Friday, April 19, 2024
02:27 AM (GMT +5)

Go Back   CSS Forums > CSS Optional subjects > Group V > Urdu Literature

Reply Share Thread: Submit Thread to Facebook Facebook     Submit Thread to Twitter Twitter     Submit Thread to Google+ Google+    
 
LinkBack Thread Tools Search this Thread
  #1  
Old Sunday, December 05, 2010
Farrah Zafar's Avatar
Makhzan-e-Urdu Adab
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason: Diligent Service Medal: Awarded upon completion of 5 years of dedicated services and contribution to the community. - Issue reason:
 
Join Date: May 2010
Location: امید نگری
Posts: 2,362
Thanks: 2,346
Thanked 4,047 Times in 1,576 Posts
Farrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud of
Default My Notes in Points

Andaaz e Meer ki khasoosiaat

1)saadgi khaloos aur sadaqat;

--fani khaloos se muraad hai k shaair zindagi k waaqiaat ko jis tarah dekhta hai usi tarah bayaan karay.
--takalluf aur banawat se paak,betakullfi ka andaaz
--awaam ka shaair
--chand alfaaz mein jahaan e maa'ni paida ker daita hai..


Examples

kaha mein ne kitna hai gul ka sabaat,
kali ne ye sun ker tabassum kia..

Meer un neem baaz aankhon mein,
sari masti sharab ki si hai...

Nazuki us k lab ki kia kahiye,
pankhrri ik gulaab ki si hai..



Aam lehja aur bol chaal ka andaaz;

--awwal mozuaat aisay chunay hain jo aam insano k rang e tabeeat k mutabiq hain
--doam un ko bayaan kernay ka andaaz'aam lehja or bol chaal ka andaaz hai
--baaton ka sa andaaz hai..."mian payaray"...."aray"..."aap" ki bijaye "tum"..."tum" ki jaga "Tu" istemaal kar k be'takullafi aur manoos fiza paida ki hai


examples;

baaten hamari yaad rahen'phir baaten aisi na sunye ga,
parhtay kisi ko sunye ga tou daer talak ser dhunye ga

jo is shor se Meer rotaa rahay ga,
tou hamsaya kahay ko sotaa rahay ga.


Pur lutf pirayaa adaa;

chaltay ho tou chaman ko chalye suntay hain k bahaaran hai,
paat haray hain phool khilay hain kam kam baad o bahaaran hai


khatabia andaaz;

khatab aur guftugu ka andaaz_kabhi khud se mukhatib aur kabhi doosray se

examples;

mein wo ronay wala jahan se chala hun,
jisay abr her saal rotaa rahay ga


Tashbeehat o istaa'raat;

khilna kam kam kali ne seekha hai,
us ki aankhon ki neem khawabi se

sham se he bujha sa rehta hai,
dil hai goya charagh muflis ka


Moseeqi aur ghanayyat;

--aahista ravi,subuk kharami,tarannum,shaairi ki laey dheemi aur dil gudaaz
--choti aur lambi dono qism ki behroan ka istemaal
--choti behroan wali ghazlon mein khoon e dil aur boo e dil ki kaifiyat ziada hoti hai..musarrat ka ehsaas nae...sarapa dard...gham he gham

examples(choti beher)

ashk aankhon mein kab nahi aata,
lahu aata hai jab nahi aata
dil se rukhsat hui koi khawahish,
giryaa kuch be'sabab nahi aata


(bari beher)

patta patta boota boota haal hamara janay hai,
janay na janay gul he na janay baagh tou sara janay hai


Meer ka zamana aur mahol;

--Meer ka ehad sayasi,samaaji,mulki aur muaashi aitbaar se sakht inteshar aur afratafree ka ehad tha.
--mughal markez kamzor par chuka tha


Meer ka tassawur e zindagi;

ye kehna darust nae k meer qanooti shaair hain...gham o alm ka ziker tou hai mger tassawur e zindagi mayoos kun nae

mustanid hai mera fermaya hua,
saray aalam pe hun mein chaaya hua
__________________
Love is my Shield,Truth is my Sword,Brain is my Crown,Smile is my Treasure and I'm a Queen;
Quitters never win and Winners never quit..!!!
Reply With Quote
The Following 2 Users Say Thank You to Farrah Zafar For This Useful Post:
fiza mehar (Monday, March 28, 2011), Waleed92 (Thursday, December 01, 2016)
  #2  
Old Monday, December 06, 2010
imranmalik's Avatar
Member
 
Join Date: Nov 2009
Location: Lahore
Posts: 43
Thanks: 19
Thanked 11 Times in 9 Posts
imranmalik is on a distinguished road
Default Good

achhi approach hay,
sham se he bujha sa rehta hai,
dil hai goya charagh muflis ka

ye sher mujay ni pata tha k meer ka hay

meer k baaray kis ko parha hay?
mje yad ni "INTIKHAAB E KALAAM E MEER" by ............
library se parha tha.
"JAANAY KA NAHE SHOR SUKHAN KA MERAY HAR GIZ!!!
TAA HASHR JAHAN ME MERA DEEWAN RAHAY GA.!!!!"
__________________
"Fardaa o Dee ka tafarqa yakk baar mit gya
Kal tum gaey k hum pe Qyamat guzar gai"
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to imranmalik For This Useful Post:
Farrah Zafar (Monday, December 06, 2010)
  #3  
Old Monday, December 06, 2010
Farrah Zafar's Avatar
Makhzan-e-Urdu Adab
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason: Diligent Service Medal: Awarded upon completion of 5 years of dedicated services and contribution to the community. - Issue reason:
 
Join Date: May 2010
Location: امید نگری
Posts: 2,362
Thanks: 2,346
Thanked 4,047 Times in 1,576 Posts
Farrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud of
Default

M.A urdu k syllbus mein hai ik Book,us mein Meer pe kuch detail hai wahin se kia.abi kalam e Meer nae parha mein ne,wesay poetry parhi hai randomly
__________________
Love is my Shield,Truth is my Sword,Brain is my Crown,Smile is my Treasure and I'm a Queen;
Quitters never win and Winners never quit..!!!
Reply With Quote
  #4  
Old Monday, December 06, 2010
imranmalik's Avatar
Member
 
Join Date: Nov 2009
Location: Lahore
Posts: 43
Thanks: 19
Thanked 11 Times in 9 Posts
imranmalik is on a distinguished road
Default jars e gul

ye faiz k sher paper me aaye hn last time me ne post kiay hen,zara explain karne ki try to karna,
"Jab bhi abroo e dar e yaar ne irshaad kia,jis...........
__________________
"Fardaa o Dee ka tafarqa yakk baar mit gya
Kal tum gaey k hum pe Qyamat guzar gai"
Reply With Quote
  #5  
Old Sunday, March 06, 2011
Farrah Zafar's Avatar
Makhzan-e-Urdu Adab
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason: Diligent Service Medal: Awarded upon completion of 5 years of dedicated services and contribution to the community. - Issue reason:
 
Join Date: May 2010
Location: امید نگری
Posts: 2,362
Thanks: 2,346
Thanked 4,047 Times in 1,576 Posts
Farrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud of
Default Adbi Rasa'il o jara'id

Adbi rasaa'il O jaraa'id

Anjamun e Punjab k qayaam se Punjab mein ilm o adab ka charcha hua aur Punjab ilmi o adbi markez ban'nay laga aur youn mukhtalif rasa'ail o jara'aid shaya hue.

1)Mukhzan:April 1901 mein Shekh Abdul Qadir ne is mahnamay ka aaghaz kia.Mukhzan ki romani tehreek k asraat Urdu Adab per is darja raasikh hue k taraqqi pasand tehreek k aaghaz tak adab ki tamam asnaaf per romaan pasandi ka ghalba raha."Mukhzan" k ehad mein ubhernay walay tamam majallaat isi tehreek ki paidawaar thay.

2)Urdu e Moalaa:Aligarh se 1904 mein Molana Hasrat Mohani ne mahnama "Urdu e Moalaa jaari kia.Is mein Ilm o adab k sath sayasi mozooaat per bhi mazameen tehreer kiye jatay thay.

3)Hamayun:Mian Bashir Ahmad k zair e ehtamam "hamayun" january 1922 mein nikelna shuru hua.Sir Abdul Qadir aur Allama Iqbal is k ser paraston mein shamil thay.Maghribi tehzeeb aur adab k sath mashriqi tehzeeb aur aloom ko farogh denay mein is majallay ki aham khidmaat hain.amli sayasat se daman bacha ker nazriyati sayasat per laa'taadad mazameen "hamayun" mein shaya hue.Is ka ibtedaai rujhaan romaan pasandi tha lekin urdu adab ko wasee tar mozooaat ki taraf maa'il kerta raha.tarraqi pasand tehreek ka aser qabool kia aur jab aazadi ki tehreek ka aaghaz hua tou "humayun"ka rujhaan bhi wo he ban'nay laga lekin sayasi policy mein mayana ravi ko berqaraar rakha.adab ko zindagi ka tarjuman aur akkas bananay mein mahnaama "hamayun" baa'dastoor kaam kerta raha.

4)Nairang e khayal:June 1964 mein Lahore se jaari hua.Hakim Muhammad Yousaf Hasan is k editor thay.Urdu rasaalon mein tasaaveer ki paishkash k rujhaan ko is majalla se taqweeyat mili.jis se majallati sahafat mein husn aur nikhaar paida hua.Ilmi,adbi aur shaeri adab k elava sayasi halaat per tabsara bhi is majallay ka khasoosi mozoo raha.is majallay mein Imtiaz Ali Taj,Abdul Majeed Salik,Syed Ahmad Shah Bukhari Patras,Hafeez Jalandhari,Pandit Hari chand Akkhter aur Tasadduq Hussain Khalid ki tehreeren shaya huin.Ye majalla abi tak jaari hai aur khasoosi numberon ki ishayat mein buland paya hai.

5)Naqqad:Lahore se Kausar Lakhnavi ne 1925 mein mahnama "naqqad"jaari kia.Punjab se jaari honay walay majallaat mein is ki haisiyat musallma rahi.Iska bunyaadi maqsad urdu zuban ka farogh raha.
__________________________________________________ ___

in k elava Alamgeer,Oriental college magazine,adbi dunya,naya adab,shahraah,aayina,aftaab,adab lateef,adeeb,sawera,kaarvaan,naqoosh aur fanoon janay pehchanay adbi rasaa'il hain.
__________________
Love is my Shield,Truth is my Sword,Brain is my Crown,Smile is my Treasure and I'm a Queen;
Quitters never win and Winners never quit..!!!
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to Farrah Zafar For This Useful Post:
fiza mehar (Monday, March 28, 2011)
  #6  
Old Tuesday, March 08, 2011
imranmalik's Avatar
Member
 
Join Date: Nov 2009
Location: Lahore
Posts: 43
Thanks: 19
Thanked 11 Times in 9 Posts
imranmalik is on a distinguished road
Default bas

bas itne se rasail o jaraaid hen kia??????
__________________
"Fardaa o Dee ka tafarqa yakk baar mit gya
Kal tum gaey k hum pe Qyamat guzar gai"
Reply With Quote
  #7  
Old Tuesday, March 08, 2011
Farrah Zafar's Avatar
Makhzan-e-Urdu Adab
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason: Diligent Service Medal: Awarded upon completion of 5 years of dedicated services and contribution to the community. - Issue reason:
 
Join Date: May 2010
Location: امید نگری
Posts: 2,362
Thanks: 2,346
Thanked 4,047 Times in 1,576 Posts
Farrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud of
Default

Quote:
Originally Posted by imranmalik View Post
bas itne se rasail o jaraaid hen kia??????
cheeda cheeda likhay hain.saray likhnay mein theek thaak time lagta.Book nae ap k paas sohail Bhatti ki??

ye link dekhen zara dono;
http://www.cssforum.com.pk/css-optio...urdu-mcqs.html

http://www.cssforum.com.pk/css-optio...hmad-faiz.html

Imran Hiko pe koi material hai tou please share kerna.
__________________
Love is my Shield,Truth is my Sword,Brain is my Crown,Smile is my Treasure and I'm a Queen;
Quitters never win and Winners never quit..!!!
Reply With Quote
  #8  
Old Tuesday, March 08, 2011
imranmalik's Avatar
Member
 
Join Date: Nov 2009
Location: Lahore
Posts: 43
Thanks: 19
Thanked 11 Times in 9 Posts
imranmalik is on a distinguished road
Default no

dr saleem akhtaar parha ha me ne,+imtiaz shaihd for objectiv
__________________
"Fardaa o Dee ka tafarqa yakk baar mit gya
Kal tum gaey k hum pe Qyamat guzar gai"
Reply With Quote
Reply

Thread Tools Search this Thread
Search this Thread:

Advanced Search

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off
Trackbacks are On
Pingbacks are On
Refbacks are On


Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
How to prepare notes for competitive exams theelegant444 Tips and Experience Sharing 3 Tuesday, December 11, 2018 02:50 PM
Very Important : How to Prepare Study Notes Shaa-Baaz Tips and Experience Sharing 5 Sunday, May 21, 2017 08:30 PM
Questions of English Literature Last Island English Literature 5 Friday, December 27, 2013 01:25 PM


CSS Forum on Facebook Follow CSS Forum on Twitter

Disclaimer: All messages made available as part of this discussion group (including any bulletin boards and chat rooms) and any opinions, advice, statements or other information contained in any messages posted or transmitted by any third party are the responsibility of the author of that message and not of CSSForum.com.pk (unless CSSForum.com.pk is specifically identified as the author of the message). The fact that a particular message is posted on or transmitted using this web site does not mean that CSSForum has endorsed that message in any way or verified the accuracy, completeness or usefulness of any message. We encourage visitors to the forum to report any objectionable message in site feedback. This forum is not monitored 24/7.

Sponsors: ArgusVision   vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.