#31
|
||||
|
||||
![]() Meaning: Black out=A temporary loss of memory or consciousness ghalta'an=chakrata hua/fiker mein Yadd e baeza=Talmeeh/ishara hai Hazrat Moosa(A.S) mojzay ki jaanib.wo apni baghal mein hath daal k nikaltay tou wo chamknay lagta. Gum gushta=dekho gumshuda Tashreeh: ye nazm Faiz ki doosri nazmon ki tarah infradiyat ka rang liye hue hai.Is nazm mein wo apni us kaifiyat ka tazkara kertay hain jab un ka shaaoor se nataa toot gaya aur her janib sayahi aur teergi dikhayi denay lagi. shaaiyir ki ye nazm dar'asal us ki mayoosi ki kaifiyat ki taraf ishara kerti hai.Haqeeqat mein shayir nabeena nae hua balkay wo istelahan apni ankhon k be'noor honay ka ziker kar raha hai.shamo'n k be'noor honay se shayir ki ye muraad ho sakti hai k us k ird gird umeed ki koi kiran baqi nae rahi aur her taraf mayoosi k ghata top andheray hain. aisa maloom hota hai k mehboob ki yaad ne shaiyir ko hosh o hawaas se be'gana ker dia hai.us k tamam mehsoosat jamid ho gaye hain aur wo sochnay samjhnay k qaabil nae raha. Gham raha jab tak k dam mein dam raha, dil k janay ka nihayat gham raha..!! Phir shaiyir apnay mehboob se kehta hai k abi zara tehro shayed aasman se barq aye aur meri ankhon ko wesi chamak ata ker de jo k Hazrat Moosa(A.S) k hath se nikelti thi.Zulmat k tamashay dekh dekh k shaiyir ki ankhen be'naai kho bethi hain aur ab wo isi umeed k saharay zinda ha k shayed koi ghaib se us ki madad karay.shaiyir ki ye he khawahish hai k ye jo jamood ki kaifiyat us pe taari hai,ye jab tootay tou us k paas naya shaffaf dil ho aur ankhon ki wo he chamak jis se usay dunya roshan nazer aati thi.Phir wo is naye dil aur chamkati ankhon k sath apnay mehboob ka samna karay aur ik naye jazbay k sath us k husn k qaseeday likhay. Goya ye bhi kaha ja sakta hai k shaiyir ko mehboob se koi sadma pohancha hai jis ki bina pe us ki dunya he andhair ho gayi hai aur wo kisi mojzaay ka muntazir hai jo us ki dil ki dunya ko phir se bahaar ata ker de. Ik muhabbat aur karen, ik judaai aur sahi..!! |
The Following User Says Thank You to Farrah Zafar For This Useful Post: | ||
sibgakhan (Tuesday, March 29, 2011) |
#32
|
|||
|
|||
![]() ![]()
__________________
Aalam-e-soz o saz main, wasl se barh ker hai firaaq Hijr me lazt-e-talb, wasl main marg-e-arzoo...!!! |
#33
|
||||
|
||||
![]()
Sibgha I think you didn't see my email?
We should stop this tashreeh here because PMS k liye tayari pehlay zaroori hai so now focus on Naqsh e Faryadi and others.We will see this thread later.
__________________
Love is my Shield,Truth is my Sword,Brain is my Crown,Smile is my Treasure and I'm a Queen; Quitters never win and Winners never quit..!!! |
#34
|
||||
|
||||
![]() Faiz pe banayi gayi aik zaberdast documentary. Faiz ko India se bohat baar paishkash hui k wo wahan aa jayen kiun k Pakistani Gov.un k sath acha salook nae kerti aur unhe Jail mein daal deti hai.hm ap ko Aligarh University ka V.P banayen gay aur bohat si sahooliyat dain gay.aur ap ko India pasand bhi tou hai.Faiz ne intehai khubsurat javab dia; "Hindustan hamari "mehbooba" sahi...mager Pakistan hamari "Mankooha" hai" ![]()
__________________
Love is my Shield,Truth is my Sword,Brain is my Crown,Smile is my Treasure and I'm a Queen; Quitters never win and Winners never quit..!!! |
#35
|
|||
|
|||
![]()
applaudable post.....
![]() Kuch pehlay in ankhon agay kia kia na nazara guzray tha,,,, Kia Roshan ho jati thi gli jab yar hamara guzray tha....... Thay kitnay achay loug k jin ko apny ghum say fursat thi,,,,,, Sub pochain thay ahwaal jo koi dard ka maara guzray tha....... (Faiz-e-Ahmed) |
The Following User Says Thank You to shahraf For This Useful Post: | ||
Farrah Zafar (Tuesday, March 12, 2013) |
#36
|
|||
|
|||
![]()
Dast-e-falak mein gardish-e-taqdeer tau nahein
Dast-e-falak mein gardish-e- ayyam hi tau hay !
__________________
What is the use of a house if you don't have a decent planet to put it on? |
![]() |
Thread Tools | Search this Thread |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
Final merit list of CE-2009 removed from FPSC website | Raz | CSS 2009 Exam | 126 | Tuesday, July 29, 2014 02:16 PM |
Revised Merit List CE 2009 | Last Island | CSS 2009 Exam | 37 | Thursday, November 17, 2011 10:10 AM |
Congratulations to CE 2009 Qualifiers. | maliasghar | Humorous, Inspirational and General Stuff | 66 | Sunday, July 04, 2010 12:55 AM |
CE 2009 Final Result | Last Island | CSS 2009 Exam | 38 | Friday, June 18, 2010 11:28 AM |
250 Signs Of The End Times... | Chilli | Islam | 0 | Thursday, May 04, 2006 09:36 PM |