CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Urdu Literature (http://www.cssforum.com.pk/css-optional-subjects/group-v/urdu-literature/)
-   -   Let's solve past papers' Urdu MCQs (http://www.cssforum.com.pk/css-optional-subjects/group-v/urdu-literature/43758-lets-solve-past-papers-urdu-mcqs.html)

Farrah Zafar Monday, March 07, 2011 11:10 AM

[SIZE="3"][CENTER][B][U]Urdu Paper I 2006[/U][/B][/CENTER]

1. Dakkan me urdu kay aghaz kay nazariye ka bani kon hai?
[B]Naseer Ud din Hashmi[/B]

2. Ghalib ne urdu ki kis kitab ko alfaaz ka bhatyar khana qarar diya hai?
[B]Fasana e ajaa'ib[/B]

3. Urdu me mazmoon ki sinf ko kis ne muta'rif karaya?
[B]Sir Syed Ahmad Khan[/B]

4. Kis novel me haraam o halal ka nazariya pesh kiya gaya hai?
[B]Raja gidh[/B]

5. Kis afsana nigar ne apnay afsaano me ziyaada tar dehi mua'sharat ko pesh kiya?
[B]Ahmad Nadeem Qasmi[/B]

6. Kis afsaanay ka bunyadi mozu tasanna or zahirdari hai?
[B]Overcoat[/B]

8. "mitti ka diya" sinf kay aitbar se kya hai?
[B]Khud navisht[/B]

10. Kis shairah kay haan "khusboo" lafz tawatar k sath istemal hua hai?
[B]Perveen Shakir[/B]


12. kis shair ko mirza ghalib ki shagirdi ka sharf hasil hua?
[B]Haali[/B]

13. Kis shair kay nazdeek jannat ki haqeeqat dil ko khush rakhnay ka bahana hai?
[B]Ghalib[/B]


15. Kis naqaad ne anees or dabeer kay kaam ka jaiza ek sath liya hai?
[B]Shibli[/B]

18. "Akhbar Urdu" ka taluq kis idaaray se hai?
[B]muqtadira qaumi zuban[/B]

19. Pakistan adab ki tahreek ki awaleen awaz kis ne buland ki?
[B]Muhammad Hasan Askari
[/B]
20. "Taa'subaat" kis naqqad kay tanqeedi mazameen ka majmooa hai?
[B]Fateh Muhammad Malik[/B]

[/SIZE]

Farrah Zafar Monday, March 07, 2011 11:26 AM

[SIZE="3"][CENTER][B][U]Urdu Paper 1 2007[/U][/B][/CENTER]

1. Dakkan me urdu ka nazarya kis ne paish kiya?
[B]Naseer Ud din Hashmi[/B]

2. Urdu me adverb ko kya kehtay hain?
[B]Mutliq fael[/B]

3. "Liye" ki durust imla konsi hai?
[B]jis k neechay 2 nuqtay hon aur ooper hamza na ho.
[/B]
4. Urdu me pehli taba zaad dastaan konsi hai?
[B]Fasana e ajaa'ib[/B]

5. Fort William college kay pehlay principal kon thay?
[B]David Brown[/B]

6. "Masnavi Zehar Ishq" kis ki tasneef hai?
[B]Mirza shauq[/B]

7. "Masjid Qartaba" Allama Iqbal kay kis majmooay me shamil hai?
[B]Baal e jibriel[/B]

8. "Khutbat-e-Iqbal" ka sab se pehla tarjuma kis ne kiya?
[B]Nazeer Niazi
[/B]
9. "Kulyaat-e-Meer" ka pehla edition kis ne shaya kiya?
[B]Fort William College
[/B]
10. "Is nazm me" kis ki ki kitab hai?
[B]Meera Ji[/B]

11. "Hasan Kooza Gar" kis ki nazm hai?
[B]Noon-Meem-Rashid[/B]

12. "Takhleeqi Amal" ka musannif kon hai?
[B]Wazeer Aagha[/B]

13. "Nimrat-ul-Kamal" kis ki tasneef hai?
[B]Amir Khusru[/B]

14. "Musafir in London" kis ka safar nama hai?
[B]Sir Syed[/B]

15. "Hujjat-ul-Islam ka kirdar Nazeer Ahmed ne kis novel me paish kiya hai?
[B]Ibn ul Waqt[/B]

16. "Maa'khaz" kis ka shairi majmooa hai?
[B]Iftikhar Jalib
[/B]
17. "Kulyaat-e-Yagana ka murattib kon hai?
[B]Mushaffaq Khawaja
[/B]
18. "Teesray darjay ka musafir" kis ka tanqeedi majmooa hai?
[B]Waris Alvi
[/B]
19. "Gard-e-Rah kis ki khud nawisht hai?
[B]Akhter Hussain Raye Poori[/B]

20. "Tanqeed ki azadi" kis ka tanqeedi majmooa hai?
[B]Muzaffar Ali Syed[/B]

[/SIZE]

Farrah Zafar Tuesday, March 08, 2011 12:01 AM

[SIZE="3"]Abdul haleem Sharar urdu ka_______[B]Walter Scott[/B]

Wali Dakni urdu zuban ka_________[B]T.S.Eliot[/B]

shaayir e inqilaab______[B]Josh Maleeh abadi[/B]

Firdosi e Islam______[B]Hafeez jalandhri[/B]

Urdu ka sab se bara jasoosi novel nigaar________[B]Ibn e safi[/B]

shahenshah e zarafat______[B]Akbar Ala abadi[/B]

Raees ul mutaghazleen_____[B]Iqbal[/B]

Toti e Hind________[B]Amir khusru
[/B]
Isteaa'ron ka baadshah______[B]Najm ud din aabru[/B]

haivan e zareef________[B]Ghalib[/B]

urdu shayiri ka baava adam______[B]Wali dakni[/B]

novel nigaari ka Ibarat brailvi______[B]Qudrat Ullah Shahab[/B]

pehla sahib e deevan shaa'ir______[B]Wali dakni[/B]

urdu ka chaashar_____[B]Wai Dakni[/B]

Ghalib shikan__________[B]Yagana changezi[/B][/SIZE]

Farrah Zafar Thursday, March 10, 2011 12:05 AM

Paper 1 2011
 
[CENTER][SIZE="3"][B][U]Urdu Paper 1(2011)[/U][/B][/SIZE][/CENTER]

[SIZE="3"]1)Masnavi "gulshan e Ishq" kis ki tasneef hai?
[B]Nusrati[/B]

2)Kis muhaqqiq ne urdu zuban ko marhati ki sagi behn qaraar dia?
a)Ain ul Haq Farid koti
b)Sohail Bukhari
c)Shaukat sabzwaari

3)Sonnet kitnay misron per mushtamil sinf e sukhan hai?
[B]14[/B]

4)"Logo Markeziat" kis maghrabi naqqad ki istelaah hai?
a)Xak dareeda
b)Meeshal Foko
c)Franciso leutar

5)Shaiyiri mein "shakhsiat ki nafi" ka tasawwur kis maghribi naqqad ne paish kia?
[B]Eliot[/B]

6)Ghalib ka san e wafat?
[B]1869[/B]

7)"Mukhzin" ka pehla shumara kab shaya hua?
[B]April 1901[/B]

8)"kaii chand thay ser e aasman" kis ka novel hai?
[B]c)Shams ud din Farooqi[/B]

9):Tanqeed aur amli tanqeed k musannif ka naam?
[B]Ahtasham Hussain[/B]

10)Allama Iqbal ki nazm "Zauq o shauq" un k kis majmmoay mein shamil hai?
[B]Baal e Jibriel[/B]

11)Talkhaba e sheereen kis ka shaeri majmooa?
[B]Hafeez Jalandhri[/B]

12)Anjuman e Punjab se wabasta maroof angrez shakhsiat?
[B]Dr. Lietner[/B]

13)Muqadamma sher o shairi ka saal e ishayat?
a)1891
b)1892
c)1893

14)Tarraqi pasand tehreeq ki pehli conference kaha munaqqid hui?
[B]Lakhnao[/B]

15)"ishq o inqilaab kis taraqqi pasand shaair ki kullyat hai?
[B]Zaheer Kashmiri[/B]

16)"halqa arbab e zauq" ka pehla ajlaas kis ki zer e sadarat hua?
[B]Hafeez Hoshiyar Poori[/B]

17)"aaraish e mehfil" mein kon sa qissa bayan hua hai?
[B]Hatim Taai[/B]

18)Dil gudaaz k mudeer ka naam?
[B]Abdul haleem sharar[/B]

19)Sir Syed ki zindagi mein tehzeeb ul akhlaq ka aakhri shumara kab shaya hua?
[B]1897[/B]

20)Sham ki mundair se"kis noyiat ki tasneef hai?
[B]khud navisht[/B]

[/SIZE]
[SIZE="3"][B]ye tamam javabat net se confirm ker k likhay hain,phir bhi koi ghalat ho tou darsut ker den.Neez ye k jin k javabat nae milay,unhe mein ne wesay he likh dia hai,jo janta ho javab,bata de.[/SIZE][/B]

shani1 Sunday, March 13, 2011 01:36 AM

Sub net sa dak k kia ha to paper b online diye hain kia:busy?
2)Kis muhaqqiq ne urdu zuban ko marhati ki sagi behn qaraar dia?
a)Ain ul Haq Farid koti
b)Sohail Bukhari
c)Shaukat sabzwaari
C is correct answer
urdu k paper2 ma jo iktabas liya gya tha wo kaha sa tha? i think udas nasly part a????

Farrah Zafar Sunday, March 13, 2011 11:09 AM

[QUOTE=shani1;278008]Sub net sa dak k kia ha to paper b online diye hain kia:busy?
2)Kis muhaqqiq ne urdu zuban ko marhati ki sagi behn qaraar dia?
a)Ain ul Haq Farid koti
b)Sohail Bukhari
c)Shaukat sabzwaari
C is correct answer
urdu k paper2 ma jo iktabas liya gya tha wo kaha sa tha? i think udas nasly part a????[/QUOTE]

meray mcqs bht saray ghalat thay is lye mei ne socha musaddaqa e yahan post karun so net se dhoonday.
Iqtibas Ch.Fazl e Haq ki zindagi se tha pehlay wala.doosra shayed Chand ham aser se.
apnay paper k baray mein tafseel se yahan batayen;
[url]http://www.cssforum.com.pk/css-optional-subjects/group-i/urdu/46184-urdu-ka-paper-kesa-hua.html[/url]

shani1 Tuesday, March 15, 2011 01:26 AM

are u sure Ch.Fazl e Haq ki zindagi se tha pehlay wala?.ma na boht pahly udas nasly parha tha i think udas naslo ma sa tha?

Farrah Zafar Tuesday, March 15, 2011 05:59 PM

[QUOTE=shani1;278566]are u sure Ch.Fazl e Haq ki zindagi se tha pehlay wala?.ma na boht pahly udas nasly parha tha i think udas naslo ma sa tha?[/QUOTE]

mein ne udas naslen aadha parha hua hai aur zindagi b aadha.I'm 100% sure k ye zindagi mei se e tha.jab hero shadi ker leta hai us naazneen se tou phr us ka rawayya badal jata hai.wo iqtebaas usi scene mein se lia gaya hai.

koyar2002 Wednesday, March 23, 2011 09:52 AM

[B]halqa arbab e zooq[/B]

halqa arbab e zooq l pahly jalsy ki sadarat naseem hajazi ny ki thy. u may cheack from 'urdu adab ki tehreekain' ny dr/ anqar sadeed

[B]errors in urdu papers 2011[/B]

sadyiun ki zanzeer ki author razia fasi u din hai. jub k paper main ye option e nahi tha. aur afsoos ny araiash e mahfil main khulasa tul tawareekh ka tarjuma kia tha. na k laila majoon / hatim taii ka:))

[B]makhzan[/B]

makhzan april 1901

pahla iqtibas 'zindgi' sy nahin aya. i am dead sure about it.

Farrah Zafar Wednesday, March 23, 2011 01:34 PM

[QUOTE]halqa arbab e zooq l pahly jalsy ki sadarat naseem hajazi ny ki thy. u may cheack from 'urdu adab ki tehreekain' ny dr/ anqar sadeed[/QUOTE]

mein ne ye net se check ker k likha tha mager ap ki post dekh k I checked it from Urdu adab ki mukhtasir tareen tareekh by Dr Saleem Akhter.aur wahan b ye he likha hai k Farrah ap ka javab darust hai:D
1939 mein pehla ajlaas hua tha,hafeez hoshiyar poori ki zer e sadarat aur Naseem hajjazi ne apna afsana Talafi paish kia tha,sadarat nae ki thi.

[QUOTE]makhzan april 1901[/QUOTE]

mei ne bhi ye he likha hai:)

[QUOTE]pahla iqtibas 'zindgi' sy nahin aya. i am dead sure about it.[/QUOTE]

mein ne in gunahgaar aankhon se papers se chand din qabal Zindagi aadhi parhi thi tou mein 200% sure hun k zindagi se e lia gya hai:)


12:01 PM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.