tareeqoon se khela jata tha. Aik tareeqa ye tha keh bowler gaind phenkta to saamnay makhsoos faaslay par khara howa shakhs haath main lakri ki charri se isay zarab lgata. Dosra tareeqa ye tha ke balay-baz ki jagah par aik lakri ka stool rakh diya jata. Aik khilari is stool ke pass khara ho jata. Bowler gaind phenkta aur stool ke paas khara hoa khilari apne haath se gaind ko zarab lgata taake gaind stool ko na lag sakay. Agar khilari is koshish main kamyaab ho jata to wo kuch point banata.
[B][U]Translation:[/U][/B] if you would like to listen then we are telling you some interesting facts about the beginning era of cricket. The ancestral country of cricket is England. The English started playing cricket five hundred years ago. At that time, cricket was very simple. Its rules and regulations were formulated later. You know that nowadays there are eleven players in the cricket team. In the beginning, three players could play cricket easily. This game was played in two different ways. One way was that when the bowler threw the ball, the other person standing in front at a particular distance hit the ball with the wooden stick in hand. The second way was that in place of batsman a wooden stool was placed. One player stood near the stool. Bowler threw ball and the player standing near the stool hit the ball with his hand so that the ball could not strike the stool. If the player succeeded in this effort, he made few points.


11:34 AM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.