Friday, March 29, 2024
07:12 PM (GMT +5)

Go Back   CSS Forums > CSS Optional subjects > Group V > Urdu Literature

Reply Share Thread: Submit Thread to Facebook Facebook     Submit Thread to Twitter Twitter     Submit Thread to Google+ Google+    
 
LinkBack Thread Tools Search this Thread
  #1  
Old Monday, March 28, 2011
SIBGA-TUL-JANAT
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason: Appreciation
 
Join Date: Jul 2005
Posts: 1,221
Thanks: 349
Thanked 428 Times in 261 Posts
sibgakhan is a jewel in the roughsibgakhan is a jewel in the roughsibgakhan is a jewel in the roughsibgakhan is a jewel in the rough
Default Isnaaf e Naz'm ka Taa'ruf

Isnaaf e Naz'm ka Taa'ruf

1. Hamm'd
2. Naat
3 . Qaseeda
4. Muss'adas
5. Mukh'amis
6. Mashvini
7. Marsia
8. Ghazal
9. Qatta
10. Naz'm
11. Azaad Naz'm
12. Rubaaye

1. Hamm'd

Hamm'd k maani hain " Tareef kerna". Laiken istallah mein Hamm'd is nazm ko kahtay hain "jo Allah Tuaa'la ki azmat aur kibraai bayan kernay mein likhe jaae". Hamm'd ka mozo buht wasee aur motno'o hai. Aur is ki wusast ki koi had nai. kion k Allah Tuaa'la ki azmat bayan kernay k liye ager saray dar'kht qalm aur sary sumander sayahe ban jaein tab bhi insani adraak k liye na - mumkin hai k Allah Tubarik Tuaa'la ki tareef o toseef ker sakay.

Agaaz o Irtaqa

Urdu mein Hamm'd ka agaaz usi waqt ho gaya tha jab urdu adab ki ibtada hue. Urdu adab k her shaair ne Hamm'd e baari k ashaar likhay hain. Musalman shua'ra to isay muzhbi fareeza samjh ker likhtay hain , Laiken hindu shuaara nae bi is iltazaam ko barqrar rakha hai. chuna'chay Gulzar Naseem, K ibtadaye ashaar is k saboot mein paish kiye ja saktay hain.

Dard, Anees, Haali, Isma'el Mairthi, Zafer Ali Khan aur Iqbal K bad aj k Hamm'd nigaron mein se chand k name ye hain:

Abdul Aziz khalid, Arif Abdul Mateen, Hafeez Tai'eb, Wasif Ali Wasif, Hafeez Saqique, At'har Saqique, Ameen Naqvi.

2. Naat

Naat ka lugwi maani hai "kisi shakh's mein achi aur qabil e tareef sifaat ka paya jana aur is safaat ka bayan kerna"- Naat arbi zuban ka lafz hai, agerchay arbi zuban mein tareef o toseef k liye Hamm'd o Sana aur Mud'ah k alfaz bi aatay hain, laiken istalah mein Naat ka lafz "Rasool Ullah saa'llaha Hu Alaihay Wasalim "ki safaat o sana bayan kernay k liye makhsos kiya gaya hai.

Urdu shaayri ki koi he sinf aise ho ge jis main Naat na kahi gae ho, Qadeem urdu shaura Hamm'd e baari Taa'la k bad Naat paak se apnay deewanon ko muzayyan kiya. aur mas'niviyon mein bi yahi tareek e kaar rawa rakha jata tha. Hamaray dor mein Abdul Aziz khalid ne apnay naatia maj'moon " Faar Qaleet aur Man'hamna" ne mukhtlif hayyaton mein Naat ka kamyab tujarba kiya hai aur deegar shuaara ne bi is ki paerwi ki hai.

Agaaz o Irtaqa

Naat ka aaaz Rasool Ullah Saa'llaha Hu Alaihay Wasalim k zamany me se he ho gaya tha, Sahaba karam ne hubay Nabvi(pbuh) mein sarshar ho k naatia ashaar kahnay shoroo kiye. chuna'chay Umal Mom'een Hazrat Aisha Saqiqa Razi Allah Hu Taa'la Anha aur Hazrat Fatimah Razi Allah Hu Taa'la Anha k elawa Hazrat Abu Bak'r Sadqiue(R.A) , Hazrat Ali (R.A) aur degar sahaba karam k naatia ashaar ab b miltay hain.

Zaheer Bin Kaa'b ka Qaseeda "Laamia " aur Allama Boseeri ka qaseeda "Burda" apnay jazba e ishq ki bina per aik khaas muqam k hamil hain, joon joon Islam phailta gaya, Naat ka riwaj b phailta gaya. chuna'chay Faarsi aur Turki mein naat ka riwaj aam hua, Farsi mein Urfi, Anwari, Saa'di, Roomi, Jaami, Araaqi ne kasrat ne naatia nazmain likhein.

Urdu mein "Ameer mee'naai" aur "Muhsin Kaakorvi " k do naam aisay hain jinhein is sinf main awaleen ka sharf hasil hai. Muhsin Kaakorvi ka tamaam kuliyat naat mein hai, garz k her sinf mein Muhsin Kaakorvii ne naat goyi ka haq ada kiya hai, in k bad Halli ka naam aata hai.

Is k elawa naat likhay walon mein Molana Ahmad Raza khan Braivli, Zafer Ali Khan , Baidam Warsi, Allama Iqbal, Hameed Sadiqui, Hafeez Jhulandhri, Behraaz likh'noi, Muzafar Warsi, Hafiz Mazhar ul Din, Hafiz ludhyanvi, Tahir Shadani, Abid Nazami, At'har Saqique, Hafeez Tai'eb K naam shamil hain.

Dour e jadeed mein urdu k baishtar shaura ka rujhan naat goyi ki tarah ho raha hai, Ye aik naik faal hai, kuch shaura sirf Naat he kahtay hain aur inhon ne kisi dosri sinf e adab ki taraf deehan he nai diya , maslan Hafeez Tai'eb, Hafiz ludhyanvi, Hafiz Mazhar ul Din Wagaira.
__________________
Aalam-e-soz o saz main, wasl se barh ker hai firaaq
Hijr me lazt-e-talb, wasl main marg-e-arzoo...!!!
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to sibgakhan For This Useful Post:
Farrah Zafar (Monday, March 28, 2011)
  #2  
Old Monday, March 28, 2011
SIBGA-TUL-JANAT
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason: Appreciation
 
Join Date: Jul 2005
Posts: 1,221
Thanks: 349
Thanked 428 Times in 261 Posts
sibgakhan is a jewel in the roughsibgakhan is a jewel in the roughsibgakhan is a jewel in the roughsibgakhan is a jewel in the rough
Default

3. Qaseeda

Qaseeda arbi k lafz "Qasad" se nikla hai, jis ka matlab hai irada kerna. Is sinf main choo'nkay shaair kisi shakhs ki tareef o toseef k khayal se irada'tan shair kahta hai is liye is sinf ko Qaseeda kahtay hain. Qaseeda k pahle dono misray aur baqi sari nazm k ashaar k dosray misray hum qafia hotay hain. Qaseeday mein ashaar ki tadaad ki koi had muka'rar nai . Urdu qaseeday mein Tareef k elawa is mein dosray moz'oo b miltay hain maslan : pando o moa'zat, Ikhlaq o hikmat, Manazar e Bahar, Hijer o wasaal wagaira.

Qaseeda k Ajzaa

Qaseeda k ajzaa e tarkeebi paanch (5) hain:

1. Tashaib
2. Guraiz
3. Mudah
4. Arz e Talab
5. Dua


1.Tashaib

Isay qaseeday ki tamheed b kahtay hain, is hisay mein shaair Mana'zar e fitrat ki akaasi kerta hai, ba- ikhlaq batain kerta hai.

2. Guraiz

Qaseeday ka mukh'tasreen hisa sirf do ashaar pe mushtamil hota hai.

3.Mudah

Is hisay mein shair mam'doh ki tareef kerta hai aur baz okaat mubagla se b kaam laita hai.

4. Arz e Talab

Is hisay mein shair apnay mam'doh se shaairana andaz main inaam o ikraam talab kerta hai.

5. Dua

Qaseeday k Is akhrai hisay mein shair mam'doh k liye dua kerta hai aur maqta likh ker qaseeda khatam ker daita hai.

Mazameen k lihaz se Qaseeday ki chaar qismein:

1. Mad'hia: Yaani jis qaseeday mein mad'ah ki jae.
2. Hijviya : Yaani jis qaseeday mein kisi fard ya idaray ki hijo ki jae.
3. Wazia Qasida : Jo Pind o Nasai'ah pe mushtamil ho.
4. Bayania Qaseeda: Jis men shaair amooman apnay zaati mahol, fitrati manazar ki kaifiyat bayan kerta hai.

Agaaz o Irtaqa

Urdu adab mein qaseeda mugaliya sal'tunat k zawal k bad shooro hua. Ibtadaye dor main "Muhammad Ali Qutab Shah" aur "Nusrati" mashhur qaseeda go ko hasiyat se ubharay laiken "Soda" vo wahid shaa'ir hai jis ne Qaseeday ko arooj bakhsha.

Soda k bad "Insha" aur "Mus'hafi" ne qaseday ko taraqi de. laiken qaseeda nigar ki hesayyat se jis shaair ko shuhrat e dawam mili vo "Ibraheem Zoq" hain. Ghalib ne b qaseeday likhay , laiken in k qaseedon mein vo khoobiyan nai thein jo inhein dosray qaseeda nigaron se mumtaz ker sakein. Haqeeqat ye hai k Zoq k bad qaseeday ko zawal a gaya,jab 1857 k bad hindustan main badshahat aur nawabi ka dour khatum hua to qaseeda b is k sath khatum ho gaya.

Albata kuch shaura ne mazhbi aur buzargan e din ki shaan mein qaseeday likhay - in mein
Isma'el Mairthi, Arzoo, Muhsin Kaakorvi aur Haali k naam qabil e zikar hain.
__________________
Aalam-e-soz o saz main, wasl se barh ker hai firaaq
Hijr me lazt-e-talb, wasl main marg-e-arzoo...!!!
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to sibgakhan For This Useful Post:
Farrah Zafar (Monday, March 28, 2011)
  #3  
Old Monday, March 28, 2011
SIBGA-TUL-JANAT
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason: Appreciation
 
Join Date: Jul 2005
Posts: 1,221
Thanks: 349
Thanked 428 Times in 261 Posts
sibgakhan is a jewel in the roughsibgakhan is a jewel in the roughsibgakhan is a jewel in the roughsibgakhan is a jewel in the rough
Default

4. Muss'adas

Muss'adas se murad vo sinf e nazm hai "jis mein har band k 6 misray hotay hain". 4 misray Hum qafia hotay hai , akhari 2 misray b hum qafia hotay hain mager pahley 4 misron se mukh'talif hotay hain. In ka rab't pahle 4 misron se hota hai. 6 k 6 misray maf'hoom aur maani k aitabaar se aik dosray se marboot hotay hain. Muss'adas bandon pe mushtamil hoti hai , laiken is k bandon ki tadad mutayan nai hai. yahan tak k baaz Muss'adas mein 200 aur 300 bandon k bi miltay hain, Amooman musal'sul waqayat qalam band kernay k liye ye sinf buht mozon hai.

Haali ka 'Muss'adas', 'Mod o Jazar Islam' aur 'Iqbal' ki mashhoor nazmain Muss'adas ki soorat mein hain.Muss'adas khalis'tan urdu sinf e sukhan hai. Arbi aur farsi mein is ka koi wajud nai aue na he kisi k taqleed mein ye Urdu raa'ej hue. Shidat, taa'sur, mazameen k taa,salsul aur mosiqiyat aur apnay daman ki woo'sat ki bina pe ye sinf e sukhen zyada maqbol hue.

5. Mukh'amis

Mukh'amis k maani hain paanch paanch (5,5) ki shakal mein rakha hua - Istalah mein Mukh'amis se murad vo sinf e nazm hai "jis ka har band 5 misron pe mushtamil ho". Is nazm k pahle paanchon misray hum-qafia hotay hain mager baad mein aanay walay tamam bandon k pahle char(4) misron ka qafia pahle band ae mukh'talif hota hai.

Nazir Akbar Abadi ne akser nazmain isi hayyat mein likein hain.

To be Continued ...
__________________
Aalam-e-soz o saz main, wasl se barh ker hai firaaq
Hijr me lazt-e-talb, wasl main marg-e-arzoo...!!!
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to sibgakhan For This Useful Post:
Farrah Zafar (Monday, March 28, 2011)
  #4  
Old Monday, March 28, 2011
SIBGA-TUL-JANAT
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason: Appreciation
 
Join Date: Jul 2005
Posts: 1,221
Thanks: 349
Thanked 428 Times in 261 Posts
sibgakhan is a jewel in the roughsibgakhan is a jewel in the roughsibgakhan is a jewel in the roughsibgakhan is a jewel in the rough
Default

6. Mas'vini

Mas'vini ka lafz mushtiq hai 'mas'naa' se - Jis k maani hain do (2). chuna'chay istallah mein Mas'vini"aise sinf e nazm ko kahtay hain jis k her shair k dono misray hum qafia hon aur her shair k bad qafia badal jae"
Mas'vini mein lambay lambay qissay kahaniyan, jang o jadal k waq'yat aur lok kaniyan manzoom soorat mein paish ki jati hain. Is k ashaar ki tadad muka'rar nai. Mas'vini ki khoobi ye hai k is k ashaar mein bahmi rab't aur tas'alsul ho.

Agaaz o Irtaqa

Urdu mein Mas'vini ki sinf doosri isnaf ki tarah farsi adab se aaye. Aur Urdu mein is ka aghaz Dakan se he hua. mager dakan mein likhe janay wali Mas'viniyon mein sansikrat aur farsi ki Mas'viniyon ya qison k taraajum mojod hain. Dakan k 'Nizami Baedri ' ne masnivi "Pidam Rao" likh ker urdu adab main masvini ki intada ki.

Is k bad masvini nigari ki tarf shuaara ne tawaju di aur 'meer, Jur'rat, mus'hfi, Meer Hassan, Diya Shinker Naseem, Momon, aur Nawab Mirza Shoq' jaise masvini nigaar paida huay.

Meer Hassan ki masvini "Saher Ul Bayaan" k bad Naseem ki masvini "Gulzar e Naseem" he ko shuhrat hasil ho saki. Mirza Shauq ki masvini "Zaher e Ishq" main soz o gudaaz ne aik dilcha'sp kaifiyat paida ker di the.

jadded dour main Azad aur Haali ne is sinf mein woosat paida ker k is ki afadiyat to barha diya.

Hafiz Jhulan'dhari ka "Shaah nama e Islam" qabil e zikr masvini hai.
__________________
Aalam-e-soz o saz main, wasl se barh ker hai firaaq
Hijr me lazt-e-talb, wasl main marg-e-arzoo...!!!
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to sibgakhan For This Useful Post:
SYEDA SABAHAT (Tuesday, March 29, 2011)
  #5  
Old Tuesday, March 29, 2011
Farrah Zafar's Avatar
Makhzan-e-Urdu Adab
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason: Diligent Service Medal: Awarded upon completion of 5 years of dedicated services and contribution to the community. - Issue reason:
 
Join Date: May 2010
Location: امید نگری
Posts: 2,362
Thanks: 2,346
Thanked 4,047 Times in 1,576 Posts
Farrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud of
Default

Sibgha ye lafz "Masnavi" hai Masvini nae.

Masnavi - Wikipedia, the free encyclopedia
__________________
Love is my Shield,Truth is my Sword,Brain is my Crown,Smile is my Treasure and I'm a Queen;
Quitters never win and Winners never quit..!!!
Reply With Quote
Reply

Thread Tools Search this Thread
Search this Thread:

Advanced Search

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off
Trackbacks are On
Pingbacks are On
Refbacks are On


Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
My Own Nazm ! amy Urdu Poetry 0 Monday, January 28, 2008 08:34 PM
Laashen - Ik Nazm MOHIUDDIN Urdu Poetry 0 Tuesday, August 30, 2005 05:22 AM
Manzil - Ik Nazm MOHIUDDIN Urdu Poetry 0 Thursday, August 25, 2005 05:19 AM


CSS Forum on Facebook Follow CSS Forum on Twitter

Disclaimer: All messages made available as part of this discussion group (including any bulletin boards and chat rooms) and any opinions, advice, statements or other information contained in any messages posted or transmitted by any third party are the responsibility of the author of that message and not of CSSForum.com.pk (unless CSSForum.com.pk is specifically identified as the author of the message). The fact that a particular message is posted on or transmitted using this web site does not mean that CSSForum has endorsed that message in any way or verified the accuracy, completeness or usefulness of any message. We encourage visitors to the forum to report any objectionable message in site feedback. This forum is not monitored 24/7.

Sponsors: ArgusVision   vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.