CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Urdu Literature (http://www.cssforum.com.pk/css-optional-subjects/group-v/urdu-literature/)
-   -   shaairi (http://www.cssforum.com.pk/css-optional-subjects/group-v/urdu-literature/41540-shaairi.html)

imranmalik Thursday, November 25, 2010 07:36 PM

shaairi
 
kia tashree se pehlay shaair k kalaam ki mutalka khoobi ka zikar karna chaiay/
?
aur mafhoom se shoru karna chaaiay?
dar haqeeqat me tashree k aaghaaz k baray me maloomaat lena chahta hoon,
un sahibaan se jo bataanay se peshtar score dekh chukay hon apna.
shukryya!!!


:waiting

Farrah Zafar Sunday, November 28, 2010 01:28 PM

ap poet ki zindagi se tashreeh shuru ker saktay hain jesa k Ghalib k shaer ki ager tashreeh ki jaye tou kuch youn ho gi;
qarz ki peetay thay maey or samhtay thay k haan,
rang laye gi hamari faaqa masti aik din......!!

TASHREEH;
Ghalib ki sari zindagi mua'ashi tangdasti mein guzri.Musa'aib o aalaam se faraar k liye wo sharab noshi ka sahara letay thay
yani ap start len gay poet ki zindagi ka shaer k sath relation show ker k,ager ho tou...
phr tashreeh kernay k baad ap shaairi islahaat ka ziker karen gy ager koi istemal hui hon ya jo tarakeeb istemal hui hon..
aakhir mein thora sa ap ka zaati tabsara jesa k;
is shaer mein Ghalib apni bebasi ka mazaq urra rahay hain or ye un k kalaam ki khasoosiat hai k wo takaleef pe aansu bahanay ki bijaye shagufta mizaaji ka sahara laitay hain or ye e un ki infraadiyat hai...
rahi baat mafhoom ki tou wo mujhe b confirm nae,i hope koi or bata de ga.
ma'azrat k sath bhai,mei ne urdu pehlay attempt nae kia hua bcz ye meri pehli attempt ho gi Feb mein but i tried to help:)
Regards

imranmalik Monday, November 29, 2010 08:54 AM

shukryya
 
apki rahnumai ka shukryya!!!!!!!!
dar asal meri bhi pehli koshish ho g Feb me.Parh to bahot kuch lia ha lakin paper me produce karna zara technique se aata hay,jiski k mujh me abhi kammi hay.

Farrah Zafar Monday, November 29, 2010 08:45 PM

ap ne saray poets kiye hain?

imranmalik Tuesday, November 30, 2010 09:03 AM

Takreeban
 
hafeez jakindhari ni kia siraf,ak dafa reading ki thi SHAHNAMA E ISLAM ki
baki to sab kiay hn

imranmalik Tuesday, November 30, 2010 09:20 PM

Please solve it
 
1 Attachment(s)
shaairi me c + d part
aur nasar me syaaq o sabaaq se b part,

Farrah Zafar Thursday, December 02, 2010 10:16 PM

(jeem)kahin tou kaarwan e dard.........
tashreeh:poet k dard be'inteha hain,musaa'ib itnay k goya ik qaafila ho,takleefen itni k jesay jhurmat ho.dard ka kaarwaan kehnay se poet ki muraad hai k us k tamam dukh dard ik doosray se aisay bandhay hue hain or is tarah munazzam hain jesay ik qaafila ho.qaafilay ki herkat tou qaabil e tasleem hai mger shaair ne manzil ki herkat ka b ziker kia hai..yani shaair k ranj o gham ik qaafilay ki soorat manzil ki jaanib barhay ja ry hain or azziyyat ki bat tou ye hai k manzil ka b koi thikana nae or ye shaair ki dastaras se door hai..
aglay misray mein shaair kehta h ye meri guzerti hui umer bhi kahin teher jaye.goya shaair apni maut ki tamanna ker ra h kiun k ye e ik tareeka hai musaaib o aalaam se chutkara panay ka.shaair is be'chaini mein ye b pukar ra h ya tou maut aa jaye ya phr meray dil ko sabr o qaraar...dard ka kaarwaan shaair k liye ik musalsal azziyaat ka baa'is hai,ye e waja hai k wo is se faraar k lye duaa go hai..shaair k lafzon mein jo kasak hai wo us ki dard ki tarjumaan hai...
bhai 2nd shair ki tashreeh kal karun gi.
regards

imranmalik Friday, December 03, 2010 06:04 PM

ok
 
aur sath support me koi shair bhi agar likh diay jaain,jese baqol ghalib k,
meri qismat mein gham gar itna tha
dil b ya Rab kai diay hotay
kia khyal hay?
thori si umeed to ab lagi hoi hay shaair ko jo "shaaid " kehta ha?

Farrah Zafar Friday, December 03, 2010 09:24 PM

g ashaar tou kafi add ho saktay hn bas mei ne to the point likha jaldi jaldi...ab i will try to put ashaar also..
kal pehlay sher ki tashreeh ki thi ab usi k aglay sher ki..
Amaa'n kesi.....
tashreeh:shaair apni bebasi ka rona ro hai k abhi mujhe apnay dukhon se panaah kesay milay?k abi tou zulm ki inteha nae hui...moj e khoon ka ki taraf ishara krnay se shaair ka maqsad ye ehsaas batana hai k abi zulm o sitam ne meri jan nae li..abi mein zinda hun..aisa maloom hota h k shaair ka ishara apnay mehboob ki janib hai,jis ka zulm us waqt thamay ga jab tak shaair ka khoon nae behta...
aglay misray mein shaair kehta h k jab meray jism se khoon ka fawaara phootay ga tab he meray mehboob ka waar kernay wala hath thamay ga or zulm rukay ga..
baqol shaair;
sarfaroshi ki tammana aaj meray dil mein hai,
dekhna ye hai k zor kitna baazoo e qaatil mein hai
is sher ko youn b lia ja skta hai k shaair ka ishara hukmarano ki jaanib hai.un k zulm o sitam ne awaam ko bebasi ki inteha pe pohancha dia hai k wo ab wo faqat apni maut ka intezaar ker ry hain...mger wo ye nae jantay k;
"mar k bhi chain na paya tou kidher jayen gay"
ye ashaar shaair k dil ki aawaz lagtay hain kyon k in mein dard or bebasi ka ijtimaa waazeh toar pe mehsoos hota hai...

aglay ashaar mujhe zara mushkil lag ry hn AMAL JIN KA HAI walay..mger kal i will try to do..
regards

imranmalik Sunday, December 05, 2010 06:18 PM

shaair ka naam
 
vesay poet konsa ha?
mjay poet ki samaj ni lagi sahe


04:47 PM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.