Thursday, April 25, 2024
09:41 PM (GMT +5)

Go Back   CSS Forums > CSS Optional subjects > Group V > Urdu Literature

Reply Share Thread: Submit Thread to Facebook Facebook     Submit Thread to Twitter Twitter     Submit Thread to Google+ Google+    
 
LinkBack Thread Tools Search this Thread
  #21  
Old Sunday, March 20, 2011
Farrah Zafar's Avatar
Makhzan-e-Urdu Adab
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason: Diligent Service Medal: Awarded upon completion of 5 years of dedicated services and contribution to the community. - Issue reason:
 
Join Date: May 2010
Location: امید نگری
Posts: 2,362
Thanks: 2,346
Thanked 4,047 Times in 1,576 Posts
Farrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud of
Default

Quote:
Originally Posted by sibgakhan View Post
is ka background parhen pehlay;

"Lahu Ka Suragh and Zindan Zindan Shor-e-Anal Haq written on the occasion of firing on Karachi people protesting against the rigged election of Ayub Khan as president"

Meanings:

qulqul e maey:botel ya suraahi mein se pani ya sharab nikelnay ki aawaz

Anal haq;Talmeeh hai,ishara hai is tareekhi waqiaay ki janib;

Mansoor Al-Hallaj was condemned to hang by the neck for shouting in ecstasy Anal-Haq, Anal-Haq (I am the Truth, I am the Truth). The orthodoxy understood this to mean that he was claiming to be God himself, whereas he had proclaimed in his sublime spiritual ecstasy, simply a total annihilation of himself. Mansoor Al-Hallaj climbed the gallows with his head held high, not the least daunted by his imminent death. Nor could his shouts be drowned in the tumult of abuses which were hurled at him; they rose loud and clear and high Anal-Haq, Anal-Haq until his soul departed to the fountainhead of his life on high.

Tashreeh:
is sher mein shaiir kehta hai k sach ka sath denay walon aur zulm k khilaf awaz uthanay walon ka muqaddar qaid khana he banta hai.aur ye zulm k khilaf baghawat kernay walay log qaid khano mein b naara e haq buland kernay se baaz nahi aatay.shayir mulki halaat ki taraf ishara kertay hue kehta hai k kahin tou qaid khano se sada e haq sunai deti hai aur kahin mehfilon mein fateh k jashan manaye ja rahay hain.Anal haq k naaron ne zindaan k dar o deewar hila k rakh diye hain.baqol Habib Jalib;

wo bhi khaayif nahi takhta e daar se,
mein bhi Mansoor hun keh do aghyaar se
kiun daratay ho Zindaan ki deewar se
zulm ki baat ko jehl ki raat ko
mein nahi manta mein nahi janta

kahin logon ki tamannaon ka khoon kia ja raha hai,un ki hasraton ka gala ghoonta ja raha hai,unhe haq ki awaz buland kernay pe Mansoor ki tarah sooli charhaya ja raha hai aur kahin aish o nishaat ki mehfilen sajj rahi hain.kamyabi k jashan manaye ja rahay hain.shayir kaf e afsos malta nazer aata hai k dekho ye kesa tazaad hai?

kahin bajti hai shehnaai,kahin matam bhi hotay hain

kahin phool sajaye ja rahay hain,kahin ashk bahaye ja rahay hain.shayir kehta hai k kahin khushi k geet gaye ja rahay hain tou kahin saf e matam bichaye ja rahay hain.kahin hansi k phool khil rahay hain,kahin aansuon se chehray dhul rahay hain..kahin hukmaran fateh k nashay mein choor hain tou kahin mazloom aah o buka ker rahay hain.shaiyir ne sayaasi halaat ka bohat khoob nasha khencha hai.baqol Habib Jalib;

is dard ki dunya se guzer kiun nahi jatay,
ye log bhi kia log hain mar kiun nahi jatay
.
__________________
Love is my Shield,Truth is my Sword,Brain is my Crown,Smile is my Treasure and I'm a Queen;
Quitters never win and Winners never quit..!!!
Reply With Quote
The Following 2 Users Say Thank You to Farrah Zafar For This Useful Post:
Muhammad T S Awan (Sunday, March 20, 2011), sibgakhan (Sunday, March 20, 2011)
  #22  
Old Monday, March 21, 2011
SIBGA-TUL-JANAT
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason: Appreciation
 
Join Date: Jul 2005
Posts: 1,221
Thanks: 349
Thanked 428 Times in 261 Posts
sibgakhan is a jewel in the roughsibgakhan is a jewel in the roughsibgakhan is a jewel in the roughsibgakhan is a jewel in the rough
Default

__________________
Aalam-e-soz o saz main, wasl se barh ker hai firaaq
Hijr me lazt-e-talb, wasl main marg-e-arzoo...!!!
Reply With Quote
  #23  
Old Monday, March 21, 2011
Farrah Zafar's Avatar
Makhzan-e-Urdu Adab
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason: Diligent Service Medal: Awarded upon completion of 5 years of dedicated services and contribution to the community. - Issue reason:
 
Join Date: May 2010
Location: امید نگری
Posts: 2,362
Thanks: 2,346
Thanked 4,047 Times in 1,576 Posts
Farrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud of
Default

Quote:
Originally Posted by sibgakhan View Post
Meanings:

deeda e tar=namm aankh,royi hui aankh
kaasa e chashm=aankh ka payala
khoon naab e jiger=jiger ka saaf aur khaalis khoon

Tashreeh:

Faiz ki ziada tar shaiyiri ka talluq sayasi halaat se hai.wo hukmarano ki be'hissi pe matam kertay nazer aatay hain.un ki shayiri awam k dard ki tarjumaan hai.
pehlay sher mein shayir kehta hai k hamdardi se aari hukmarano k samnay apni namm ankhen le k janay ka koi faida nae..takaleef o masa'aib ne mazloomon ki ankhon k goshay bhigo diye hain.shayir k lehjay se baghawat ki boo aa rahi hai.wo kehta hai k un be'hisson per tumharay aansuon ka koi aser nahi ho ga.so tum apni ankhon mein khoon e jiger ki surkhi le k un k samnay jao.yahan shaiyir ki muraad ye hai k ab waqt aa gaya hai k awaam apni aah o buka pe qaboo paa k apnay khoon ko josh mein laaye aur hukmarano ko dikha de k abi un k khoon mein itni garmi hai k wo apnay haq k liye larr saktay hain.

Aye Khaak Nasheeno Uth Bhaitho,Wo Waqt Kareeb aa Pohancha Hai
Jab Takht Giraye Jayain Gay, Jab Taaj Uchalay Jayain Gay

Ab Toot Girain Gi Zanjeerain, Ab Zandaanon Ki Khair Nahi
Jo Darya Jhoom K Uthe Hain, Tinkoon Say Na Taalay Jayain Gay!

aglay sher mein shaiyir kehta hai k ab ager un se apnay haq ki baat kerni hai tou bhik mangon ki tarah payala uthaye mat jana balkay seena taan k aur ser utha k be'baaki se apnay mutalbaat manvanay ki baat kerna..shaiyir k ye alfaaz sayasi ghuttan k mahol mein ik taaza jhonkay ki manind hain.us ne is shaer k tawassut se josh ki ik leher dorra di hai.Khoon aur kaasa e ser jesay alfaaz ka istemaal waazeh toar pe inqilaab ki jaanib ishara kertay hain

kat-tay Bhi Chalo, Barhtay Bhi chalo, Bazoo bhi Buhat Hain, Sar Bhi Buhat
Chalte Bhi Chalo, K Ab Dayray Manzil Hi Pay Dalay Jayain Gay

Aye Zulm K Maato Lab Kholo, Chup Rehne Walo Chup Kab Tak
Kuch Hashar To Un se Uthay Ga, Kuch Dur To Nalay Jayain Gay!

__________________
Love is my Shield,Truth is my Sword,Brain is my Crown,Smile is my Treasure and I'm a Queen;
Quitters never win and Winners never quit..!!!
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to Farrah Zafar For This Useful Post:
sibgakhan (Thursday, March 24, 2011)
  #24  
Old Tuesday, March 22, 2011
SIBGA-TUL-JANAT
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason: Appreciation
 
Join Date: Jul 2005
Posts: 1,221
Thanks: 349
Thanked 428 Times in 261 Posts
sibgakhan is a jewel in the roughsibgakhan is a jewel in the roughsibgakhan is a jewel in the roughsibgakhan is a jewel in the rough
Default

__________________
Aalam-e-soz o saz main, wasl se barh ker hai firaaq
Hijr me lazt-e-talb, wasl main marg-e-arzoo...!!!
Reply With Quote
  #25  
Old Tuesday, March 22, 2011
Farrah Zafar's Avatar
Makhzan-e-Urdu Adab
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason: Diligent Service Medal: Awarded upon completion of 5 years of dedicated services and contribution to the community. - Issue reason:
 
Join Date: May 2010
Location: امید نگری
Posts: 2,362
Thanks: 2,346
Thanked 4,047 Times in 1,576 Posts
Farrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud of
Default

Quote:
Originally Posted by sibgakhan View Post

Tashreeh:

is nazm mein aisa lagta hai k Faiz ne Karachi sheher ka naqsha khencha hai.aur aisa maloom hota hai k kisi makhsoos muqaam se wo sheher ka jaa'iza le rahay hain.Sha'air k takhyyul ki aankh usay aam logon se mumtaaz kerti hai.ye he waja hai k Faiz sheher ko jis tarah paish ker rahay hain,wo kisi aam shakhs k bas ki baat nahi.Sayasi halaat k phair ka barah e raast aser Karachi sheher pe he nazer aata tha.ye bhi mumkin hai shaiyir Jail mein apnay baaghyana khayalat k izhaar ki waja se saza kaat raha hai aur wahan se us ka takhayyul usay sheher k baray mein khayal aarayi pe aamda ker raha hai.

Shaiyir kehta hai k jahan se mein sheher ka jaaiza le raha hun yahan se ager koi sheher dekhay tou usay her taraf hifaazti deewaren nazer aye gi.Goya ye sheher na hua ik jail ho gayi.her rastay pe qaid khanay dikhayi detay hain.kahin koi aisa nishan nahi jo ye bataye k kitni musafat taey ho gayi hai aur kitni baaqi reh gayi.door tak manzil ka nam o nishan nahi aur na he rastay mein kisi hamdard ki mojoodgi ka ehsaas hai jo is raigistaan k safar mein Paani k chand ghoont he pila de.;

kisi ko ghar se nikeltay he mil gayi manzil,
koi hamari tarah umer bhar safar mein raha

shaiyir kehta hai k is sheher mein tou khauf k pehray lagay hue hain.aadmi her lamha khud ko kisi un-dekhi quwwat k zer e hirasat mehsoos kerta hai.ager qadam bhi taiz uthaye jayen tou ye khayal aata hai k is jurrat pe toknay wali aawaz kahan hai?chaltay hue jo hath hilayen tou herat hoti hai k hathon mein hathkarriyan kiun nahi?hamen apni hathkarriyon k hilnay ki jhankar kiun nahi sunai di?yahan shaiyir hakoomat ki taraf se lagai gayi pabandiyon ka tanziya andaaz mein tazkara kar raha hai;

aaj baazaar meN paa-bajaulaaN chalo

phir shayir kehta hai k yahan se sheher ko dekho,goya shayir ki nigah se sheher ko dekho tou itnay logon k hajoom mein koi taqat aur izzat o waqar wala shakhs nahi dikhayi de ga aur na he koi hosh walon ka sath denay wala hai.yahan shayir ki muraad ye hai k is pooray sheher mein ik b shakhs aisa nahi jis mein itni jurrat ho k wo zulm k khilaf aawaz utha sakay ya baaghiyon ka sath de sakay.her jawan mard k galay mein phansi ka phanda nazer aata hai.goya sach bolnay walon ka muqaddar sooli he hai.yahan ye muraad bhi li ja sakti hai k taqat wer hukmarano ne sach k galay pe maut ka pehra bitha rakha hai.aur her ik naazneen k galay mein ghulamon ki tarah halqa para hua hai.goya husn bhi saoobton ka shikar hai.baqol Sahir Ludhianvi;

Lab pe pabandi nahi ehasas pe pehra to hai
Phir bhi ahal e dil ko ahawal e bashar kehna to hai

aakhir mein shaiyri kehta hai k door mujhe diye timtimatay dikhayi de rahay hain.un charaghon ki roshni se paas mojood log saayon ki manind lag rahay hain.ye maloom nahi k aaya waha aish o nishat ki mehfil jami hai,sharab k jaam chal rahay hain ya phir gham manaya ja raha hai.charagh ki roshni kuch mubham si hai so is ki surkh roshni k deewaron pe parnay walay aks se kuch maloom nahi par raha k ye lahoo ka rang hai ya phool hain.yahan ye matlab bhi lia ja sakta hai k shayiri ko deewaron pe surkh rang dikhayi de raha hai mager wo ye samjhnay se qaasir hai k ye khoon k cheentay hain ya phool.aur ziada guma'an ye he hai k ye khoon k cheentay hain kiun k surkhi ki alamat hamesha inqilaab ki taraf ishara kerti hai.

__________________
Love is my Shield,Truth is my Sword,Brain is my Crown,Smile is my Treasure and I'm a Queen;
Quitters never win and Winners never quit..!!!
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to Farrah Zafar For This Useful Post:
sibgakhan (Thursday, March 24, 2011)
  #26  
Old Tuesday, March 22, 2011
SIBGA-TUL-JANAT
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason: Appreciation
 
Join Date: Jul 2005
Posts: 1,221
Thanks: 349
Thanked 428 Times in 261 Posts
sibgakhan is a jewel in the roughsibgakhan is a jewel in the roughsibgakhan is a jewel in the roughsibgakhan is a jewel in the rough
Default

__________________
Aalam-e-soz o saz main, wasl se barh ker hai firaaq
Hijr me lazt-e-talb, wasl main marg-e-arzoo...!!!
Reply With Quote
  #27  

  #28  
Old Tuesday, March 22, 2011
Farrah Zafar's Avatar
Makhzan-e-Urdu Adab
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason: Diligent Service Medal: Awarded upon completion of 5 years of dedicated services and contribution to the community. - Issue reason:
 
Join Date: May 2010
Location: امید نگری
Posts: 2,362
Thanks: 2,346
Thanked 4,047 Times in 1,576 Posts
Farrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud of
Default

Quote:
Originally Posted by sibgakhan View Post
is mukhtasir si nazm mein Faiz umeed ka izhaar ker rahay hain.Un ki shaiyir mien mayoosi ki kaifiyat aam toar pe nazer nahi aati..wo hamesha tareek raat k baad ki sahar ki aarzu mein jeetay hain.Umeed aur un ki shayiri ka choli daman ka sath hai.Ziada gumaan ye he hai k ye nazm bhi sayasi halaat pe he likhi gayi hai.wo badaltay hue halaat aur mayoosi ki ghata top tareekiyon ko dekh k apnay hm watno ko aas dilatay hain.shaiyir kehta hai k ye ranj o gham mehez waqti hain.wo din door nahi jab zulmat ki siyaah raat apnay par samait le gi aur ujala e ujala ho jaye ga.

dil na'umeed tou nahi nakaam he tou hai,
lambi hai gham ki shaam mager shaam he tou hai.
__________________
Love is my Shield,Truth is my Sword,Brain is my Crown,Smile is my Treasure and I'm a Queen;
Quitters never win and Winners never quit..!!!
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to Farrah Zafar For This Useful Post:
sibgakhan (Thursday, March 24, 2011)
  #29  
Old Thursday, March 24, 2011
Farrah Zafar's Avatar
Makhzan-e-Urdu Adab
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason: Diligent Service Medal: Awarded upon completion of 5 years of dedicated services and contribution to the community. - Issue reason:
 
Join Date: May 2010
Location: امید نگری
Posts: 2,362
Thanks: 2,346
Thanked 4,047 Times in 1,576 Posts
Farrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud of
Default

Quote:
Originally Posted by sibgakhan View Post
Tashreeh:

ghazal k pehlay misray mein shayir apnay mehboob ki husn ko sarah raha hai.wo ekhta hai k chand youn chamak raha hai jesay tumhara sabeeh chehra chamakta hai.shaiyir ko chand mein mehboob ki jhalak nazer aati hai.chand ko mehboob se tashbeeh dena shaiyiron ki khaas riwayat hai mager Faiz yahan bhi infradiyat ka rang liye hue nazer aatay hain.Shaiyri kehta hai mosam khushgawaar aur faza ki mehkaar ne meray mehboob,meray hamraaz k roop ko b sanwara hai.Baqol Aatish;

wo shab thi k k thi roshni jis mein din ki,
zameen per se ik noor taa aasman tha,

nikalay thay do chand us ne muqabil,
wo shab subah e jannat ka jis pe gumaa'n tha.

doosray shair mein shaiyir kehta hai k meri aankh mein jo mehboob k sabeeh chehray ka aks nazer aa raha hai us se lgta hai k mera mehboob kuch herani ka shikaar hai.goya shaiyir ka mehboob masoom husn rakhta hai ye he waja hai k bhola pan aur herani us k chehray se hawaida hai.Phir shaiyir apnay mehboob k labon ki tareef kerta hai. baqol Meer;

Nazuki us k lab ki kia kahye,
pankhrri ik gulaab ki si hai

shayir kehta hai k anaar ki manind surkh labon mein teri aawaz ka tarranum uljha hua hai.aisa maloom hota hai k shaiyir ko apnay samnay paa k mehboob sherm o haya ka mujasma ban gaya hai aur us k chehray pe herani bhi hai aur aawaz ghabrai hui hai.

teesray shair mein shaiyir mehboob se wisaal ki tamanna kerta hai.wo kehta hai mein ne sharab ko hath nae lagaya mager mein tumharay husn o shabab se khud ko madhosh kerna chahta hun.ager tum mujh pe ye anayat karo tou is shab k baad jo subah aye gi wo meray lye aisay he ho gi jesay mein nashay mein choor hun.aur youn tumhari dilkashi aur subah ka ujala meray liye inbisaat ka baa'is ho ga.Baqol Ghalib;

نشّہ*ہا شادابِ رنگ و ساز*ہا مستِ طرب
شیشۂ مے سروِ سبزِ جوئبارِ نغمہ ہے

ہم نشیں مت کہ کہ برہم کر نہ بزمِ عیشِ دوست
واں تو میرے نالے کو بھی اعتبارِ نغمہ ہے

chothay shair mein shaiyir chang(baja) aur laey ko apnay dil se tashbeeh deta hai k dil ka saaz lahu k dam se rawaan hai.yahan shaiyir ye kehna chahta hai k;

"dil ka mosam acha ho tou saray mosam achay lagtay hain".

Shaiyir mehboob k wisaal k nashay mein makhmoor hai.ye he waja hai k us k dil ki dharrkan ki laey usay bohat khushgawaar lag rahi hai.

aakhri shair mein shaiyir mehboob se darkhwast kerta hai k wo phir koi baat karay ta k us k labon se adaa honay walay lafz fazaa mein naghmay chairr den..aisa maloom hota hai k shaiyir ka mehboob bohat kam'shukhan hain,ye he waja hai k wo us ki aawaz sun'nay ko be'taab hai.

meray jaan o dil meray ham safar,
koi baat ker, koi baat ker

teray lab hilen tou katay safar,
koi baat ker,koi baat ker
__________________
Love is my Shield,Truth is my Sword,Brain is my Crown,Smile is my Treasure and I'm a Queen;
Quitters never win and Winners never quit..!!!
Reply With Quote
The Following 2 Users Say Thank You to Farrah Zafar For This Useful Post:
fiza mehar (Monday, March 28, 2011), sibgakhan (Thursday, March 24, 2011)
  #30  
Old Sunday, March 27, 2011
SIBGA-TUL-JANAT
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason: Appreciation
 
Join Date: Jul 2005
Posts: 1,221
Thanks: 349
Thanked 428 Times in 261 Posts
sibgakhan is a jewel in the roughsibgakhan is a jewel in the roughsibgakhan is a jewel in the roughsibgakhan is a jewel in the rough
Default

__________________
Aalam-e-soz o saz main, wasl se barh ker hai firaaq
Hijr me lazt-e-talb, wasl main marg-e-arzoo...!!!
Reply With Quote
The Following 2 Users Say Thank You to sibgakhan For This Useful Post:
fiza mehar (Monday, March 28, 2011), Islaw Khan (Sunday, March 27, 2011)
Reply

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off
Trackbacks are On
Pingbacks are On
Refbacks are On

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Final merit list of CE-2009 removed from FPSC website Raz CSS 2009 Exam 126 Tuesday, July 29, 2014 02:16 PM
Revised Merit List CE 2009 Last Island CSS 2009 Exam 37 Thursday, November 17, 2011 11:10 AM
Congratulations to CE 2009 Qualifiers. maliasghar Humorous, Inspirational and General Stuff 66 Sunday, July 04, 2010 12:55 AM
CE 2009 Final Result Last Island CSS 2009 Exam 38 Friday, June 18, 2010 11:28 AM
250 Signs Of The End Times... Chilli Islam 0 Thursday, May 04, 2006 09:36 PM

CSS Forum on Facebook Follow CSS Forum on Twitter

Disclaimer: All messages made available as part of this discussion group (including any bulletin boards and chat rooms) and any opinions, advice, statements or other information contained in any messages posted or transmitted by any third party are the responsibility of the author of that message and not of CSSForum.com.pk (unless CSSForum.com.pk is specifically identified as the author of the message). The fact that a particular message is posted on or transmitted using this web site does not mean that CSSForum has endorsed that message in any way or verified the accuracy, completeness or usefulness of any message. We encourage visitors to the forum to report any objectionable message in site feedback. This forum is not monitored 24/7.

Sponsors: ArgusVision   vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.